121
Insān kā Wafādār Muhāfiz 
 
1 Ziyārat kā gīt.  
Maiṅ apnī āṅkhoṅ ko pahāṛoṅ kī taraf uṭhātā hūṅ. Merī madad kahāṅ se ātī hai?   
2 Merī madad Rab se ātī hai, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.   
   
 
3 Wuh terā pāṅw phisalne nahīṅ degā. Terā muhāfiz ūṅghne kā nahīṅ.   
4 Yaqīnan Isrāīl kā muhāfiz na ūṅghtā hai, na sotā hai.   
5 Rab terā muhāfiz hai, Rab tere dahne hāth par sāebān hai.   
6 Na din ko sūraj, na rāt ko chāṅd tujhe zarar pahuṅchāegā.   
7 Rab tujhe har nuqsān se bachāegā, wuh terī jān ko mahfūz rakhegā.   
8 Rab ab se abad tak tere āne jāne kī pahrādārī karegā.