19
Talāq ke bāre meṅ Tālīm
1 Yih kahne ke bād Īsā Galīl ko chhoṛ kar Yahūdiyā meṅ Dariyā-e-Yardan ke pār chalā gayā.
2 Baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā aur us ne unheṅ wahāṅ shafā dī.
3 Kuchh Farīsī āe aur use phaṅsāne kī ġharz se sawāl kiyā, “Kyā jāyz hai ki mard apnī bīwī ko kisī bhī wajah se talāq de?”
4 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kalām-e-muqaddas meṅ nahīṅ paṛhā ki ibtidā meṅ Ḳhāliq ne unheṅ mard aur aurat banāyā?
5 Aur us ne farmāyā, ‘Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai. Wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.’
6 Yoṅ wuh kalām-e-muqaddas ke mutābiq do nahīṅ rahte balki ek ho jāte haiṅ. Jise Allāh ne joṛā hai use insān judā na kare.”
7 Unhoṅ ne etarāz kiyā, “To phir Mūsā ne yih kyoṅ farmāyā ki ādmī talāqnāmā likh kar bīwī ko ruḳhsat kar de?”
8 Īsā ne jawāb diyā, “Mūsā ne tumhārī saḳhtdilī kī wajah se tum ko apnī bīwī ko talāq dene kī ijāzat dī. Lekin ibtidā meṅ aisā na thā.
9 Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, jo apnī bīwī ko jis ne zinā na kiyā ho talāq de aur kisī aur se shādī kare, wuh zinā kartā hai.”
10 Shāgirdoṅ ne us se kahā, “Agar shauhar aur bīwī kā āpas kā tālluq aisā hai to shādī na karnā behtar hai.”
11 Īsā ne jawāb diyā, “Har koī yih bāt samajh nahīṅ saktā balki sirf wuh jise is qābil banā diyā gayā ho.
12 Kyoṅki kuchh paidāish hī se shādī karne ke qābil nahīṅ hote, bāz ko dūsroṅ ne yoṅ banāyā hai aur bāz ne āsmān kī bādshāhī kī ḳhātir shādī karne se inkār kiyā hai. Lihāzā jo yih samajh sake wuh samajh le.”
Īsā Chhoṭe Bachchoṅ ko Barkat Detā Hai
13 Ek din chhoṭe bachchoṅ ko Īsā ke pās lāyā gayā tāki wuh un par apne hāth rakh kar duā kare. Lekin shāgirdoṅ ne lāne wāloṅ ko malāmat kī.
14 Yih dekh kar Īsā ne kahā, “Bachchoṅ ko mere pās āne do aur unheṅ na roko, kyoṅki āsmān kī bādshāhī in jaise logoṅ ko hāsil hai.”
15 Us ne un par apne hāth rakhe aur phir wahāṅ se chalā gayā.
Amīr Mushkil se Allāh kī Bādshāhī meṅ Dāḳhil Ho Sakte Haiṅ
16 Phir ek ādmī Īsā ke pās āyā. Us ne kahā, “Ustād, meṅ kaun-sā nek kām karūṅ tāki abadī zindagī mil jāe?”
17 Īsā ne jawāb diyā, “Tū mujhe nekī ke bāre meṅ kyoṅ pūchh rahā hai? Sirf ek hī nek hai. Lekin agar tū abadī zindagī meṅ dāḳhil honā chāhtā hai to ahkām ke mutābiq zindagī guzār.”
18 Ādmī ne pūchhā, “Kaun-se ahkām?”
Īsā ne jawāb diyā, “Qatl na karnā, zinā na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gawāhī na denā,
19 apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā aur apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.”
20 Jawān ādmī ne jawāb diyā, “Maiṅ ne in tamām ahkām kī pairawī kī hai, ab kyā rah gayā hai?”
21 Īsā ne use batāyā, “Agar tū kāmil honā chāhtā hai to jā aur apnī pūrī jāydād faroḳht karke paise ġharīboṅ meṅ taqsīm kar de. Phir tere lie āsmān par ḳhazānā jamā ho jāegā. Is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.”
22 Yih sun kar naujawān māyūs ho kar chalā gayā, kyoṅki wuh nihāyat daulatmand thā.
23 Is par Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki daulatmand ke lie āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil honā mushkil hai.
24 Maiṅ yih dubārā kahtā hūṅ, amīr ke āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī nisbat zyādā āsān yih hai ki ūṅṭ sūī ke nāke meṅ se guzar jāe.”
25 Yih sun kar shāgird nihāyat hairatzadā hue aur pūchhne lage, “Phir kis ko najāt hāsil ho saktī hai?”
26 Īsā ne ġhaur se un kī taraf dekh kar jawāb diyā, “Yih insān ke lie to nāmumkin hai, lekin Allāh ke lie sab kuchh mumkin hai.”
27 Phir Patras bol uṭhā, “Ham to apnā sab kuchh chhoṛ kar āp ke pīchhe ho lie haiṅ. Hameṅ kyā milegā?”
28 Īsā ne un se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, duniyā kī naī taḳhlīq par jab Ibn-e-Ādam apne jalālī taḳht par baiṭhegā to tum bhī jinhoṅ ne merī pairawī kī hai bārah taḳhtoṅ par baiṭh kar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī adālat karoge.
29 Aur jis ne bhī merī ḳhātir apne gharoṅ, bhāiyoṅ, bahnoṅ, bāp, māṅ, bachchoṅ yā khetoṅ ko chhoṛ diyā hai use sau gunā zyādā mil jāegā aur mīrās meṅ abadī zindagī pāegā.
30 Lekin bahut-se log jo ab awwal haiṅ us waqt āḳhir hoṅge aur jo ab āḳhir haiṅ wuh awwal hoṅge.