101
Bādshāh kī Hukūmat Kaisī Honī Chāhie?
Dāūd kā zabūr.
Maiṅ shafqat aur insāf kā gīt gāūṅgā. Ai Rab, maiṅ terī madahsarāī karūṅga.
Maiṅ baṛī ehtiyāt se be'ilzām rāh par chalūṅgā. Lekin tū kab mere pās āegā? Maiṅ ḳhulūsdilī se apne ghar meṅ zindagī guzārūṅga.
Maiṅ sharārat kī bāt apne sāmne nahīṅ rakhtā aur burī harkatoṅ se nafrat kartā hūṅ. Aisī chīzeṅ mere sāth lipaṭ na jāeṅ.
Jhūṭā dil mujh se dūr rahe. Maiṅ burāī ko jānanā hī nahīṅ chāhtā.
Jo chupke se apne paṛosī par tohmat lagāe use maiṅ ḳhāmosh karāūṅgā, jis kī āṅkheṅ maġhrūr aur dil mutakabbir ho use bardāsht nahīṅ karūṅga.
Merī āṅkheṅ mulk ke wafādāroṅ par lagī rahtī haiṅ tāki wuh mere sāth raheṅ. Jo be'ilzām rāh par chale wuhī merī ḳhidmat kare.
Dhokebāz mere ghar meṅ na ṭhahre, jhūṭ bolne wālā merī maujūdagī meṅ qāym na rahe.
Har subah ko maiṅ mulk ke tamām bedīnoṅ ko ḳhāmosh karāūṅgā tāki tamām badkāroṅ ko Rab ke shahr meṅ se miṭāyā jāe.