21
Bādshāh kā dil Rab ke hāth meṅ nahar kī mānind hai. Wuh jidhar chāhe us kā ruḳh pher detā hai.
Har ādmī kī rāh us kī apnī nazar meṅ ṭhīk lagtī hai, lekin Rab hī diloṅ kī jāṅch-paṛtāl kartā hai.
Rāstbāzī aur insāf karnā Rab ko zabah kī qurbāniyoṅ se kahīṅ zyādā pasand hai.
Maġhrūr āṅkheṅ aur mutakabbir dil jo bedīnoṅ kā charāġh haiṅ gunāh haiṅ.
Mehnatī shaḳhs ke mansūbe nafā kā bāis haiṅ, lekin jaldbāzī ġhurbat tak pahuṅchā detī hai.
Farebdeh zabān se jamā kiyā huā ḳhazānā bikhar jāne wālā dhuāṅ aur mohlak phandā hai.
Bedīnoṅ kā zulm hī unheṅ ghasīṭ kar le jātā hai, kyoṅki wuh insāf karne se inkār karte haiṅ.
Qusūrwār kī rāh pechdār hai jabki pāk shaḳhs sīdhī rāh par chaltā hai.
Jhagaṛālū bīwī ke sāth ek hī ghar meṅ rahne kī nisbat chhat ke kisī kone meṅ guzārā karnā behtar hai.
10 Bedīn ġhalat kām karne ke lālach meṅ rahtā hai aur apne kisī bhī paṛosī par tars nahīṅ khātā.
11 Tānāzan par jurmānā lagā to sādālauh sabaq sīkhegā, dānishmand ko tālīm de to us ke ilm meṅ izāfā hogā.
12 Allāh jo rāst hai bedīn ke ghar ko dhyān meṅ rakhtā hai, wuhī bedīn ko ḳhāk meṅ milā detā hai.
13 Jo kān meṅ unglī ḍāl kar ġharīb kī madad ke lie chīḳheṅ nahīṅ suntā wuh bhī ek din chīḳheṅ māregā, aur us kī bhī sunī nahīṅ jāegī.
14 Poshīdagī meṅ silā dene se dūsre kā ġhussā ṭhanḍā ho jātā, kisī kī jeb garm karne se us kā saḳht taish dūr ho jātā hai.
15 Jab insāf kiyā jāe to rāstbāz ḳhush ho jātā, lekin badkār dahshat khāne lagtā hai.
16 Jo samajh kī rāh se bhaṭak jāe wuh ek din murdoṅ kī jamāt meṅ ārām karegā.
17 Jo aish-o-ishrat kī zindagī pasand kare wuh ġharīb ho jāegā, jise mai aur tel pyārā ho wuh amīr nahīṅ ho jāegā.
18 Jab rāstbāz kā fidyā denā hai to bedīn ko diyā jāegā, aur diyānatdār kī jagah bewafā ko diyā jāegā.
19 Jhagaṛālū aur tang karne wālī bīwī ke sāth basne kī nisbat registān meṅ guzārā karnā behtar hai.
20 Dānishmand ke ghar meṅ umdā ḳhazānā aur tel hotā hai, lekin ahmaq apnā sārā māl haṛap kar letā hai.
21 Jo insāf aur shafqat kā tāqqub kartā rahe wuh zindagī, rāstī aur izzat pāegā.
22 Dānishmand ādmī tāqatwar faujiyoṅ ke shahr par hamlā karke wuh qilābandī ḍhā detā hai jis par un kā pūrā etamād thā.
23 Jo apne muṅh aur zabān kī pahrādārī kare wuh apnī jān ko musībat se bachāe rakhtā hai.
24 Maġhrūr aur ghamanḍī kā nām ‘Tānāzan’ hai, har kām wuh behad takabbur ke sāth kartā hai.
25 Kāhil kā lālach use maut ke ghāṭ utār detā hai, kyoṅki us ke hāth kām karne se inkār karte haiṅ.
26 Lālchī pūrā din lālach kartā rahtā hai, lekin rāstbāz faiyāzdilī se detā hai.
27 Bedīnoṅ kī qurbānī qābil-e-ghin hai, ḳhāskar jab use bure maqsad se pesh kiyā jāe.
28 Jhūṭā gawāh tabāh ho jāegā, lekin jo dūsre kī dhyān se sune us kī bāt hameshā tak qāym rahegī.
29 Bedīn ādmī gustāḳh andāz se pesh ātā hai, lekin sīdhī rāh par chalne wālā soch-samajhkar apnī rāh par chaltā hai.
30 Kisī kī bhī hikmat, samajh yā mansūbā Rab kā sāmnā nahīṅ kar saktā.
31 Ghoṛe ko jang ke din ke lie taiyār to kiyā jātā hai, lekin fatah Rab ke hāth meṅ hai.