2 Patras
1
1 Yih ḳhat Īsā Masīh ke ḳhādim aur rasūl Shamāūn Patras kī taraf se hai.
Maiṅ un sab ko likh rahā hūṅ jinheṅ hamāre Ḳhudā aur Najātdahindā Īsā Masīh kī rāstbāzī ke wasīle se wuhī beshqīmat īmān baḳhshā gayā hai jo hameṅ bhī milā.
2 Ḳhudā kare ki āp use aur hamāre Ḳhudāwand Īsā ko jānane meṅ taraqqī karte karte kasrat se fazl aur salāmatī pāte jāeṅ.
Allāh kā Bulāwā
3 Allāh ne apnī ilāhī qudrat se hameṅ wuh sab kuchh atā kiyā hai jo ḳhudātars zindagī guzārne ke lie zarūrī hai. Aur hameṅ yih use jān lene se hāsil huā hai. Kyoṅki us ne hameṅ apne zātī jalāl aur qudrat ke zariye bulāyā hai.
4 Is jalāl aur qudrat se us ne hameṅ wuh azīm aur beshqīmat chīzeṅ dī haiṅ jin kā wādā us ne kiyā thā. Kyoṅki wuh chāhtā thā ki āp in se duniyā kī burī ḳhāhishāt se paidā hone wāle fasād se bach kar us kī ilāhī zāt meṅ sharīk ho jāeṅ.
5 Yih sab kuchh pesh-e-nazar rakh kar pūrī lagan se koshish kareṅ ki āp ke īmān se aḳhlāq paidā ho jāe, aḳhlāq se ilm,
6 ilm se zabt-e-nafs, zabt-e-nafs se sābitqadmī, sābitqadmī se ḳhudātars zindagī,
7 ḳhudātars zindagī se barādarānā shafqat aur barādarānā shafqat se sab ke lie muhabbat.
8 Kyoṅki jitnā hī āp in ḳhūbiyoṅ meṅ baṛhte jāeṅge utnā hī yih āp ko is se mahfūz rakheṅgī ki āp hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ko jānane meṅ sust aur bephal raheṅ.
9 Lekin jis meṅ yih khūbiyāṅ nahīṅ haiṅ us kī nazar itnī kamzor hai ki wuh andhā hai. Wuh bhūl gayā hai ki use us ke guzare gunāhoṅ se pāk-sāf kiyā gayā hai.
10 Chunāṅche bhāiyo, mazīd lagan se apne bulāwe aur chunāo kī tasdīq karne meṅ koshāṅ raheṅ. Kyoṅki yih karne se āp gir jāne se bacheṅge
11 aur Allāh baṛī ḳhushī se āp ko hamāre Ḳhudāwand aur Najātdahindā Īsā Masīh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī ijāzat degā.
12 Is lie maiṅ hameshā āp ko in bātoṅ kī yād dilātā rahūṅgā, hālāṅki āp in se wāqif haiṅ aur mazbūtī se us sachchāī par qāym haiṅ jo āp ko milī hai.
13 Balki maiṅ apnā farz samajhtā hūṅ ki jitnī aur der maiṅ jism kī is jhoṅpṛī meṅ rahtā hūṅ āp ko in bātoṅ kī yād dilāne se ubhārtā rahūṅ.
14 Kyoṅki mujhe mālūm hai ki ab merī yih jhoṅpṛī jald hī ḍhā dī jāegī. Hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ne bhī mujh par yih zāhir kiyā thā.
15 Lekin maiṅ pūrī koshish karūṅga ki mere kūch kar jāne ke bād bhī āp har waqt in bātoṅ ko yād rakh sakeṅ.
Masīh ke Jalāl ke Gawāh
16 Kyoṅki jab ham ne āp ko apne aur āp ke Ḳhudāwand Masīh kī qudrat aur āmad ke bāre meṅ batāyā to ham chālākī se ghaṛe qisse-kahāniyoṅ par inhisār nahīṅ kar rahe the balki ham ne yih gawāhoṅ kī haisiyat se batāyā. Kyoṅki ham ne apnī hī āṅkhoṅ se us kī azmat dekhī thī.
17 Ham maujūd the jab use Ḳhudā Bāp se izzat-o-jalāl milā, jab ek āwāz ne Allāh kī purjalāl shān se ā kar kahā, “Yih merā pyārā Farzand hai jis se maiṅ ḳhush hūṅ.”
18 Jab ham us ke sāth muqaddas pahāṛ par the to ham ne ḳhud yih āwāz āsmān se ātī sunī.
19 Is tajrabe kī binā par hamārā nabiyoṅ ke paiġhām par etamād zyādā mazbūt hai. Āp achchhā kareṅge agar is par ḳhūb dhyān deṅ. Kyoṅki yih kisī tārīk jagah meṅ raushnī kī mānind hai jo us waqt tak chamaktī rahegī jab tak pau phaṭ kar subah kā sitārā āp ke diloṅ meṅ tulū na ho jāe.
20 Sab se baṛh kar āp ko yih samajhne kī zarūrat hai ki kalām-e-muqaddas kī koī bhī peshgoī nabī kī apnī hī tafsīr se paidā nahīṅ hotī.
21 Kyoṅki koī bhī peshgoī kabhī bhī insān kī tahrīk se wujūd meṅ nahīṅ āī balki peshgoī karte waqt insānoṅ ne Rūhul-quds se tahrīk pā kar Allāh kī taraf se bāt kī.