11
Sāūl Ammoniyoṅ par Fatah Pātā Hai
1 Kuchh der ke bād Ammonī bādshāh Nāhas ne apnī fauj le kar Yabīs-jiliyād kā muhāsarā kiyā. Yabīs ke tamām afrād ne us se guzārish kī, “Hamāre sāth muāhadā kareṅ to ham āindā āp ke tābe raheṅge.”
2 Nāhas ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, lekin is shart par ki maiṅ har ek kī dahnī āṅkh nikāl kar tamām Isrāīl kī be'izzatī karūṅga!”
3 Yabīs ke buzurgoṅ ne darḳhāst kī, “Hameṅ ek hafte kī muhlat dījie tāki ham apne qāsidoṅ ko Isrāīl kī har jagah bhejeṅ. Agar koī hameṅ bachāne ke lie na āe to ham hathiyār ḍāl kar shahr ko āp ke hawāle kar deṅge.”
4 Qāsid Sāūl ke shahr Jibiyā bhī pahuṅch gae. Jab maqāmī logoṅ ne un kā paiġhām sunā to pūrā shahr phūṭ phūṭ kar rone lagā.
5 Us waqt Sāūl apne bailoṅ ko khetoṅ se wāpas lā rahā thā. Us ne pūchhā, “Kyā huā hai? Log kyoṅ ro rahe haiṅ?” Use qāsidoṅ kā paiġhām sunāyā gayā.
6 Tab Sāūl par Allāh kā Rūh nāzil huā, aur use saḳht ġhussā āyā.
7 Us ne bailoṅ kā joṛā le kar unheṅ ṭukṛe ṭukṛe kar diyā. Phir qāsidoṅ ko yih ṭukṛe pakaṛā kar us ne unheṅ yih paiġhām de kar Isrāīl kī har jagah bhej diyā, “Jo Sāūl aur Samuel ke pīchhe chal kar Ammoniyoṅ se laṛne nahīṅ jāegā us ke bail isī tarah ṭukṛe ṭukṛe kar die jāeṅge!”
Yih ḳhabar sun kar logoṅ par Rab kī dahshat tārī ho gaī, aur sab ke sab ek dil ho kar Ammoniyoṅ se laṛne ke lie nikle.
8 Bazaq ke qarīb Sāūl ne fauj kā jāyzā liyā. Yahūdāh ke 30,000 afrād the aur bāqī qabīloṅ ke 3,00,000.
9 Unhoṅ ne Yabīs-jiliyād ke qāsidoṅ ko wāpas bhej kar batāyā, “Kal dopahar se pahle pahle āp ko bachā liyā jāegā.” Wahāṅ ke bāshinde yih ḳhabar sun kar bahut ḳhush hue.
10 Unhoṅ ne Ammoniyoṅ ko ittalā dī, “Kal ham hathiyār ḍāl kar shahr ke darwāze khol deṅge. Phir wuh kuchh kareṅ jo āp ko ṭhīk lage.”
11 Agle din subah-sawere Sāūl ne fauj ko tīn hissoṅ meṅ taqsīm kiyā. Sūraj ke tulū hone se pahle pahle unhoṅ ne tīn simtoṅ se dushman kī lashkargāh par hamlā kiyā. Dopahar tak unhoṅ ne Ammoniyoṅ ko mār mār kar ḳhatm kar diyā. Jo thoṛe-bahut log bach gae wuh yoṅ titar-bitar ho gae ki do bhī ikaṭṭhe na rahe.
Sāūl kī Dubārā Tasdīq
12 Fatah ke bād log Samuel ke pās ā kar kahne lage, “Wuh log kahāṅ haiṅ jinhoṅ ne etarāz kiyā ki Sāūl ham par hukūmat kare? Unheṅ le āeṅ tāki ham unheṅ mār deṅ.”
13 Lekin Sāūl ne unheṅ rok diyā. Us ne kahā, “Nahīṅ, āj to ham kisī bhī bhāī ko sazā-e-maut nahīṅ deṅge, kyoṅki is din Rab ne Isrāīl ko rihāī baḳhshī hai!”
14 Phir Samuel ne elān kiyā, “Āo, ham Jiljāl jā kar dubārā is kī tasdīq kareṅ ki Sāūl hamārā bādshāh hai.”
15 Chunāṅche tamām logoṅ ne Jiljāl jā kar Rab ke huzūr is kī tasdīq kī ki Sāūl hamārā bādshāh hai. Is ke bād unhoṅ ne Rab ke huzūr salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh karke baṛā jashn manāyā.