26
Īsā ke ḳhilāf Mansūbābandiyāṅ
Yih bāteṅ ḳhatm karne par Īsā shāgirdoṅ se muḳhātib huā, “Tum jānte ho ki do din ke bād Fasah kī Īd shurū hogī. Us waqt Ibn-e-Ādam ko dushman ke hawāle kiyā jāegā tāki use maslūb kiyā jāe.”
Phir rāhnumā imām aur qaum ke buzurg Kāyfā nāmī imām-e-āzam ke mahal meṅ jamā hue aur Īsā ko kisī chālākī se giriftār karke qatl karne kī sāzisheṅ karne lage. Unhoṅ ne kahā, “Lekin yih īd ke daurān nahīṅ honā chāhie, aisā na ho ki awām meṅ halchal mach jāe.”
Ḳhātūn Īsā par Ḳhushbū Unḍeltī Hai
Itne meṅ Īsā Bait-aniyāh ā kar ek ādmī ke ghar meṅ dāḳhil huā jo kisī waqt koṛh kā marīz thā. Us kā nām Shamāūn thā. Īsā khānā khāne ke lie baiṭh gayā to ek aurat āī jis ke pās nihāyat qīmtī itr kā itrdān thā. Us ne use Īsā ke sar par unḍel diyā. Shāgird yih dekh kar nārāz hue. Unhoṅ ne kahā, “Itnā qīmtī itr zāe karne kī kyā zarūrat thī? Yih bahut mahangī chīz hai. Agar ise bechā jātā to is ke paise ġharīboṅ ko die jā sakte the.”
10 Lekin un ke ḳhayāl pahchān kar Īsā ne un se kahā, “Tum ise kyoṅ tang kar rahe ho? Is ne to mere lie ek nek kām kiyā hai. 11 Ġharīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, lekin maiṅ hameshā tak tumhāre pās nahīṅ rahūṅgā. 12 Mujh par itr unḍelne se us ne mere badan ko dafn hone ke lie taiyār kiyā hai. 13 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tamām duniyā meṅ jahāṅ bhī Allāh kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jāegā wahāṅ log is ḳhātūn ko yād karke wuh kuchh sunāeṅge jo is ne kiyā hai.”
Īsā ko Dushman ke Hawāle Karne kā Mansūbā
14 Phir Yahūdāh Iskariyotī jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā rāhnumā imāmoṅ ke pās gayā. 15 Us ne pūchhā, “Āp mujhe Īsā ko āp ke hawāle karne ke ewaz kitne paise dene ke lie taiyār haiṅ?” Unhoṅ ne us ke lie chāṅdī ke 30 sikke muta'ayyin kie. 16 Us waqt se Yahūdāh Īsā ko un ke hawāle karne kā mauqā ḍhūṅḍne lagā.
Fasah kī Īd ke lie Taiyāriyāṅ
17 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī. Pahle din Īsā ke shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “Ham kahāṅ āp ke lie Fasah kā khānā taiyār kareṅ?”
18 Us ne jawāb diyā, “Yarūshalam Shahr meṅ fulāṅ ādmī ke pās jāo aur use batāo, ‘Ustād ne kahā hai ki merā muqarrarā waqt qarīb ā gayā hai. Maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kī Īd kā khānā āp ke ghar meṅ khāūṅgā.’ ”
19 Shāgirdoṅ ne wuh kuchh kiyā jo Īsā ne unheṅ batāyā thā aur Fasah kī Īd kā khānā taiyār kiyā.
Kaun Ġhaddār Hai?
20 Shām ke waqt Īsā bārah shāgirdoṅ ke sāth khānā khāne ke lie baiṭh gayā. 21 Jab wuh khānā khā rahe the to us ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke hawāle kar degā.”
22 Shāgird yih sun kar nihāyat ġhamgīn hue. Bārī bārī wuh us se pūchhne lage, “Ḳhudāwand, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”
23 Īsā ne jawāb diyā, “Jis ne mere sāth apnā hāth sālan ke bartan meṅ ḍālā hai wuhī mujhe dushman ke hawāle karegā. 24 Ibn-e-Ādam to kūch kar jāegā jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā. Us ke lie behtar yih hotā ki wuh kabhī paidā hī na hotā.”
25 Phir Yahūdāh ne jo use dushman ke hawāle karne ko thā pūchhā, “Ustād, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”
Īsā ne jawāb diyā, “Jī, tum ne ḳhud kahā hai.”
Fasah kā Āḳhirī Khānā
26 Khāne ke daurān Īsā ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke shāgirdoṅ ko de diyā. Us ne kahā, “Yih lo aur khāo. Yih merā badan hai.”
