26
Dūsrī Mardumshumārī
Wabā ke bād Rab ne Mūsā aur Hārūn ke beṭe Iliyazar se kahā,
“Pūrī Isrāīlī jamāt kī mardumshumārī un ke ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. Un tamām mardoṅ ko ginanā jo 20 sāl yā is se zāyd ke haiṅ aur jo jang laṛne ke qābil haiṅ.”
3-4 Mūsā aur Iliyazar ne Isrāīliyoṅ ko batāyā ki Rab ne unheṅ kyā hukm diyā hai. Chunāṅche unhoṅ ne Moāb ke maidānī ilāqe meṅ Yarīhū ke sāmne, lekin Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par mardumshumārī kī. Yih wuh Isrāīlī ādmī the jo Misr se nikle the.
5-7 Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin ke qabīle ke 43,730 mard the. Qabīle ke chār kunbe Hanūkī, Falluwī, Hasronī aur Karmī Rūbin ke beṭoṅ Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī se nikle hue the. Rūbin kā beṭā Fallū Iliyāb kā bāp thā jis ke beṭe Namuel, Dātan aur Abīrām the.
Dātan aur Abīrām wuhī log the jinheṅ jamāt ne chunā thā aur jinhoṅ ne Qorah ke guroh samet Mūsā aur Hārūn se jhagaṛte hue ḳhud Rab se jhagaṛā kiyā. 10 Us waqt zamīn ne apnā muṅh khol kar unheṅ Qorah samet haṛap kar liyā thā. Us ke 250 sāthī bhī mar gae the jab āg ne unheṅ bhasm kar diyā. Yoṅ wuh sab Isrāīl ke lie ibratangez misāl ban gae the. 11 Lekin Qorah kī pūrī nasl miṭāī nahīṅ gaī thī.
12-14 Shamāūn ke qabīle ke 22,200 mard the. Qabīle ke pāṅch kunbe Namuelī, Yamīnī, Yakīnī, Zārhī aur Sāūlī Shamāūn ke beṭoṅ Namuel, Yamīn, Yakīn, Zārah aur Sāūl se nikle hue the.
15-18 Jad ke qabīle ke 40,500 mard the. Qabīle ke sāt kunbe Safonī, Hajjī, Sūnī, Uznī, Erī, Arūdī aur Arelī Jad ke beṭoṅ Safon, Hajjī, Sūnī, Uznī, Erī, Arūd aur Arelī se nikle hue the.
19-22 Yahūdāh ke qabīle ke 76,500 mard the. Yahūdāh ke do beṭe Er aur Onān Misr āne se pahle Kanān meṅ mar gae the. Qabīle ke tīn kunbe Selānī, Fārsī aur Zārhī Yahūdāh ke beṭoṅ Selā, Fāras aur Zārah se nikle hue the.
Fāras ke do beṭoṅ Hasron aur Hamūl se do kunbe Hasronī aur hamūlī nikle hue the. 23-25 Ishkār ke qabīle ke 64,300 mard the. Qabīle ke chār kunbe Tolaī, Fuwwī, Yasūbī aur Simronī Ishkār ke beṭoṅ Tolā, Fuwwā, Yasūb aur Simron se nikle hue the.
26-27 Zabūlūn ke qabīle ke 60,500 mard the. Qabīle ke tīn kunbe Sardī, Ailonī aur Yahliyelī Zabūlūn ke beṭoṅ sard, Ailon aur Yahliyel se nikle hue the.
28 Yūsuf ke do beṭoṅ Manassī aur Ifrāīm ke alag alag qabīle bane.
29-34 Manassī ke qabīle ke 52,700 mard the. Qabīle ke āṭh kunbe Makīrī, Jiliyādī, Iyazrī, Ḳhalqī, Asriyelī, Sikmī, Samīdāī aur Hifrī the. Makīrī Manassī ke beṭe Makīr se jabki Jiliyādī Makīr ke beṭe Jiliyād se nikle hue the. Bāqī kunbe Jiliyād ke chhih beṭoṅ Iyazar, Ḳhalaq, Asriyel, Sikam, Samīdā aur Hifar se nikle hue the.
Hifar Silāfihād kā bāp thā. Silāfihād kā koī beṭā nahīṅ balki pāṅch beṭiyāṅ Mahlāh, Nūsāh, Hujlāh, Milkāh aur Tirzā thīṅ.
