82
Sab se Ālā Munsif
Āsaf kā zabūr.
Allāh ilāhī majlis meṅ khaṛā hai, mābūdoṅ ke darmiyān wuh adālat kartā hai,
“Tum kab tak adālat meṅ ġhalat faisle karke bedīnoṅ kī jānibdārī karoge? (Silāh)
Pasthāloṅ aur yatīmoṅ kā insāf karo, musībatzadoṅ aur zarūratmandoṅ ke huqūq qāym rakho.
Pasthāloṅ aur ġharīboṅ ko bachā kar bedīnoṅ ke hāth se chhuṛāo.”
 
Lekin wuh kuchh nahīṅ jānte, unheṅ samajh hī nahīṅ ātī. Wuh tārīkī meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar ghūmte-phirte haiṅ jabki zamīn kī tamām buniyādeṅ jhūmne lagī haiṅ.
Beshak maiṅ ne kahā, “Tum Ḳhudā ho, sab Allāh T'ālā ke farzand ho.
Lekin tum fānī insān kī tarah mar jāoge, tum dīgar hukmrānoṅ kī tarah gir jāoge.”
 
Ai Allāh, uṭh kar zamīn kī adālat kar! Kyoṅki tamām aqwām terī hī maurūsī milkiyat haiṅ.