27
Yahūdāh kā Bādshāh Yūtām
Yūtām 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl tak hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yarūsā bint Sadoq thī. Yūtām ne wuh kuchh kiyā jo Rab ko pasand thā. Wuh apne bāp Uzziyāh ke namūne par chaltā rahā, agarche us ne kabhī bhī bāp kī tarah Rab ke ghar meṅ ghus jāne kī koshish na kī. Lekin ām log apnī ġhalat rāhoṅ se na haṭe.
Yūtām ne Rab ke ghar kā Bālāī Darwāzā tāmīr kiyā. Ofal Pahāṛī jis par Rab kā ghar thā us kī dīwār ko us ne bahut jaghoṅ par mazbūt banā diyā. Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ us ne shahr tāmīr kie aur janglī ilāqoṅ meṅ qile aur burj banāe. Jab Ammonī bādshāh ke sāth jang chhiṛ gaī to us ne Ammoniyoṅ ko shikast dī. Tīn sāl tak unheṅ use sālānā ḳharāj ke taur par taqrīban 3,400 kilogrām chāṅdī, 16,00,000 kilogrām gandum aur 13,50,000 kilogrām jau adā karnā paṛā. Yoṅ Yūtām kī tāqat baṛhtī gaī. Aur wajah yih thī ki wuh sābitqadmī se Rab apne Ḳhudā ke huzūr chaltā rahā.
Bāqī jo kuchh Yūtām kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl-o-Yahūdāh’ kī kitāb meṅ qalamband hai. Us meṅ us kī tamām jangoṅ aur bāqī kāmoṅ kā zikr hai. Wuh 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā. Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Āḳhaz taḳhtnashīn huā.