28
Isrāīl ke Buzurgoṅ ke sāmne Dāūd kī Taqrīr
1 Dāūd ne Isrāīl ke tamām buzurgoṅ ko Yarūshalam bulāyā. In meṅ qabīloṅ ke sarparast, faujī ḍiwīzhanoṅ par muqarrar afsar, hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsar, shāhī milkiyat aur rewaṛoṅ ke inchārj, bādshāh ke beṭoṅ kī tarbiyat karne wāle afsar, darbārī, mulk ke sūrmā aur bāqī tamām sāhib-e-haisiyat shāmil the.
2 Dāūd Bādshāh un ke sāmne khaṛe ho kar un se muḳhātib huā,
“Mere bhāiyo aur merī qaum, merī bāt par dhyān deṅ! Kāfī der se maiṅ ek aisā makān tāmīr karnā chāhtā thā jis meṅ Rab ke ahd kā sandūq mustaqil taur par rakhā jā sake. Āḳhir yih to hamāre Ḳhudā kī chaukī hai. Is maqsad se maiṅ taiyāriyāṅ karne lagā.
3 Lekin phir Allāh mujh se hamkalām huā, ‘Mere nām ke lie makān banānā terā kām nahīṅ hai, kyoṅki tū ne jangjū hote hue bahut ḳhūn bahāyā hai.’
4 Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne mere pūre ḳhāndān meṅ se mujhe chun kar hameshā ke lie Isrāīl kā bādshāh banā diyā, kyoṅki us kī marzī thī ki Yahūdāh kā qabīlā hukūmat kare. Yahūdāh ke ḳhāndānoṅ meṅ se us ne mere bāp ke ḳhāndān ko chun liyā, aur isī ḳhāndān meṅ se us ne mujhe pasand karke pūre Isrāīl kā bādshāh banā diyā.
5 Rab ne mujhe bahut beṭe atā kie haiṅ. Un meṅ se us ne muqarrar kiyā ki Sulemān mere bād taḳht par baiṭh kar Rab kī ummat par hukūmat kare.
6 Rab ne mujhe batāyā, ‘Terā beṭā Sulemān hī merā ghar aur us ke sahan tāmīr karegā. Kyoṅki maiṅ ne use chun kar farmāyā hai ki wuh merā beṭā hogā aur maiṅ us kā bāp hūṅgā.
7 Agar wuh āj kī tarah āindā bhī mere ahkām aur hidāyāt par amal kartā rahe to maiṅ us kī bādshāhī abad tak qāym rakhūṅgā.’
8 Ab merī hidāyat par dhyān deṅ, pūrā Isrāīl yānī Rab kī jamāt aur hamārā Ḳhudā is ke gawāh haiṅ. Rab apne Ḳhudā ke tamām ahkām ke tābe raheṅ! Phir āindā bhī yih achchhā mulk āp kī milkiyat aur hameshā tak āp kī aulād kī maurūsī zamīn rahegā.
9 Ai Sulemān mere beṭe, apne bāp ke Ḳhudā ko taslīm karke pūre dil-o-jān aur ḳhushī se us kī ḳhidmat kareṅ. Kyoṅki Rab tamām diloṅ kī tahqīq kar letā hai, aur wuh hamāre ḳhayāloṅ ke tamām mansūboṅ se wāqif hai. Us ke tālib raheṅ to āp use pā leṅge. Lekin agar āp use tark kareṅ to wuh āp ko hameshā ke lie radd kar degā.
10 Yād rahe, Rab ne āp ko is lie chun liyā hai ki āp us ke lie muqaddas ghar tāmīr kareṅ. Mazbūt rah kar is kām meṅ lage raheṅ!”
Rab ke Ghar kā Naqshā
11 Phir Dāūd ne apne beṭe Sulemān ko Rab ke ghar kā naqshā de diyā jis meṅ tamām tafsīlāt darj thīṅ yānī us ke barāmde, ḳhazānoṅ ke kamre, bālāḳhāne, andarūnī kamre, wuh Muqaddastarīn Kamrā jis meṅ ahd ke sandūq ko us ke kaffāre ke ḍhakne samet rakhnā thā,
12 Rab ke ghar ke sahan, us ke irdgird ke kamre aur wuh kamre jin meṅ Rab ke lie maḳhsūs kie gae sāmān ko mahfūz rakhnā thā.
Dāūd ne Rūh kī hidāyat se yih pūrā naqshā taiyār kiyā thā.
13 Us ne Rab ke ghar kī ḳhidmat ke lie darkār imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke gurohoṅ ko bhī muqarrar kiyā, aur sāth sāth Rab ke ghar meṅ bāqī tamām zimmedāriyāṅ bhī. Is ke alāwā us ne Rab ke ghar kī ḳhidmat ke lie darkār tamām sāmān kī fahrist bhī taiyār kī thī.
14 Us ne muqarrar kiyā ki muḳhtalif chīzoṅ ke lie kitnā sonā aur kitnī chāṅdī istemāl karnī hai. In meṅ zail kī chīzeṅ shāmil thīṅ:
15 sone aur chāṅdī ke charāġhdān aur un ke charāġh (muḳhtalif charāġhdānoṅ ke wazn farq the, kyoṅki har ek kā wazn us ke maqsad par munhasir thā),
16 sone kī wuh mezeṅ jin par Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ rakhnī thīṅ, chāṅdī kī mezeṅ,
17 ḳhālis sone ke kāṅṭe, chhiṛkāw ke kaṭore aur surāhī, sone-chāṅdī ke pyāle
18 aur baḳhūr jalāne kī qurbāngāh par manḍhā huā ḳhālis sonā. Dāūd ne Rab ke rath kā naqshā bhī Sulemān ke hawāle kar diyā, yānī un karūbī farishtoṅ kā naqshā jo apne paroṅ ko phailā kar Rab ke ahd ke sandūq ko ḍhāṅp dete haiṅ.
19 Dāūd ne kahā, “Maiṅ ne yih tamām tafsīlāt waise hī qalamband kar dī haiṅ jaise Rab ne mujhe hikmat aur samajh atā kī hai.”
20 Phir wuh apne beṭe Sulemān se muḳhātib huā, “Mazbūt aur diler hoṅ! Ḍareṅ mat aur himmat mat hārnā, kyoṅki Rab Ḳhudā merā Ḳhudā āp ke sāth hai. Na wuh āp ko chhoṛegā, na tark karegā balki Rab ke ghar kī takmīl tak āp kī madad kartā rahegā.
21 Ḳhidmat ke lie muqarrar imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke guroh bhī āp kā sahārā ban kar Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat saranjām deṅge. Tāmīr ke lie jitne bhī māhir kārīgaroṅ kī zarūrat hai wuh ḳhidmat ke lie taiyār khaṛe haiṅ. Buzurgoṅ se le kar ām logoṅ tak sab āp kī har hidāyat kī tāmīl karne ke lie musta'id haiṅ.”