6
Nahmiyāh ke ḳhilāf Sāzish
Sanballat, Tūbiyāh, Jasham Arabī aur hamāre bāqī dushmanoṅ ko patā chalā ki maiṅ ne fasīl ko takmīl tak pahuṅchāyā hai aur dīwār meṅ kahīṅ bhī ḳhālī jagah nazar nahīṅ ātī. Sirf darwāzoṅ ke kiwāṛ ab tak lagāe nahīṅ gae the. Tab Sanballat aur Jasham ne mujhe paiġhām bhejā, “Ham Wādī-e-Onūs ke shahr Kafīrīm meṅ āp se milnā chāhte haiṅ.” Lekin mujhe mālūm thā ki wuh mujhe nuqsān pahuṅchānā chāhte haiṅ. Is lie maiṅ ne qāsidoṅ ke hāth jawāb bhejā, “Maiṅ is waqt ek baṛā kām takmīl tak pahuṅchā rahā hūṅ, is lie maiṅ ā nahīṅ saktā. Agar maiṅ āp se milne āūṅ to pūrā kām ruk jāegā.”
Chār dafā unhoṅ ne mujhe yihī paiġhām bhejā aur har bār maiṅ ne wuhī jawāb diyā. Pāṅchweṅ martabā jab Sanballat ne apne mulāzim ko mere pās bhejā to us ke hāth meṅ ek khulā ḳhat thā. Ḳhat meṅ likhā thā, “Paṛosī mamālik meṅ afwāh phail gaī hai ki āp aur bāqī Yahūdī baġhāwat kī taiyāriyāṅ kar rahe haiṅ. Jasham ne is bāt kī tasdīq kī hai. Log kahte haiṅ ki isī wajah se āp fasīl banā rahe haiṅ. In riporṭoṅ ke mutābiq āp un ke bādshāh baneṅge. Kahā jātā hai ki āp ne nabiyoṅ ko muqarrar kiyā hai jo Yarūshalam meṅ elān kareṅ ki āp Yahūdāh ke bādshāh haiṅ. Beshak aisī afwāheṅ shahanshāh tak bhī pahuṅcheṅgī. Is lie āeṅ, ham mil kar ek dūsre se mashwarā kareṅ ki kyā karnā chāhie.”
Maiṅ ne use jawāb bhejā, “Jo kuchh āp kah rahe haiṅ wuh jhūṭ hī jhūṭ hai. Kuchh nahīṅ ho rahā, balki āp ne farzī kahānī ghaṛ lī hai!” Asal meṅ dushman hameṅ ḍarānā chāhte the. Unhoṅ ne sochā, “Agar ham aisī bāteṅ kaheṅ to wuh himmat hār kar kām se bāz āeṅge.” Lekin ab maiṅ ne zyādā azm ke sāth kām jārī rakhā.
10 Ek din maiṅ Samāyāh bin Dilāyāh bin Mahetabel se milne gayā jo tālā lagā kar ghar meṅ baiṭhā thā. Us ne mujh se kahā, “Āeṅ, ham Allāh ke ghar meṅ jamā ho jāeṅ aur darwāzoṅ ko apne pīchhe band karke kunḍī lagāeṅ. Kyoṅki log isī rāt āp ko qatl karne ke lie āeṅge.”
11 Maiṅ ne etarāz kiyā, “Kyā yih ṭhīk hai ki mujh jaisā ādmī bhāg jāe? Yā kyā mujh jaisā shaḳhs jo imām nahīṅ hai Rab ke ghar meṅ dāḳhil ho kar zindā rah saktā hai? Hargiz nahīṅ! Maiṅ aisā nahīṅ karūṅga!” 12 Maiṅ ne jān liyā ki Samāyāh kī yih bāt Allāh kī taraf se nahīṅ hai. Sanballat aur Tūbiyāh ne use rishwat dī thī, isī lie us ne mere bāre meṅ aisī peshgoī kī thī. 13 Is se wuh mujhe ḍarā kar gunāh karne par uksānā chāhte the tāki wuh merī badnāmī karke mujhe mazāq kā nishānā banā sakeṅ.
14 Ai mere Ḳhudā, Tūbiyāh aur Sanballat kī yih burī harkateṅ mat bhūlnā! Nauadiyāh nabiyā aur bāqī un nabiyoṅ ko yād rakh jinhoṅ ne mujhe ḍarāne kī koshish kī hai.
Fasīl kī Takmīl
15 Fasīl ilūl ke mahīne ke 25weṅ din * yānī 52 dinoṅ meṅ mukammal huī. 16 Jab hamāre dushmanoṅ ko yih ḳhabar milī to paṛosī mamālik saham gae. Aur wuh ehsās-e-kamtarī kā shikār ho gae. Unhoṅ ne jān liyā ki Allāh ne ḳhud yih kām takmīl tak pahuṅchāyā hai.
17 Un 52 dinoṅ ke daurān Yahūdāh ke shurafā Tūbiyāh ko ḳhat bhejte rahe aur us se jawāb milte rahe the. 18 Asal meṅ Yahūdāh ke bahut-se logoṅ ne qasam khā kar us kī madad karne kā wādā kiyā thā. Wajah yih thī ki wuh Sakaniyāh bin Araḳh kā dāmād thā, aur us ke beṭe Yūhanān kī shādī Masullām bin Barakiyāh kī beṭī se huī thī. 19 Tūbiyāh ke yih madadgār mere sāmne us ke nek kāmoṅ kī tārīf karte rahe aur sāth sāth merī har bāt use batāte rahe. Phir Tūbiyāh mujhe ḳhat bhejtā tāki maiṅ ḍar kar kām se bāz āūṅ.
* 6:15 2 Aktūbar.