47
Allāh Tamām Qaumoṅ kā Bādshāh Hai
Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Ai tamām qaumo, tālī bajāo! Ḳhushī ke nāre lagā kar Allāh kī madahsarāī karo!
Kyoṅki Rab T'ālā purjalāl hai, wuh pūrī duniyā kā azīm Bādshāh hai.
Us ne qaumoṅ ko hamāre taht kar diyā, ummatoṅ ko hamāre pāṅwoṅ tale rakh diyā.
Us ne hamāre lie hamārī mīrās ko chun liyā, usī ko jo us ke pyāre bande Yāqūb ke lie faḳhr kā bāis thā. (Silāh)
 
Allāh ne saūd farmāyā to sāth sāth ḳhushī kā nārā buland huā, Rab bulandī par chaṛh gayā to sāth sāth narsingā bajtā rahā.
Madahsarāī karo, Allāh kī madahsarāī karo! Madahsarāī karo, hamāre Bādshāh kī madahsarāī karo!
Kyoṅki Allāh pūrī duniyā kā Bādshāh hai. Hikmat kā gīt gā kar us kī satāish karo.
Allāh qaumoṅ par hukūmat kartā hai, Allāh apne muqaddas taḳht par baiṭhā hai.
Dīgar qaumoṅ ke shurafā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī qaum ke sāth jamā ho gae haiṅ, kyoṅki wuh duniyā ke hukmrānoṅ kā mālik hai. Wuh nihāyat hī sarbuland hai.