31
Lamuel kī Kahāwateṅ
Zail meṅ Massā ke bādshāh Lamuel kī kahāwateṅ haiṅ. Us kī māṅ ne use yih tālīm dī,
Ai mere beṭe, mere peṭ ke phal, jo merī mannatoṅ se paidā huā, maiṅ tujhe kyā batāūṅ? Apnī pūrī tāqat auratoṅ par zāe na kar, un par jo bādshāhoṅ kī tabāhī kā bāis haiṅ.
Ai Lamuel, bādshāhoṅ ke lie mai pīnā munāsib nahīṅ, hukmrānoṅ ke lie sharāb kī ārzū rakhnā mauzūṅ nahīṅ. Aisā na ho ki wuh pī pī kar qawānīn bhūl jāeṅ aur tamām mazlūmoṅ kā haq māreṅ. Sharāb unheṅ pilā jo tabāh hone wāle haiṅ, mai unheṅ pilā jo ġham khāte haiṅ, aise hī pī pī kar apnī ġhurbat aur musībat bhūl jāeṅ.
Apnā muṅh un ke lie khol jo bol nahīṅ sakte, un ke haq meṅ jo zarūratmand haiṅ. Apnā muṅh khol kar insāf se adālat kar aur musībatzadā aur ġharīboṅ ke huqūq mahfūz rakh.
Sughaṛ Bīwī kī Tārīf
10 Sughaṛ bīwī kaun pā saktā hai? Aisī aurat motiyoṅ se kahīṅ zyādā beshqīmat hai. 11 Us par us ke shauhar ko pūrā etamād hai, aur wuh nafā se mahrūm nahīṅ rahegā. 12 Umr-bhar wuh use nuqsān nahīṅ pahuṅchāegī balki barkat kā bāis hogī.
13 Wuh ūn aur san chun kar baṛī mehnat se dhāgā banā letī hai. 14 Tijāratī jahāzoṅ kī tarah wuh dūr-darāz ilāqoṅ se apnī roṭī le ātī hai.
15 Wuh pau phaṭne se pahle hī jāg uṭhtī hai tāki apne ghar wāloṅ ke lie khānā aur apnī naukarāniyoṅ ke lie un kā hissā taiyār kare. 16 Soch-bichār ke bād wuh khet ḳharīd letī, apne kamāe hue paisoṅ se angūr kā bāġh lagā letī hai.
17 Tāqat se kamarbastā ho kar wuh apne bāzuoṅ ko mazbūt kartī hai. 18 Wuh mahsūs kartī hai, “Merā kārobār fāydāmand hai,” is lie us kā charāġh rāt ke waqt bhī nahīṅ bujhtā. 19 Us ke hāth har waqt ūn aur katān kātne meṅ masrūf rahte haiṅ. 20 Wuh apnī muṭṭhī musībatzadoṅ aur ġharīboṅ ke lie khol kar un kī madad kartī hai. 21 Jab barf paṛe to use ghar wāloṅ ke bāre meṅ koī ḍar nahīṅ, kyoṅki sab garm garm kapṛe pahne hue haiṅ. 22 Apne bistar ke lie wuh achchhe kambal banā letī, aur ḳhud wuh bārīk katān aur arġhawānī rang ke libās pahne phirtī hai.
23 Shahr ke darwāze meṅ baiṭhe mulk ke buzurg us ke shauhar se ḳhūb wāqif haiṅ, aur jab kabhī koī faislā karnā ho to wuh bhī shūrā meṅ sharīk hotā hai.
24 Bīwī kapṛoṅ kī silāī karke unheṅ faroḳht kartī hai, saudāgar us ke kamarband ḳharīd lete haiṅ.
25 Wuh tāqat aur waqār se mulabbas rahtī aur haṅs kar āne wāle dinoṅ kā sāmnā kartī hai. 26 Wuh hikmat se bāt kartī, aur us kī zabān par shafīq tālīm rahtī hai. 27 Wuh sustī kī roṭī nahīṅ khātī balki apne ghar meṅ har muāmale kī dekh-bhāl kartī hai.
28 Us ke beṭe khaṛe ho kar use mubārak kahte haiṅ, us kā shauhar bhī us kī tārīf karke kahtā hai, 29 “Bahut-sī aurateṅ sughaṛ sābit huī haiṅ, lekin tū un sab par sabqat rakhtī hai!”
30 Dilfarebī, dhokā aur husn pal-bhar kā hai, lekin jo aurat Allāh kā ḳhauf māne wuh qābil-e-tārīf hai. 31 Use us kī mehnat kā ajr do! Shahr ke darwāzoṅ meṅ us ke kām us kī satāish kareṅ!.