15
Kanān meṅ Qurbāniyāṅ Pesh Karne kā Tarīqā
1 Rab ne Mūsā se kahā,
2 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā
3-4 to jalne wālī qurbāniyāṅ yoṅ pesh karnā:
Agar tum apne gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se aisī qurbānī pesh karnā chāho jis kī ḳhushbū Rab ko pasand ho to sāth sāth ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karo jo ek liṭar zaitūn ke tel ke sāth milāyā gayā ho. Is meṅ koī farq nahīṅ ki yih bhasm hone wālī qurbānī, mannat kī qurbānī, dilī ḳhushī kī qurbānī yā kisī īd kī qurbānī ho.
5 Har bheṛ ko pesh karte waqt ek liṭar mai bhī mai kī nazar ke taur par pesh karnā.
6 Jab menḍhā qurbān kiyā jāe to 3 kilogrām behtarīn maidā bhī sāth pesh karnā jo sawā liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho.
7 Sawā liṭar mai bhī mai kī nazar ke taur par pesh kī jāe. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand āegī.
8 Agar tū Rab ko bhasm hone wālī qurbānī, mannat kī qurbānī yā salāmatī kī qurbānī ke taur par jawān bail pesh karnā chāhe
9 to us ke sāth sāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā jo do liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho.
10 Do liṭar mai bhī mai kī nazar ke taur par pesh kī jāe. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
11 Lāzim hai ki jab bhī kisī gāy, bail, bheṛ, menḍhe, bakrī yā bakre ko chaṛhāyā jāe to aisā hī kiyā jāe.
12 Agar ek se zāyd jānwaroṅ ko qurbān karnā hai to har ek ke lie muqarrarā ġhallā aur mai kī nazareṅ bhī sāth hī pesh kī jāeṅ.
13 Lāzim hai ki har desī Isrāīlī jalne wālī qurbāniyāṅ pesh karte waqt aisā hī kare. Phir un kī ḳhushbū Rab ko pasand āegī.
14 Yih bhī lāzim hai ki Isrāīl meṅ ārizī yā mustaqil taur par rahne wāle pardesī in usūloṅ ke mutābiq apnī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ. Phir un kī ḳhushbū Rab ko pasand āegī.
15 Mulk-e-Kanān meṅ rahne wāle tamām logoṅ ke lie pābandiyāṅ ek jaisī haiṅ, ḳhāh wuh desī hoṅ yā pardesī, kyoṅki Rab kī nazar meṅ pardesī tumhāre barābar hai. Yih tumhāre aur tumhārī aulād ke lie dāymī usūl hai.
16 Tumhāre aur tumhāre sāth rahne wāle pardesī ke lie ek hī sharīat hai.”
Fasal ke lie Shukrguzārī kī Qurbānī
17 Rab ne Mūsā se kahā,
18 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jis meṅ maiṅ tumheṅ le jā rahā hūṅ
19 aur wahāṅ kī paidāwār khāoge to pahle us kā ek hissā uṭhāne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh karnā.
20 Fasal ke pahle ḳhālis āṭe meṅ se mere lie ek roṭī banā kar uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karo. Wuh gāhne kī jagah kī taraf se Rab ke lie uṭhāne wālī qurbānī hogī.
21 Apnī fasal ke pahle ḳhālis āṭe meṅ se yih qurbānī pesh kiyā karo. Yih usūl hameshā tak lāgū rahe.
Nādānistā Gunāhoṅ ke lie Qurbāniyāṅ
22 Ho saktā hai ki ġhairirādī taur par tum se ġhaltī huī hai aur tum ne un ahkām par pūre taur par amal nahīṅ kiyā jo Rab Mūsā ko de chukā hai
23 yā jo wuh āne wālī nasloṅ ko degā.
24 Agar jamāt is bāt se nāwāqif thī aur ġhairirādī taur par us se ġhaltī huī to phir pūrī jamāt ek jawān bail bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kare. Sāth hī wuh muqarrarā ġhallā aur mai kī nazareṅ bhī pesh kare. Is kī ḳhushbū Rab ko pasand hogī. Is ke alāwā jamāt gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā pesh kare.
25 Imām Isrāīl kī pūrī jamāt kā kaffārā de to unheṅ muāfī milegī, kyoṅki un kā gunāh ġhairirādī thā aur unhoṅ ne Rab ko bhasm hone wālī qurbānī aur gunāh kī qurbānī pesh kī hai.
26 Isrāīliyoṅ kī pūrī jamāt ko pardesiyoṅ samet muāfī milegī, kyoṅki gunāh ġhairirādī thā.
27 Agar sirf ek shaḳhs se ġhairirādī taur par gunāh huā ho to gunāh kī qurbānī ke lie wuh ek yaksālā bakrī pesh kare.
28 Imām Rab ke sāmne us shaḳhs kā kaffārā de. Jab kaffārā de diyā gayā to use muāfī hāsil hogī.
29 Yihī usūl pardesī par bhī lāgū hai. Agar us se ġhairirādī taur par gunāh huā ho to wuh muāfī hāsil karne ke lie wuhī kuchh kare jo Isrāīlī ko karnā hotā hai.
Dānistā Gunāhoṅ ke lie Sazā-e-Maut
30 Lekin agar koī desī yā pardesī jān-būjh kar gunāh kartā hai to aisā shaḳhs Rab kī ihānat kartā hai, is lie lāzim hai ki use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
31 Us ne Rab kā kalām haqīr jān kar us ke ahkām toṛ ḍāle haiṅ, is lie use zarūr qaum meṅ se miṭāyā jāe. Wuh apne gunāh kā zimmedār hai.”
32 Jab Isrāīlī registān meṅ se guzar rahe the to ek ādmī ko pakaṛā gayā jo hafte ke din lakaṛiyāṅ jamā kar rahā thā.
33 Jinhoṅ ne use pakaṛā thā wuh use Mūsā, Hārūn aur pūrī jamāt ke pās le āe.
34 Chūṅki sāf mālūm nahīṅ thā ki us ke sāth kyā kiyā jāe is lie unhoṅ ne use giriftār kar liyā.
35 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Is ādmī ko zarūr sazā-e-maut dī jāe. Pūrī jamāt use ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar sangsār kare.”
36 Chunāṅche jamāt ne use ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar sangsār kiyā, jis tarah Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
Ahkām kī Yād Dilāne Wāle Phundne
37 Rab ne Mūsā se kahā,
38 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki tum aur tumhāre bād kī nasleṅ apne libās ke kināroṅ par phundne lagāeṅ. Har phundnā ek qirmizī ḍorī se libās ke sāth lagā ho.
39 In phundnoṅ ko dekh kar tumheṅ Rab ke tamām ahkām yād raheṅge aur tum un par amal karoge. Phir tum apne diloṅ aur āṅkhoṅ kī ġhalat ḳhāhishoṅ ke pīchhe nahīṅ paṛoge balki zinākārī se dūr rahoge.
40 Phir tum mere ahkām ko yād karke un par amal karoge aur apne Ḳhudā ke sāmne maḳhsūs-o-muqaddas rahoge.
41 Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jo tumheṅ Misr se nikāl lāyā tāki tumhārā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”