35-37 Ifrāīm ke qabīle ke 32,500 mard the. Qabīle ke chār kunbe Sūtalhī, Bakrī, Tahnī aur Īrānī the. Pahle tīn kunbe Ifrāīm ke beṭoṅ Sūtalah, Bakar aur Tahan se jabki Īrānī Sūtalah ke beṭe Īrān se nikle hue the.
38-41 Binyamīn ke qabīle ke 45,600 mard the. Qabīle ke sāt kunbe Bālāī, Ashbelī, Aḳhīrāmī, Sūfāmī, Hūfāmī, Ardī aur Nāmānī the. Pahle pāṅch kunbe Binyamīn ke beṭoṅ Bālā, Ashbel, Aḳhīrām, Sūfām aur Hūfām se jabki Ardī aur Nāmānī Bālā ke beṭoṅ se nikle hue the.
42-43 Dān ke qabīle ke 64,400 mard the. Sab Dān ke beṭe Sūhām se nikle hue the, is lie Sūhāmī kahlāte the.
44-47 Āshar ke qabīle ke 53,400 mard the. Qabīle ke pāṅch kunbe Yimnī, Iswī, Barī'ī, Hibarī aur Malkiyelī the. Pahle tīn kunbe Āshar ke beṭoṅ Yimnā, Iswī aur Bariyā se jabki bāqī Bariyā ke beṭoṅ Hibar aur Malkiyel se nikle hue the. Āshar kī ek beṭī banām Sirah bhī thī.
48-50 Naftālī ke qabīle ke 45,400 mard the. Qabīle ke chār kunbe Yahsiyelī, Jūnī, Yisrī aur Sillīmī Naftālī ke beṭoṅ Yahsiyel, Jūnī, Yisar aur Sillīm se nikle hue the.
51 Isrāīlī mardoṅ kī kul tādād 6,01,730 thī.
52 Rab ne Mūsā se kahā, 53 “Jab Mulk-e-Kanān ko taqsīm kiyā jāegā to zamīn in kī tādād ke mutābiq denā hai. 54 Baṛe qabīloṅ ko chhoṭe kī nisbat zyādā zamīn dī jāe. Har qabīle kā ilāqā us kī tādād se mutābiqat rakhe. 55-56 Qurā ḍālne se faislā kiyā jāe ki har qabīle ko kahāṅ zamīn milegī. Lekin har qabīle ke ilāqe kā raqbā is par mabnī ho ki qabīle ke kitne afrād haiṅ.”
57 Lāwī ke qabīle ke tīn kunbe Jairsonī, Qihātī aur Mirārī Lāwī ke beṭoṅ Jairson, Qihāt aur Mirārī se nikle hue the. 58 Is ke alāwā Libnī, Hibrūnī, Mahlī, Mūshī aur Korhī bhī Lāwī ke kunbe the. Qihāt Amrām kā bāp thā. 59 Amrām ne Lāwī aurat Yūkabid se shādī kī jo Misr meṅ paidā huī thī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā aur ek beṭī Mariyam paidā hue. 60 Hārūn ke beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the. 61 Lekin Nadab aur Abīhū Rab ko baḳhūr kī nājāyz qurbānī pesh karne ke bāis mar gae. 62 Lāwiyoṅ ke mardoṅ kī kul tādād 23,000 thī. In meṅ wuh sab shāmil the jo ek māh yā is se zāyd ke the. Unheṅ dūsre Isrāīliyoṅ se alag ginā gayā, kyoṅki unheṅ Isrāīl meṅ mīrās meṅ zamīn nahīṅ milnī thī.
63 Yoṅ Mūsā aur Iliyazar ne Moāb ke maidānī ilāqe meṅ Yarīhū ke sāmne lekin Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī kī. 64 Logoṅ ko ginte ginte unheṅ mālūm huā ki jo log Dasht-e-Sīn meṅ Mūsā aur Hārūn kī pahlī mardumshumārī meṅ gine gae the wuh sab mar chuke haiṅ. 65 Rab ne kahā thā ki wuh sab ke sab registān meṅ mar jāeṅge, aur aisā hī huā thā. Sirf Kālib bin Yafunnā aur Yashua bin Nūn zindā rahe.