6
Zamānat Dene, Kāhilī aur Jhūṭ se Ḳhabardār
1 Mere beṭe, kyā tū apne paṛosī kā zāmin banā hai? Kyā tū ne hāth milā kar wādā kiyā hai ki maiṅ kisī dūsre kā zimmedār ṭhahrūṅga?
2 Kyā tū apne wāde se bandhā huā, apne muṅh ke alfāz se phaṅsā huā hai?
3 Aisā karne se tū apne paṛosī ke hāth meṅ ā gayā hai, is lie apnī jān ko chhuṛāne ke lie us ke sāmne aundhe muṅh ho kar use apnī minnat-samājat se tang kar.
4 Apnī āṅkhoṅ ko sone na de, apne papoṭoṅ ko ūṅghne na de jab tak tū is zimmedārī se fāriġh na ho jāe.
5 Jis tarah ġhazāl shikārī ke hāth se aur parindā chiṛīmār ke hāth se chhūṭ jātā hai usī tarah sirtoṛ koshish kar tāki terī jān chhūṭ jāe.
6 Ai kāhil, chiyūṅṭī ke pās jā kar us kī rāhoṅ par ġhaur kar! Us ke namūne se hikmat sīkh le.
7 Us par na sardār, na afsar yā hukmrān muqarrar hai,
8 to bhī wuh garmiyoṅ meṅ sardiyoṅ ke lie khāne kā zaḳhīrā kar rakhtī, fasal ke dinoṅ meṅ ḳhūb ḳhurāk ikaṭṭhī kartī hai.
9 Ai kāhil, tū mazīd kab tak soyā rahegā, kab jāg uṭhegā?
10 Tū kahtā hai, “Mujhe thoṛī der sone de, thoṛī der ūṅghne de, thoṛī der hāth par hāth dhare baiṭhne de tāki ārām kar sakūṅ.”
11 Lekin ḳhabardār, jald hī ġhurbat rāhzan kī tarah tujh par āegī, muflisī hathiyār se lais ḍākū kī tarah tujh par ṭūṭ paṛegī.
12 Badmāsh aur kamīnā kis tarah pahchānā jātā hai? Wuh muṅh meṅ jhūṭ lie phirtā hai,
13 apnī āṅkhoṅ, pāṅwoṅ aur ungliyoṅ se ishārā karke tujhe fareb ke jāl meṅ phaṅsāne kī koshish kartā hai.
14 Us ke dil meṅ kajī hai, aur wuh har waqt bure mansūbe bāndhne meṅ lagā rahtā hai. Jahāṅ bhī jāe wahāṅ jhagaṛe chhiṛ jāte haiṅ.
15 Lekin aise shaḳhs par achānak hī āfat āegī. Ek hī lamhe meṅ wuh pāsh pāsh ho jāegā. Tab us kā ilāj nāmumkin hogā.
16 Rab chhih chīzoṅ se nafrat balki sāt chīzoṅ se ghin khātā hai,
17 wuh āṅkheṅ jo ġhurūr se deḳhtī haiṅ, wuh zabān jo jhūṭ boltī hai, wuh hāth jo begunāhoṅ ko qatl karte haiṅ,
18 wuh dil jo bure mansūbe bāndhtā hai, wuh pāṅw jo dūsroṅ ko nuqsān pahuṅchāne ke lie bhāgte haiṅ,
19 wuh gawāh jo adālat meṅ jhūṭ boltā aur wuh jo bhāiyoṅ meṅ jhagaṛā paidā kartā hai.
Zinā Karne se Ḳhabardār
20 Mere beṭe, apne bāp ke hukm se lipṭā rah, aur apnī māṅ kī hidāyat nazarandāz na kar.
21 Unheṅ yoṅ apne dil ke sāth bāndhe rakh ki kabhī dūr na ho jāeṅ. Unheṅ hār kī tarah apne gale meṅ ḍāl le.
22 Chalte waqt wuh terī rāhnumāī kareṅ, ārām karte waqt terī pahrādārī kareṅ, jāgte waqt tujh se hamkalām hoṅ.
23 Kyoṅki bāp kā hukm charāġh aur māṅ kī hidāyat raushnī hai, tarbiyat kī ḍānṭ-ḍapaṭ zindagībaḳhsh rāh hai.
24 Yoṅ tū badkār aurat aur dūsre kī zinākār bīwī kī chiknī-chupṛī bātoṅ se mahfūz rahegā.
25 Dil meṅ us ke husn kā lālach na kar, aisā na ho ki wuh palak mār mār kar tujhe pakaṛ le.
26 Kyoṅki go kasbī ādmī ko us ke paise se mahrūm kartī hai, lekin dūsre kī zinākār bīwī us kī qīmtī jān kā shikār kartī hai.
27 Kyā insān apnī jholī meṅ bhaṛaktī āg yoṅ uṭhā kar phir saktā hai ki us ke kapṛe na jaleṅ?
28 Yā kyā koī dahakte koeloṅ par yoṅ phir saktā hai ki us ke pāṅw jhulas na jāeṅ?
29 Isī tarah jo kisī dūsre kī bīwī se hambistar ho jāe us kā anjām burā hai, jo bhī dūsre kī bīwī ko chheṛe use sazā milegī.
30 Jo bhūk ke māre apnā peṭ bharne ke lie chorī kare use log had se zyādā haqīr nahīṅ jānte,
31 hālāṅki use chorī kie hue māl ko sāt gunā wāpas karnā hai aur us ke ghar kī daulat jātī rahegī.
32 Lekin jo kisī dūsre kī bīwī ke sāth zinā kare wuh beaql hai. Jo apnī jān ko tabāh karnā chāhe wuhī aisā kartā hai.
33 Us kī piṭāī aur be'izzatī kī jāegī, aur us kī sharmindagī kabhī nahīṅ miṭegī.
34 Kyoṅki shauhar ġhairat khā kar aur taish meṅ ā kar berahmī se badlā legā.
35 Na wuh koī muāwazā qabūl karegā, na rishwat legā, ḳhāh kitnī zyādā kyoṅ na ho.