20
Hazār Sāl kā Daur
Phir maiṅ ne ek farishtā dekhā jo āsmān se utar rahā thā. Us ke hāth meṅ athāh gaṛhe kī chābī aur ek bhārī zanjīr thī. Us ne azhdahe yānī qadīm sāṅp ko jo Shaitān yā Iblīs kahlātā hai pakaṛ kar hazār sāl ke lie bāndh liyā. Us ne use athāh gaṛhe meṅ phaiṅk kar tālā lagā diyā aur us par muhr lagā dī tāki wuh hazār sāl tak qaumoṅ ko gumrāh na kar sake. Us ke bād zarūrī hai ki use thoṛī der ke lie āzād kar diyā jāe.
Phir maiṅ ne taḳht dekhe jin par wuh baiṭhe the jinheṅ adālat karne kā iḳhtiyār diyā gayā thā. Aur maiṅ ne un kī rūh dekhīṅ jinheṅ Īsā ke bāre meṅ gawāhī dene aur jin kā Allāh kā kalām pesh karne kī wajah se sar qalam kiyā gayā thā. Unhoṅ ne haiwān yā us ke mujassame ko sijdā nahīṅ kiyā thā, na us kā nishān apne māthoṅ yā hāthoṅ par lagwāyā thā. Ab yih log zindā hue aur hazār sāl tak Masīh ke sāth hukūmat karte rahe. (Bāqī murde hazār sāl ke iḳhtitām par hī zindā hue.) Yih pahlī qiyāmat hai. Mubārak aur muqaddas haiṅ wuh jo is pahlī qiyāmat meṅ sharīk haiṅ. In par dūsrī maut kā koī iḳhtiyār nahīṅ hai balki yih Allāh aur Masīh ke imām ho kar hazār sāl tak us ke sāth hukūmat kareṅge.
Iblīs kī Shikast
Hazār sāl guzar jāne ke bād Iblīs ko us kī qaid se āzād kar diyā jāegā. Tab wuh nikal kar zamīn ke chāroṅ konoṅ meṅ maujūd qaumoṅ banām Jūj aur Mājūj ko bahkāegā aur unheṅ jang karne ke lie jamā karegā. Laṛne wāloṅ kī tādād sāhil par kī ret ke zarroṅ jaisī beshumār hogī. Unhoṅ ne zamīn par phail kar muqaddasīn kī lashkargāh ko gher liyā, yānī us shahr ko jise Allāh pyār kartā hai. Lekin āg ne āsmān se nāzil ho kar unheṅ haṛap kar liyā. 10 Aur Iblīs ko jis ne un ko fareb diyā thā jaltī huī gandhak kī jhīl meṅ phaiṅkā gayā, wahāṅ jahāṅ haiwān aur jhūṭe nabī ko pahle phaiṅkā gayā thā. Us jagah par unheṅ din rāt balki abad tak azāb sahnā paṛegā.
Āḳhirī Adālat
11 Phir maiṅ ne ek baṛā safed taḳht dekhā aur use jo us par baiṭhā hai. Āsmān-o-zamīn us ke huzūr se bhāg kar ġhāyb ho gae. 12 Aur maiṅ ne tamām murdoṅ ko taḳht ke sāmne khaṛe dekhā, ḳhāh wuh chhoṭe the yā baṛe. Kitābeṅ kholī gaīṅ. Phir ek aur kitāb ko khol diyā gayā jo kitāb-e-hayāt thī. Murdoṅ kā us ke mutābiq faislā kiyā gayā jo kuchh unhoṅ ne kiyā thā aur jo kitāboṅ meṅ darj thā. 13 Samundar ne un tamām murdoṅ ko pesh kar diyā jo us meṅ the, aur Maut aur Pātāl ne bhī un murdoṅ ko pesh kar diyā jo un meṅ the. Chunāṅche har shaḳhs kā us ke mutābiq faislā kiyā gayā jo us ne kiyā thā. 14 Phir maut aur Pātāl ko jaltī huī jhīl meṅ phaiṅkā gayā. Yih jhīl dūsrī maut hai. 15 Jis kisī kā nām kitāb-e-hayāt meṅ darj nahīṅ thā use jaltī huī jhīl meṅ phaiṅkā gayā.