13
Mulk-e-Kanān meṅ Isrāīlī Jāsūs
Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Kuchh ādmī Mulk-e-Kanān kā jāyzā lene ke lie bhej de, kyoṅki maiṅ use Isrāīliyoṅ ko dene ko hūṅ. Har qabīle meṅ se ek rāhnumā ko chun kar bhej de.”
Mūsā ne Rab ke kahne par unheṅ Dasht-e-Fārān se bhejā. Sab Isrāīlī rāhnumā the. Un ke nām yih haiṅ: Rūbin ke qabīle se Sammua bin Zakkūr,
Shamāūn ke qabīle se Sāfat bin Horī,
Yahūdāh ke qabīle se Kālib bin Yafunnā,
Ishkār ke qabīle se Ijāl bin Yūsuf,
Ifrāīm ke qabīle se Hosea bin Nūn,
Binyamīn ke qabīle se Faltī bin Rafū,
10 Zabūlūn ke qabīle se Jaddiyel bin Sodī,
11 Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle se Jiddī bin Sūsī,
12 Dān ke qabīle se Ammiyel bin Jamallī,
13 Āshar ke qabīle se Satūr bin Mīkāel,
14 Naftālī ke qabīle se Naḳhbī bin Wufsī,
15 Jad ke qabīle se Jiyuel bin Mākī.
16 Mūsā ne inhīṅ bārah ādmiyoṅ ko mulk kā jāyzā lene ke lie bhejā. Us ne Hosea kā nām Yashua yānī ‘Rab Najāt Hai’ meṅ badal diyā.
17 Unheṅ ruḳhsat karne se pahle us ne kahā, “Dasht-e-Najab se guzar kar pahāṛī ilāqe tak pahuṅcho. 18 Mālūm karo ki yih kis tarah kā mulk hai aur us ke bāshinde kaise haiṅ. Kyā wuh tāqatwar haiṅ yā kamzor, tādād meṅ kam haiṅ yā zyādā? 19 Jis mulk meṅ wuh baste haiṅ kyā wuh achchhā hai ki nahīṅ? Wuh kis qism ke shahroṅ meṅ rahte haiṅ? Kyā un kī chārdīwāriyāṅ haiṅ ki nahīṅ? 20 Mulk kī zamīn zarḳhez hai yā banjar? Us meṅ daraḳht haiṅ ki nahīṅ? Aur jurrat karke mulk kā kuchh phal chun kar le āo.” Us waqt pahle angūr pak gae the.
21 Chunāṅche in ādmiyoṅ ne safr karke Dasht-e-Sīn se Rahob tak mulk kā jāyzā liyā. Rahob Labo-hamāt ke qarīb hai. 22 Wuh Dasht-e-Najab se guzar kar Habrūn pahuṅche jahāṅ Anāq ke beṭe Aḳhīmān, Sīsī aur Talmī rahte the. (Habrūn ko Misr ke shahr Zuan se sāt sāl pahle tāmīr kiyā gayā thā.) 23 Jab wuh Wādī-e-Iskāl tak pahuṅche to unhoṅ ne ek ḍālī kāṭ lī jis par angūr kā guchchhā lagā huā thā. Do ādmiyoṅ ne yih angūr, kuchh anār aur kuchh anjīr lāṭhī par laṭkāe aur use uṭhā kar chal paṛe. 24 Us jagah kā nām us guchchhe ke sabab se jo Isrāīliyoṅ ne wahāṅ se kāṭ liyā Iskāl yānī Guchchhā rakhā gayā.
25 Chālīs din tak mulk kā khoj lagāte lagāte wuh lauṭ āe. 26 Wuh Mūsā, Hārūn aur Isrāīl kī pūrī jamāt ke pās āe jo Dasht-e-Fārān meṅ Qādis kī jagah par intazār kar rahe the. Wahāṅ unhoṅ ne sab kuchh batāyā jo unhoṅ ne mālūm kiyā thā aur unheṅ wuh phal dikhāe jo le kar āe the. 27 Unhoṅ ne Mūsā ko riporṭ dī, “Ham us mulk meṅ gae jahāṅ āp ne hameṅ bhejā thā. Wāqaī us mulk meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Yahāṅ hamāre pās us ke kuchh phal bhī haiṅ. 28 Lekin us ke bāshinde tāqatwar haiṅ. Un ke shahroṅ kī fasīleṅ haiṅ, aur wuh nihāyat baṛe haiṅ. Ham ne wahāṅ Anāq kī aulād bhī dekhī. 29 Amālīqī Dasht-e-Najab meṅ rahte haiṅ jabki Hittī, Yabūsī aur Amorī pahāṛī ilāqe meṅ ābād haiṅ. Kanānī sāhilī ilāqe aur Dariyā-e-Yardan ke kināre kināre baste haiṅ.”
30 Kālib ne Mūsā ke sāmne jamāshudā logoṅ ko ishārā kiyā ki wuh ḳhāmosh ho jāeṅ. Phir us ne kahā, “Āeṅ, ham mulk meṅ dāḳhil ho jāeṅ aur us par qabzā kar leṅ, kyoṅki ham yaqīnan yih karne ke qābil haiṅ.” 31 Lekin dūsre ādmiyoṅ ne jo us ke sāth mulk ko deḳhne gae the kahā, “Ham un logoṅ par hamlā nahīṅ kar sakte, kyoṅki wuh ham se tāqatwar haiṅ.” 32 Unhoṅ ne Isrāīliyoṅ ke darmiyān us mulk ke bāre meṅ ġhalat afwāheṅ phailāīṅ jis kī taftīsh unhoṅ ne kī thī. Unhoṅ ne kahā, “Jis mulk meṅ se ham guzare tāki us kā jāyzā leṅ wuh apne bāshindoṅ ko haṛap kar letā hai. Jo bhī us meṅ rahtā hai nihāyat darāzqad hai. 33 Ham ne wahāṅ dewqāmat afrād bhī dekhe. (Anāq ke beṭe dewqāmat ke afrād kī aulād the.) Un ke sāmne ham apne āp ko ṭiḍḍī jaisā mahsūs kar rahe the, aur ham un kī nazar meṅ aise the bhī.”