27 Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur use unheṅ de kar kahā, “Tum sab is meṅ se piyo. 28 Yih merā ḳhūn hai, nae ahd kā wuh ḳhūn jo bahutoṅ ke lie bahāyā jātā hai tāki un ke gunāhoṅ ko muāf kar diyā jāe. 29 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā yih ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise tumhāre sāth apne Bāp kī bādshāhī meṅ hī piyūṅgā.”
30 Phir ek zabūr gā kar wuh nikle aur Zaitūn ke pahāṛ ke pās pahuṅche.
Patras ke Inkār kī Peshgoī
31 Īsā ne unheṅ batāyā, “Āj rāt tum sab merī bābat bargashtā ho jāoge, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ Allāh farmātā hai, ‘Maiṅ charwāhe ko mār ḍālūṅgā aur rewaṛ kī bheṛeṅ titar-bitar ho jāeṅgī.’ 32 Lekin apne jī uṭhne ke bād maiṅ tumhāre āge āge Galīl pahuṅchūṅgā.”
33 Patras ne etarāz kiyā, “Dūsre beshak sab āp kī bābat bargashtā ho jāeṅ, lekin maiṅ kabhī nahīṅ hūṅgā.”
34 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, isī rāt murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.”
35 Patras ne kahā, “Hargiz nahīṅ! Maiṅ āp ko jānane se kabhī inkār nahīṅ karūṅga, chāhe mujhe āp ke sāth marnā bhī paṛe.”
Dūsroṅ ne bhī yihī kuchh kahā.
Gatsamanī Bāġh meṅ Īsā kī Duā
36 Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth ek bāġh meṅ pahuṅchā jis kā nām gatsamanī thā. Us ne un se kahā, “Yahāṅ baiṭh kar merā intazār karo. Maiṅ duā karne ke lie āge jātā hūṅ.” 37 Us ne Patras aur Zabdī ke do beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā ko sāth liyā. Wahāṅ wuh ġhamgīn aur beqarār hone lagā. 38 Us ne un se kahā, “Maiṅ dukh se itnā dabā huā hūṅ ki marne ko hūṅ. Yahāṅ ṭhahar kar mere sāth jāgte raho.”
39 Kuchh āge jā kar wuh aundhe muṅh zamīn par gir kar yoṅ duā karne lagā, “Ai mere Bāp, agar mumkin ho to dukh kā yih pyālā mujh se haṭ jāe. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.”
40 Wuh apne shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh so rahe haiṅ. Us ne Patras se pūchhā, “Kyā tum log ek ghanṭā bhī mere sāth nahīṅ jāg sake? 41 Jāgte aur duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo. Kyoṅki rūh to taiyār hai lekin jism kamzor.”
42 Ek bār phir us ne jā kar duā kī, “Mere Bāp, agar yih pyālā mere pie baġhair haṭ nahīṅ saktā to phir terī marzī pūrī ho.” 43 Jab wuh wāpas āyā to dubārā dekhā ki wuh so rahe haiṅ, kyoṅki nīnd kī badaulat un kī āṅkheṅ bojhal thīṅ.
44 Chunāṅche wuh unheṅ dubārā chhoṛ kar chalā gayā aur tīsrī bār yihī duā karne lagā. 45 Phir Īsā shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā aur un se kahā, “Abhī tak so aur ārām kar rahe ho? Dekho, waqt ā gayā hai ki Ibn-e-Ādam gunāhgāroṅ ke hawāle kiyā jāe. 46 Uṭho! Āo, chaleṅ. Dekho, mujhe dushman ke hawāle karne wālā qarīb ā chukā hai.”
Īsā kī Giriftārī
47 Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki Yahūdāh pahuṅch gayā, jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā. Us ke sāth talwāroṅ aur lāṭhiyoṅ se lais ādmiyoṅ kā baṛā hujūm thā. Unheṅ rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne bhejā thā. 48 Is ġhaddār Yahūdāh ne unheṅ ek imtiyāzī nishān diyā thā ki jis ko maiṅ bosā dūṅ wuhī Īsā hai. Use giriftār kar lenā.
49 Jyoṅ hī wuh pahuṅche Yahūdāh Īsā ke pās gayā aur “Ustād, assalāmu alaikum!” Kah kar use bosā diyā.
50 Īsā ne kahā, “Dost, kyā tū isī maqsad se āyā hai?”
