27
1 Us par sheḳhī na mār jo tū kal karegā, tujhe kyā mālūm ki kal kā din kyā kuchh farāham karegā?
2 Terā apnā muṅh aur apne hoṅṭ terī tārīf na kareṅ balki wuh jo tujh se wāqif bhī na ho.
3 Patthar bhārī aur ret waznī hai, lekin jo ahmaq tujhe tang kare wuh zyādā nāqābil-e-bardāsht hai.
4 Ġhussā zālim hotā aur taish sailāb kī tarah insān par ā jātā hai, lekin kaun hasad kā muqābalā kar saktā hai?
5 Khulī malāmat chhupī huī muhabbat se behtar hai.
6 Pyār karne wāle kī zarbeṅ wafā kā sabūt haiṅ, lekin nafrat karne wāle ke muta'addid bosoṅ se ḳhabardār rah.
7 Jo ser hai wuh shahd ko bhī pāṅwoṅ tale raund detā hai, lekin bhūke ko kaṛwī chīzeṅ bhī mīṭhī lagtī haiṅ.
8 Jo ādmī apne ghar se nikal kar mārā mārā phire wuh us parinde kī mānind hai jo apne ghoṅsle se bhāg kar kabhī idhar kabhī idhar phaṛphaṛātā rahtā hai.
9 Tel aur baḳhūr dil ko ḳhush karte haiṅ, lekin dost apne achchhe mashwaroṅ se ḳhushī dilātā hai.
10 Apne dostoṅ ko kabhī na chhoṛ, na apne zātī dostoṅ ko na apne bāp ke dostoṅ ko. Tab tujhe musībat ke din apne bhāī se madad nahīṅ māṅgnī paṛegī. Kyoṅki qarīb kā paṛosī dūr ke bhāī se behtar hai.
11 Mere beṭe, dānishmand ban kar mere dil ko ḳhush kar tāki maiṅ apne haqīr jānane wāle ko jawāb de sakūṅ.
12 Zahīn ādmī ḳhatrā pahle se bhāṅp kar chhup jātā hai, jabki sādālauh āge baṛh kar us kī lapeṭ meṅ ā jātā hai.
13 Zamānat kā wuh libās wāpas na kar jo kisī ne pardesī kā zāmin ban kar diyā hai. Agar wuh ajnabī aurat kā zāmin ho to us zamānat par zarūr qabzā kar jo us ne dī thī.
14 Jo subah-sawere buland āwāz se apne paṛosī ko barkat de us kī barkat lānat ṭhahrāī jāegī.
15 Jhagaṛālū bīwī mūslādhār bārish ke bāis musalsal ṭapakne wālī chhat kī mānind hai.
16 Use roknā hawā ko rokne yā tel ko pakaṛne ke barābar hai.
17 Lohā lohe ko aur insān insān ke zahan ko tez kartā hai.
18 Jo anjīr ke daraḳht kī dekh-bhāl kare wuh us kā phal khāegā, jo apne mālik kī wafādārī se ḳhidmat kare us kā ehtirām kiyā jāegā.
19 Jis tarah pānī chehre ko mun'akis kartā hai usī tarah insān kā dil insān ko mun'akis kartā hai.
20 Na maut aur na Pātāl kabhī ser hote haiṅ, na insān kī āṅkheṅ.
21 Sonā aur chāṅdī kuṭhālī meṅ pighlā kar pāk-sāf kar, lekin insān kā kirdār is se mālūm kar ki log us kī kitnī qadar karte haiṅ.
22 Agar ahmaq ko anāj kī tarah okhlī aur mūsal se kūṭā bhī jāe to bhī us kī hamāqat dūr nahīṅ ho jāegī.
23 Ehtiyāt se apnī bheṛ-bakriyoṅ kī hālat par dhyān de, apne rewaṛoṅ par ḳhūb tawajjuh de.
24 Kyoṅki koī bhī daulat hameshā tak qāym nahīṅ rahtī, koī bhī tāj nasl-dar-nasl barqarār nahīṅ rahtā.
25 Khule maidān meṅ ghās kāṭ kar jamā kar tāki naī ghās ug sake, chārā pahāṛoṅ se bhī ikaṭṭhā kar.
26 Tab tū bheṛoṅ kī ūn se kapṛe banā sakegā, bakroṅ kī faroḳht se khet ḳharīd sakegā,
27 aur bakriyāṅ itnā dūdh deṅgī ki tere, tere ḳhāndān aur tere naukar-chākaroṅ ke lie kāfī hogā.