67
Tamām Qaumeṅ Allāh kī Tārīf Kareṅ
Zabūr. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Allāh ham par mehrbānī kare aur hameṅ barkat de. Wuh apne chehre kā nūr ham par chamkāe (Silāh)
tāki zamīn par terī rāh aur tamām qaumoṅ meṅ terī najāt mālūm ho jāe.
 
Ai Allāh, qaumeṅ terī satāish kareṅ, tamām qaumeṅ terī satāish kareṅ.
 
Ummateṅ shādmān ho kar ḳhushī ke nāre lagāeṅ, kyoṅki tū insāf se qaumoṅ kī adālat karegā aur zamīn par ummatoṅ kī qiyādat karegā. (Silāh)
 
Ai Allāh, qaumeṅ terī satāish kareṅ, tamām qaumeṅ terī satāish kareṅ.
 
Zamīn apnī fasleṅ detī hai. Allāh hamārā Ḳhudā hameṅ barkat de!
Allāh hameṅ barkat de, aur duniyā kī intahāeṅ sab us kā ḳhauf māneṅ.