Phir unhoṅ ne use pakaṛ kar giriftār kar liyā. 51 Is par Īsā ke ek sāthī ne apnī talwār miyān se nikālī aur imām-e-āzam ke ġhulām ko mār kar us kā kān uṛā diyā. 52 Lekin Īsā ne kahā, “Apnī talwār ko miyān meṅ rakh, kyoṅki jo bhī talwār chalātā hai use talwār se mārā jāegā. 53 Yā kyā tū nahīṅ samajhtā ki merā Bāp mujhe hazāroṅ farishte fauran bhej degā agar maiṅ unheṅ talab karūṅ? 54 Lekin agar maiṅ aisā kartā to phir kalām-e-muqaddas kī peshgoiyāṅ kis tarah pūrī hotīṅ jin ke mutābiq yih aisā hī honā hai?”
55 Us waqt Īsā ne hujūm se kahā, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mujhe giriftār karne nikle ho? Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ baiṭh kar tālīm detā rahā, magar tum ne mujhe giriftār nahīṅ kiyā. 56 Lekin yih sab kuchh is lie ho rahā hai tāki nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ darj peshgoiyāṅ pūrī ho jāeṅ.”
Phir tamām shāgird use chhoṛ kar bhāg gae.
Īsā Yahūdī Adālat-e-Āliyā ke Sāmne
57 Jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā thā wuh use Kāyfā Imām-e-Āzam ke ghar le gae jahāṅ sharīat ke tamām ulamā aur qaum ke buzurg jamā the. 58 Itne meṅ Patras kuchh fāsile par Īsā ke pīchhe pīchhe imām-e-āzam ke sahan tak pahuṅch gayā. Us meṅ dāḳhil ho kar wuh mulāzimoṅ ke sāth āg ke pās baiṭh gayā tāki is silsile kā anjām dekh sake. 59 Makān ke andar rāhnumā imām aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām afrād Īsā ke ḳhilāf jhūṭī gawāhiyāṅ ḍhūnḍ rahe the tāki use sazā-e-maut dilwā sakeṅ. 60 Bahut-se jhūṭe gawāh sāmne āe, lekin koī aisī gawāhī na milī. Āḳhirkār do ādmiyoṅ ne sāmne ā kar 61 yih bāt pesh kī, “Is ne kahā hai ki maiṅ Allāh ke Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar saktā hūṅ.”
62 Phir imām-e-āzam ne khaṛe ho kar Īsā se kahā, “Kyā tū koī jawāb nahīṅ degā? Yih kyā gawāhiyāṅ haiṅ jo yih log tere ḳhilāf de rahe haiṅ?”
63 Lekin Īsā ḳhāmosh rahā. Imām-e-āzam ne us se ek aur sawāl kiyā, “Maiṅ tujhe zindā Ḳhudā kī qasam de kar pūchhtā hūṅ ki kyā tū Allāh kā Farzand Masīh hai?”
64 Īsā ne kahā, “Jī, tū ne ḳhud kah diyā hai. Aur maiṅ tum sab ko batātā hūṅ ki āindā tum Ibn-e-Ādam ko Qādir-e-mutlaq ke dahne hāth baiṭhe aur āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekhoge.”
65 Imām-e-āzam ne ranjish kā izhār karke apne kapṛe phāṛ lie aur kahā, “Is ne kufr bakā hai! Hameṅ mazīd gawāhoṅ kī kyā zarūrat rahī! Āp ne ḳhud sun liyā hai ki is ne kufr bakā hai. 66 Āp kā kyā faislā hai?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yih sazā-e-maut ke lāyq hai.”
67 Phir wuh us par thūkne aur us ke mukke mārne lage. Bāz ne us ke thappaṛ mār mār kar 68 kahā, “Ai Masīh, nabuwwat karke hameṅ batā ki tujhe kis ne mārā.”
Patras Īsā ko Jānane se Inkār Kartā Hai
69 Is daurān Patras bāhar sahan meṅ baiṭhā thā. Ek naukarānī us ke pās āī. Us ne kahā, “Tum bhī Galīl ke us ādmī Īsā ke sāth the.”
70 Lekin Patras ne un sab ke sāmne inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ jāntā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” Yih kah kar 71 wuh bāhar geṭ tak gayā. Wahāṅ ek aur naukarānī ne use dekhā aur pās khaṛe logoṅ se kahā, “Yih ādmī Īsā Nāsarī ke sāth thā.”
72 Dubārā Patras ne inkār kiyā. Is dafā us ne qasam khā kar kahā, “Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā.”
73 Thoṛī der ke bād wahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne Patras ke pās ā kar kahā, “Tum zarūr un meṅ se ho kyoṅki tumhārī bolī se sāf patā chaltā hai.”
74 Is par Patras ne qasam khā kar kahā, “Mujh par lānat agar maiṅ jhūṭ bol rahā hūṅ. Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā!” Fauran murġh kī bāṅg sunāī dī. 75 Phir Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne kahī thī, “Murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” Is par wuh bāhar niklā aur ṭūṭe dil se ḳhūb royā.