18
Bābal Shahr kī Shikast
1 Is ke bād maiṅ ne ek aur farishtā dekhā jo āsmān par se utar rahā thā. Use bahut iḳhtiyār hāsil thā aur zamīn us ke jalāl se raushan ho gaī.
2 Us ne ūṅchī āwāz se pukār kar kahā, “Wuh gir gaī hai! Hāṅ, azīm kasbī Bābal gir gaī hai! Ab wuh shayātīn kā ghar aur har badrūh kā baserā ban gaī hai, har nāpāk aur ghinaune parinde kā baserā.
3 Kyoṅki tamām qaumoṅ ne us kī harāmkārī aur mastī kī mai pī lī hai. Zamīn ke bādshāhoṅ ne us ke sāth zinā kiyā aur zamīn ke saudāgar us kī belagām aiyāshī se amīr ho gae haiṅ.”
4 Phir maiṅ ne ek aur āwāz sunī. Us ne āsmān kī taraf se kahā,
“Ai merī qaum, us meṅ se nikal ā,
tāki tum us ke gunāhoṅ meṅ sharīk na ho jāo
aur us kī balāeṅ tum par na āeṅ.
5 Kyoṅki us ke gunāh āsmān tak pahuṅch gae haiṅ,
aur Allāh un kī badiyoṅ ko yād kartā hai.
6 Us ke sāth wuhī sulūk karo
jo us ne tumhāre sāth kiyā hai.
Jo kuchh us ne kiyā hai
us kā dugnā badlā use denā.
Jo sharāb us ne dūsroṅ ko pilāne ke lie taiyār kī hai
us kā dugnā badlā use de denā.
7 Use utnī hī aziyat aur ġham pahuṅchā do
jitnā us ne apne āp ko shāndār banāyā aur aiyāshī kī.
Kyoṅki apne dil meṅ wuh kahtī hai,
‘Maiṅ yahāṅ apne taḳht par rānī hūṅ.
Na maiṅ bewā hūṅ, na maiṅ kabhī mātam karūṅgī.’
8 Is wajah se ek din yih balāeṅ yānī maut, mātam aur kāl
us par ān paṛeṅgī.
Wuh bhasm ho jāegī,
kyoṅki us kī adālat karne wālā Rab Ḳhudā qawī hai.”
9 Aur zamīn ke jin bādshāhoṅ ne us ke sāth zinā aur aiyāshī kī wuh us ke jalne kā dhuāṅ dekh kar ro paṛeṅge aur āh-o-zārī kareṅge.
10 Wuh us kī aziyat ko dekh kar ḳhauf khāeṅge aur dūr dūr khaṛe ho kar kaheṅge, “Afsos! Tujh par afsos, ai azīm aur tāqatwar shahr Bābal! Ek hī ghanṭe ke andar andar Allāh kī adālat tujh par ā gaī hai.”
11 Zamīn ke saudāgar bhī use dekh kar ro paṛeṅge aur āh-o-zārī kareṅge, kyoṅki koī nahīṅ rahā hogā jo un kā māl ḳharīde:
12 un kā sonā, chāṅdī, beshqīmat jawāhar, motī, bārīk katān, arġhawānī aur qirmizī rang kā kapṛā, resham, har qism kī ḳhushbūdār lakaṛī, hāthīdāṅt kī har chīz aur qīmtī lakaṛī, pītal, lohe aur sang-e-marmar kī har chīz,
13 dārchīnī, masālā, agarbattī, mur, baḳhūr, mai, zaitūn kā tel, behtarīn maidā, gandum, gāy-bail, bheṛeṅ, ghoṛe, rath aur ġhulām yānī insān.
14 Saudāgar us se kaheṅge, “Jo phal tū chāhtī thī wuh tujh se dūr ho gayā hai. Terī tamām daulat aur shān-o-shaukat ġhāyb ho gaī hai aur āindā kabhī bhī tere pās pāī nahīṅ jāegī.”
15 Jo saudāgar use yih chīzeṅ faroḳht karne se daulatmand hue wuh us kī aziyat dekh kar ḳhauf ke māre dūr dūr khaṛe ho jāeṅge. Wuh ro ro kar mātam kareṅge
16 aur kaheṅge, “Hāy! Tujh par afsos, ai azīm shahr, ai ḳhātūn jo pahle bārīk katān, arġhawānī aur qirmizī rang ke kapṛe pahne phirtī thī aur jo sone, qīmtī jawāhar aur motiyoṅ se sajī huī thī.
17 Ek hī ghanṭe ke andar andar sārī daulat tabāh ho gaī hai!”
Har bahrī jahāz kā kaptān, har samundarī musāfir, har mallāh aur wuh tamām log jo samundar par safr karne se apnī rozī kamāte haiṅ wuh sab dūr dūr khaṛe ho jāeṅge.
18 Us ke jalne kā dhuāṅ dekh kar wuh kaheṅge, “Kyā kabhī koī itnā azīm shahr thā?”
19 Wuh apne saroṅ par ḳhāk ḍāl leṅge aur chillā chillā kar roeṅge aur āh-o-zārī kareṅge. Wuh kaheṅge, “Hāy! Tujh par afsos, ai azīm shahr, jis kī daulat se tamām bahrī jahāzoṅ ke mālik amīr hue. Ek hī ghanṭe ke andar andar wuh wīrān ho gayā hai.”
20 Ai āsmān, use dekh kar ḳhushī manā!
Ai muqaddaso, rasūlo aur nabiyo, ḳhushī manāo!
Kyoṅki Allāh ne tumhārī ḳhātir us kī adālat kī hai.
21 Phir ek tāqatwar farishte ne baṛī chakkī ke pāṭ kī mānind ek baṛe patthar ko uṭhā kar samundar meṅ phaiṅk diyā. Us ne kahā, “Azīm shahr Bābal ko itnī hī zabardastī se paṭak diyā jāegā. Bād meṅ use kahīṅ nahīṅ pāyā jāegā.
22 Ab se na mausīqāroṅ kī āwāzeṅ tujh meṅ kabhī sunāī deṅgī, na sarod, bāṅsrī yā turam bajāne wāloṅ kī. Ab se kisī bhī kām kā kārīgar tujh meṅ pāyā nahīṅ jāegā. Hāṅ, chakkī kī āwāz hameshā ke lie band ho jāegī.
23 Ab se charāġh tujhe raushan nahīṅ karegā, dulhan-dūlhe kī āwāz tujh meṅ sunāī nahīṅ degī. Hāy, tere saudāgar duniyā ke baṛe baṛe afsar the, aur terī jādūgarī se tamām qaumoṅ ko bahkāyā gayā.”
24 Hāṅ, Bābal meṅ nabiyoṅ, muqaddasīn aur un tamām logoṅ kā ḳhūn pāyā gayā hai jo zamīn par shahīd ho gae haiṅ.