22
Yahūdāh kā Bādshāh Aḳhaziyāh
Yarūshalam ke bāshindoṅ ne Yahūrām ke sab se chhoṭe beṭe Aḳhaziyāh ko taḳht par biṭhā diyā. Bāqī tamām beṭoṅ ko un luṭeroṅ ne qatl kiyā thā jo Araboṅ ke sāth shāhī lashkargāh meṅ ghus āe the. Yihī wajah thī ki Yahūdāh ke bādshāh Yahūrām kā beṭā Aḳhaziyāh bādshāh banā. Wuh 22 sāl kī umr meṅ taḳhtnashīn huā aur Yarūshalam meṅ rah kar ek sāl bādshāh rahā. Us kī māṅ Ataliyāh Isrāīl ke bādshāh Umrī kī potī thī. Aḳhaziyāh bhī Aḳhiyab ke ḳhāndān ke ġhalat namūne par chal paṛā, kyoṅki us kī māṅ use bedīn rāhoṅ par chalne par ubhārtī rahī. Bāp kī wafāt par wuh Aḳhiyab ke gharāne ke mashware par chalne lagā. Natīje meṅ us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Āḳhirkār yihī log us kī halākat kā sabab ban gae.
Inhīṅ ke mashware par wuh Isrāīl ke bādshāh Yūrām bin Aḳhiyab ke sāth mil kar Shām ke bādshāh Hazāel se laṛne ke lie niklā. Jab Rāmāt-jiliyād ke qarīb jang chhiṛ gaī to Yūrām Shām ke faujiyoṅ ke hāthoṅ zaḳhmī huā aur maidān-e-jang ko chhoṛ kar Yazrael wāpas āyā tāki zaḳhm bhar jāeṅ. Jab wuh wahāṅ ṭhahrā huā thā to Yahūdāh kā bādshāh Aḳhaziyāh bin Yahūrām us kā hāl pūchhne ke lie Yazrael āyā. Lekin Allāh kī marzī thī ki yih mulāqāt Aḳhaziyāh kī halākat kā bāis bane. Wahāṅ pahuṅch kar wuh Yūrām ke sāth Yāhū bin Nimsī se milne ke lie niklā, wuhī Yāhū jise Rab ne masah karke Aḳhiyab ke ḳhāndān ko nest-o-nābūd karne ke lie maḳhsūs kiyā thā. Aḳhiyab ke ḳhāndān kī adālat karte karte Yāhū kī mulāqāt Yahūdāh ke kuchh afsaroṅ aur Aḳhaziyāh ke bāz rishtedāroṅ se huī jo Aḳhaziyāh kī ḳhidmat meṅ us ke sāth āe the. Inheṅ qatl karke Yāhū Aḳhaziyāh ko ḍhūṅḍne lagā. Patā chalā ki wuh Sāmariya Shahr meṅ chhup gayā hai. Use Yāhū ke pās lāyā gayā jis ne use qatl kar diyā. To bhī use izzat ke sāth dafn kiyā gayā, kyoṅki logoṅ ne kahā, “Āḳhir wuh Yahūsafat kā potā hai jo pūre dil se Rab kā tālib rahā.” Us waqt Aḳhaziyāh ke ḳhāndān meṅ koī na pāyā gayā jo bādshāh kā kām saṅbhāl saktā.
Ataliyāh kī Zālimānā Hukūmat
10 Jab Aḳhaziyāh kī māṅ Ataliyāh ko mālūm huā ki merā beṭā mar gayā hai to wuh Yahūdāh ke pūre shāhī ḳhāndān ko qatl karne lagī. 11 Lekin Aḳhaziyāh kī sagī bahan Yahūsabā ne Aḳhaziyāh ke chhoṭe beṭe Yuās ko chupke se un shahzādoṅ meṅ se nikāl liyā jinheṅ qatl karnā thā aur use us kī dāyā ke sāth ek sṭor meṅ chhupā diyā jis meṅ bistar waġhairā mahfūz rakhe jāte the. Wahāṅ wuh Ataliyāh kī girift se mahfūz rahā. Yahūsabā Yahoyadā Imām kī bīwī thī. 12 Bād meṅ Yuās ko Rab ke ghar meṅ muntaqil kiyā gayā jahāṅ wuh un ke sāth un chhih sāloṅ ke daurān chhupā rahā jab Ataliyāh malikā thī.