18
Dāūd kī Jangeṅ
Phir aisā waqt āyā ki Dāūd ne Filistiyoṅ ko shikast de kar unheṅ apne tābe kar liyā aur Jāt Shahr par gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet qabzā kar liyā.
Us ne Moābiyoṅ par bhī fatah pāī, aur wuh us ke tābe ho kar use ḳharāj dene lage.
Dāūd ne shimālī Shām ke shahr Zobāh ke bādshāh Hadadazar ko bhī Hamāt ke qarīb harā diyā jab Hadadazar Dariyā-e-Furāt par qābū pāne ke lie nikal āyā thā. Dāūd ne 1,000 rathoṅ, 7,000 ghuṛsawāroṅ aur 20,000 piyādā sipāhiyoṅ ko giriftār kar liyā. Rathoṅ ke 100 ghoṛoṅ ko us ne apne lie mahfūz rakhā jabki bāqiyoṅ kī us ne koṅcheṅ kāṭ dīṅ tāki wuh āindā jang ke lie istemāl na ho sakeṅ.
Jab Damishq ke Arāmī bāshinde Zobāh ke bādshāh Hadadazar kī madad karne āe to Dāūd ne un ke 22,000 afrād halāk kar die. Phir us ne Damishq ke ilāqe meṅ apnī faujī chaukiyāṅ qāym kīṅ. Arāmī us ke tābe ho gae aur use ḳharāj dete rahe. Jahāṅ bhī Dāūd gayā wahāṅ Rab ne use kāmyābī baḳhshī. Sone kī jo ḍhāleṅ Hadadazar ke afsaroṅ ke pās thīṅ unheṅ Dāūd Yarūshalam le gayā. Hadadazar ke do shahroṅ Kūn aur Tibḳhat se us ne kasrat kā pītal chhīn liyā. Bād meṅ Sulemān ne yih pītal Rab ke ghar meṅ ‘Samundar’ nāmī pītal kā hauz, satūn aur pītal kā muḳhtalif sāmān banāne ke lie istemāl kiyā.
Jab Hamāt ke bādshāh Tūī ko ittalā milī ki Dāūd ne Zobāh ke bādshāh Hadadazar kī pūrī fauj par fatah pāī hai 10 to us ne apne beṭe Hadūrām ko Dāūd ke pās bhejā tāki use salām kahe. Hadūrām ne Dāūd ko Hadadazar par fatah ke lie mubārakbād dī, kyoṅki Hadadazar Tūī kā dushman thā, aur un ke darmiyān jang rahī thī. Hadūrām ne Dāūd ko sone, chāṅdī aur pītal ke bahut-se tohfe bhī pesh kie. 11 Dāūd ne yih chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs kar dīṅ. Jahāṅ bhī wuh dūsrī qaumoṅ par ġhālib āyā wahāṅ kī sonā-chāṅdī us ne Rab ke lie maḳhsūs kar dī. Yoṅ Adom, Moāb, Ammon, Filistiyā aur Amālīq kī sonā-chāṅdī Rab ko pesh kī gaī.
12 Abīshai bin Zarūyāh ne Namak kī Wādī meṅ Adomiyoṅ par fatah pā kar 18,000 afrād halāk kar die. 13 Us ne Adom ke pūre mulk meṅ apnī faujī chaukiyāṅ qāym kīṅ, aur tamām Adomī Dāūd ke tābe ho gae. Dāūd jahāṅ bhī jātā Rab us kī madad karke use fatah baḳhshtā.
Dāūd ke Ālā Afsar
14 Jitnī der Dāūd pūre Isrāīl par hukūmat kartā rahā utnī der tak us ne dhyān diyā ki qaum ke har ek shaḳhs ko insāf mil jāe. 15 Yoāb bin Zarūyāh fauj par muqarrar thā. Yahūsafat bin Aḳhīlūd bādshāh kā mushīr-e-ḳhās thā. 16 Sadoq bin Aḳhītūb aur Abīmalik bin Abiyātar imām the. Shaushā mīrmunshī thā. 17 Bināyāh bin Yahoyadā Dāūd ke ḳhās daste banām Karetī aur Faletī kā kaptān muqarrar thā. Dāūd ke beṭe ālā afsar the.