11
Rahubiyām ko Isrāīl se Laṛne kī Ijāzat Nahīṅ Miltī
Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ. Lekin ain us waqt mard-e-Ḳhudā Samāyāh ko Rab kī taraf se paiġhām milā, “Yahūdāh ke bādshāh Rahubiyām bin Sulemān aur Yahūdāh aur Binyamīn ke tamām afrād ko ittalā de, ‘Rab farmātā hai ki apne bhāiyoṅ se jang mat karnā. Har ek apne apne ghar wāpas chalā jāe, kyoṅki jo kuchh huā hai wuh mere hukm par huā hai.’ ”
Tab wuh Rab kī sun kar Yarubiyām se laṛne se bāz āe.
Rahubiyām kī Qilābandī
Rahubiyām kā dārul-hukūmat Yarūshalam rahā. Yahūdāh meṅ us ne zail ke shahroṅ kī qilābandī kī: Bait-laham, Aitām, Taqua, Bait-sūr, Sokā, Adullām, Jāt, Maresā, Zīf, Adūrāīm, Lakīs, Azīqā, 10 Sur'ā, Aiyālon aur Habrūn. Yahūdāh aur Binyamīn ke in qilāband shahroṅ ko 11 mazbūt karke Rahubiyām ne har shahr par afsar muqarrar kie. Un meṅ us ne ḳhurāk, zaitūn ke tel aur mai kā zaḳhīrā kar liyā 12 aur sāth sāth un meṅ ḍhāleṅ aur neze bhī rakhe. Is tarah us ne unheṅ bahut mazbūt banā kar Yahūdāh aur Binyamīn par apnī hukūmat mahfūz kar lī.
Imām aur Lāwī Yahūdāh meṅ Muntaqil Ho Jāte Haiṅ
13 Go imām aur Lāwī tamām Isrāīl meṅ bikhre rahte the to bhī unhoṅ ne Rahubiyām kā sāth diyā. 14 Apnī charāgāhoṅ aur milkiyat ko chhoṛ kar wuh Yahūdāh aur Yarūshalam meṅ ābād hue, kyoṅki Yarubiyām aur us ke beṭoṅ ne unheṅ imām kī haisiyat se Rab kī ḳhidmat karne se rok diyā thā. 15 Un kī jagah us ne apne zātī imām muqarrar kie jo ūṅchī jaghoṅ par ke mandiroṅ ko saṅbhālte hue bakre ke dewatāoṅ aur bachhṛe ke butoṅ kī ḳhidmat karte the. 16 Lāwiyoṅ kī tarah tamām qabīloṅ ke bahut-se aise log Yahūdāh meṅ muntaqil hue jo pūre dil se Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke tālib rahe the. Wuh Yarūshalam āe tāki Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kar sakeṅ. 17 Yahūdāh kī saltanat ne aise logoṅ se taqwiyat pāī. Wuh Rahubiyām bin Sulemān ke lie tīn sāl tak mazbūtī kā sabab the, kyoṅki tīn sāl tak Yahūdāh Dāūd aur Sulemān ke achchhe namūne par chaltā rahā.
Rahubiyām kā Ḳhāndān
18 Rahubiyām kī shādī Mahalat se huī jo Yarīmot aur Abīḳhail kī beṭī thī. Yarīmot Dāūd kā beṭā aur Abīḳhail Iliyāb bin Yassī kī beṭī thī. 19 Mahalat ke tīn beṭe Yaūs, Samariyāh aur Zaham paidā hue. 20 Bād meṅ Rahubiyām kī Mākā bint Abīsalūm se shādī huī. Is rishte se chār beṭe Abiyāh, Attī, Zīzā aur Salūmīt paidā hue. 21 Rahubiyām kī 18 bīwiyāṅ aur 60 dāshtāeṅ thīṅ. In ke kul 28 beṭe aur 60 beṭiyāṅ paidā huīṅ. Lekin Mākā bint Abīsalūm Rahubiyām ko sab se zyādā pyārī thī. 22 Us ne Mākā ke pahlauṭhe Abiyāh ko us ke bhāiyoṅ kā sarbarāh banā diyā aur muqarrar kiyā ki yih beṭā mere bād bādshāh banegā. 23 Rahubiyām ne apne beṭoṅ se baṛī samajhdārī ke sāth sulūk kiyā, kyoṅki us ne unheṅ alag alag karke Yahūdāh aur Binyamīn ke pūre qabāylī ilāqe aur tamām qilāband shahroṅ meṅ basā diyā. Sāth sāth wuh unheṅ kasrat kī ḳhurāk aur bīwiyāṅ muhaiyā kartā rahā.