34
Mulk-e-Kanān kī Sarhaddeṅ
Rab ne Mūsā se kahā, “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ mīrās meṅ dūṅgā to us kī sarhaddeṅ yih hoṅgī:
Us kī junūbī sarhad Dasht-e-Sīn meṅ Adom kī sarhad ke sāth sāth chalegī. Mashriq meṅ wuh Bahīrā-e-Murdār ke junūbī sāhil se shurū hogī, phir in jaghoṅ se ho kar maġhrib kī taraf guzaregī: Darrā-e-Aqrabbīm ke junūb meṅ se, Dasht-e-Sīn meṅ se, Qādis-barnīa ke junūb meṅ se Hasar-addār aur Azmūn meṅ se. Wahāṅ se wuh muṛ kar Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr ke sāth sāth Bahīrā-e-Rūm tak pahuṅchegī. Us kī maġhribī sarhad Bahīrā-e-Rūm kā sāhil hogā. Us kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se le kar in jaghoṅ se ho kar mashriq kī taraf guzaregī: Hor Pahāṛ, Labo-hamāt, Sidād, Zifrūn aur Hasar-enān. Hasar-enān shimālī sarhad kā sab se mashriqī maqām hogā. 10 Us kī mashriqī sarhad shimāl meṅ Hasar-enān se shurū hogī. Phir wuh in jaghoṅ se ho kar junūb kī taraf guzaregī: Sifām, 11 Riblā jo Ain ke mashriq meṅ hai aur Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl ke mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqā. 12 Is ke bād wuh Dariyā-e-Yardan ke kināre kināre guzartī huī Bahīrā-e-Murdār tak pahuṅchegī. Yih tumhāre mulk kī sarhaddeṅ hoṅgī.”
13 Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Yih wuhī mulk hai jise tumheṅ qurā ḍāl kar taqsīm karnā hai. Rab ne hukm diyā hai ki use bāqī sāṛhe nau qabīloṅ ko denā hai. 14 Kyoṅki aṛhāī qabīloṅ ke ḳhāndānoṅ ko un kī mīrās mil chukī hai yānī Rūbin aur Jad ke pūre qabīle aur Manassī ke ādhe qabīle ko. 15 Unheṅ yahāṅ, Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke sāmne zamīn mil chukī hai.”
Mulk Taqsīm Karne ke Zimmedār Ādmī
16 Rab ne Mūsā se kahā, 17 “Iliyazar Imām aur Yashua bin Nūn logoṅ ke lie mulk taqsīm kareṅ. 18 Har qabīle ke ek ek rāhnumā ko bhī chunanā tāki wuh taqsīm karne meṅ madad kare. Jin ko tumheṅ chunanā hai un ke nām yih haiṅ:
19 Yahūdāh ke qabīle kā Kālib bin Yafunnā,
20 Shamāūn ke qabīle kā Samuel bin Ammīhūd,
21 Binyamīn ke qabīle kā Ilīdād bin Kislon,
22 Dān ke qabīle kā Buqqī bin Yuglī,
23 Manassī ke qabīle kā Hanniyel bin Afūd,
24 Ifrāīm ke qabīle kā Qamuel bin Siftān,
25 Zabūlūn ke qabīle kā Ilīsafan bin Farnāk,
26 Ishkār ke qabīle kā Faltiyel bin Azzān,
27 Āshar ke qabīle kā Aḳhīhūd bin Shalūmī,
28 Naftālī ke qabīle kā Fidāhel bin Ammīhūd.”
29 Rab ne inhīṅ ādmiyoṅ ko mulk ko Isrāīliyoṅ meṅ taqsīm karne kī zimmedārī dī.