2
Rab ke Ghar kī Tāmīr kī Taiyāriyāṅ
Phir Sulemān ne Rab ke lie ghar aur apne lie shāhī mahal banāne kā hukm diyā. Is ke lie us ne 1,50,000 ādmiyoṅ kī bhartī kī. 80,000 ko us ne pahāṛī kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ jabki 70,000 afrād kī zimmedārī yih patthar Yarūshalam lānā thī. In sab par Sulemān ne 3,600 nigarān muqarrar kie. Us ne Sūr ke bādshāh Hīrām ko ittalā dī, “Jis tarah āp mere bāp Dāūd ko deodār kī lakaṛī bhejte rahe jab wuh apne lie mahal banā rahe the usī tarah mujhe bhī deodār kī lakaṛī bhejeṅ. Maiṅ ek ghar tāmīr karke use Rab apne Ḳhudā ke nām ke lie maḳhsūs karnā chāhtā hūṅ. Kyoṅki hameṅ aisī jagah kī zarūrat hai jis meṅ us ke huzūr ḳhushbūdār baḳhūr jalāyā jāe, Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ bāqāydagī se mez par rakhī jāeṅ aur ḳhās mauqoṅ par bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kī jāeṅ yānī har subh-o-shām, Sabat ke din, Nae Chāṅd kī Īdoṅ aur Rab hamāre Ḳhudā kī dīgar muqarrarā īdoṅ par. Yih Isrāīl kā dāymī farz hai.
Jis ghar ko maiṅ banāne ko hūṅ wuh nihāyat azīm hogā, kyoṅki hamārā Ḳhudā dīgar tamām mābūdoṅ se kahīṅ azīm hai. Lekin kaun us ke lie aisā ghar banā saktā hai jo us ke lāyq ho? Bulandtarīn āsmān bhī us kī rihāish ke lie chhoṭā hai. To phir merī kyā haisiyat hai ki us ke lie ghar banāūṅ? Maiṅ sirf aisī jagah banā saktā hūṅ jis meṅ us ke lie qurbāniyāṅ chaṛhāī jā sakeṅ.
Chunāṅche mere pās kisī aise samajhdār kārīgar ko bhej deṅ jo mahārat se sone-chāṅdī, pītal aur lohe kā kām jāntā ho. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā kapṛā banāne aur kandākārī kā ustād bhī ho. Aisā shaḳhs Yarūshalam aur Yahūdāh meṅ mere un kārīgaroṅ kā inchārj bane jinheṅ mere bāp Dāūd ne kām par lagāyā hai. Is ke alāwā mujhe Lubnān se deodār, jūnīpar aur dīgar qīmtī daraḳhtoṅ kī lakaṛī bhej deṅ. Kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki āp ke log umdā qism ke lakaṛhāre haiṅ. Mere ādmī āp ke logoṅ ke sāth mil kar kām kareṅge. Hameṅ bahut-sī lakaṛī kī zarūrat hogī, kyoṅki jo ghar maiṅ banānā chāhtā hūṅ wuh baṛā aur shāndār hogā. 10 Āp ke lakaṛhāroṅ ke kām ke muāwaze meṅ maiṅ 32,75,000 kilogrām gandum, 27,00,000 kilogrām jau, 4,40,000 liṭar mai aur 4,40,000 liṭar zaitūn kā tel dūṅgā.”
11 Sūr ke bādshāh Hīrām ne ḳhat likh kar Sulemān ko jawāb diyā, “Rab apnī qaum ko pyār kartā hai, is lie us ne āp ko us kā bādshāh banāyā hai. 12 Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī hamd ho jis ne āsmān-o-zamīn ko ḳhalaq kiyā hai ki us ne Dāūd Bādshāh ko itnā dānishmand beṭā atā kiyā hai. Us kī tamjīd ho ki yih aqalmand aur samajhdār beṭā Rab ke lie ghar aur apne lie mahal tāmīr karegā. 13 Maiṅ āp ke pās ek māhir aur samajhdār kārīgar ko bhej detā hūṅ jis kā nām Hīrām-abī hai. 14 Us kī Isrāīlī māṅ, Dān ke qabīle kī hai jabki us kā bāp Sūr kā hai. Hīrām sone-chāṅdī, pītal, lohe, patthar aur lakaṛī kī chīzeṅ banāne meṅ mahārat rakhtā hai. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā kapṛā aur katān kā bārīk kapṛā banā saktā hai. Wuh har qism kī kandākārī meṅ bhī māhir hai. Jo bhī mansūbā use pesh kiyā jāe use wuh pāyā-e-takmīl tak pahuṅchā saktā hai. Yih ādmī āp ke aur āp ke muazzaz bāp Dāūd ke kārīgaroṅ ke sāth mil kar kām karegā. 15 Chunāṅche jis gandum, jau, zaitūn ke tel aur mai kā zikr mere āqā ne kiyā wuh apne ḳhādimoṅ ko bhej deṅ. 16 Muāwaze meṅ ham āp ke lie darkār daraḳhtoṅ ko Lubnān meṅ kaṭwāeṅge aur un ke beṛe bāndh kar samundar ke zariye Yāfā Shahr tak pahuṅchā deṅge. Wahāṅ se āp unheṅ Yarūshalam le jā sakeṅge.”
17 Sulemān ne Isrāīl meṅ ābād tamām ġhairmulkiyoṅ kī mardumshumārī karwāī. (Us ke bāp Dāūd ne bhī un kī mardumshumārī karwāī thī.) Mālūm huā ki Isrāīl meṅ 1,53,600 ġhairmulkī rahte haiṅ. 18 In meṅ se us ne 80,000 ko pahāṛī kānoṅ meṅ lagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ jabki 70,000 afrād kī zimmedārī yih patthar Yarūshalam lānā thī. In sab par Sulemān ne 3,600 nigarān muqarrar kie.