13
Filistiyoṅ se Jang
1 Sāūl 30 sāl kā thā jab taḳhtnashīn huā. Do sāl hukūmat karne ke bād
2 us ne apnī fauj ke lie 3,000 Isrāīlī chun lie. Jang laṛne ke qābil bāqī ādmiyoṅ ko us ne fāriġh kar diyā. 2,000 faujiyoṅ kī ḍyūṭī Mikmās aur Baitel ke pahāṛī ilāqe meṅ lagāī gaī jahāṅ Sāūl ḳhud thā. Bāqī 1,000 afrād Yūnatan ke pās Binyamīn ke shahr Jibiyā meṅ the.
3 Ek din Yūnatan ne Jibiyā kī Filistī chaukī par hamlā karke use shikast dī. Jald hī yih ḳhabar dūsre Filistiyoṅ tak pahuṅch gaī. Sāūl ne mulk ke kone kone meṅ qāsid bhej die, aur wuh narsingā bajāte bajāte logoṅ ko Yūnatan kī fatah sunāte gae.
4 Tamām Isrāīl meṅ ḳhabar phail gaī, “Sāūl ne Jibiyā kī Filistī chaukī ko tabāh kar diyā hai, aur ab Isrāīl Filistiyoṅ kī ḳhās nafrat kā nishānā ban gayā hai.” Sāūl ne tamām mardoṅ ko Filistiyoṅ se laṛne ke lie Jiljāl meṅ bulāyā.
5 Filistī bhī Isrāīliyoṅ se laṛne ke lie jamā hue. Un ke 30,000 rath, 6,000 ghuṛsawār aur sāhil kī ret jaise beshumār piyādā faujī the. Unhoṅ ne Bait-āwan ke mashriq meṅ Mikmās ke qarīb apne ḳhaime lagāe.
6 Isrāīliyoṅ ne dekhā ki ham baṛe ḳhatre meṅ ā gae haiṅ, aur dushman ham par bahut dabāw ḍāl rahā hai to pareshānī ke ālam meṅ kuchh ġhāroṅ aur darāṛoṅ meṅ aur kuchh pattharoṅ ke darmiyān yā qabroṅ aur hauzoṅ meṅ chhup gae.
7 Kuchh itne ḍar gae ki wuh Dariyā-e-Yardan ko pār karke Jad aur Jiliyād ke ilāqe meṅ chale gae.
Sāūl kī Besabrī
Sāūl ab tak Jiljāl meṅ thā, lekin jo ādmī us ke sāth rahe the wuh ḳhauf ke māre thartharā rahe the.
8 Samuel ne Sāūl ko hidāyat dī thī ki sāt din merā intazār kareṅ. Lekin sāt din guzar gae. Aur Samuel na āyā. Sāūl ke faujī muntashir hone lage
9 to Sāūl ne hukm diyā, “Bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ le āo.” Phir us ne ḳhud qurbāniyāṅ pesh kīṅ.
10 Wuh abhī is kām se fāriġh hī huā thā ki Samuel pahuṅch gayā. Sāūl use ḳhushāmdīd kahne ke lie niklā.
11 Lekin Samuel ne pūchhā, “Āp ne kyā kiyā?”
Sāūl ne jawāb diyā, “Log muntashir ho rahe the, aur āp waqt par na āe. Jab maiṅ ne dekhā ki Filistī Mikmās ke qarīb jamā ho rahe haiṅ
12 to maiṅ ne sochā, ‘Filistī yahāṅ Jiljāl meṅ ā kar mujh par hamlā karne ko haiṅ, hālāṅki maiṅ ne abhī Rab se duā nahīṅ kī ki wuh ham par mehrbānī kare.’ Is lie maiṅ ne jurrat karke ḳhud qurbāniyāṅ pesh kīṅ.”
13 Samuel bolā, “Yih kaisī ahmaqānā harkat thī! Āp ne Rab apne Ḳhudā kā hukm na mānā. Rab to āp aur āp kī aulād ko hameshā ke lie Isrāīl par muqarrar karnā chāhtā thā.
14 Lekin ab āp kī bādshāhat qāym nahīṅ rahegī. Chūṅki āp ne us kī na sunī is lie Rab ne kisī aur ko chun kar apnī qaum kā rāhnumā muqarrar kiyā hai, ek aise ādmī ko jo us kī soch rakhegā.”
15 Phir Samuel Jiljāl se chalā gayā.
Jang kī Taiyāriyāṅ
Bache hue Isrāīlī Sāūl ke pīchhe dushman se laṛne gae. Wuh Jiljāl se rawānā ho kar Jibiyā pahuṅch gae. Jab Sāūl ne wahāṅ fauj kā jāyzā liyā to bas 600 afrād rah gae the.
16 Sāūl, Yūnatan aur un kī fauj Binyamīn ke shahr Jibiyā meṅ ṭik gae jabki Filistī Mikmās ke pās ḳhaimāzan the.
17 Kuchh der ke bād Filistiyoṅ ke tīn daste mulk ko lūṭne ke lie nikle. Ek Suāl ke ilāqe ke shahr Ufrā kī taraf chal paṛā,
18 dūsrā Bait-haurūn kī taraf aur tīsrā us pahāṛī silsile kī taraf jahāṅ se Wādī-e-Zaboīm aur registān dekhā jā saktā hai.
19 Un dinoṅ meṅ pūre Mulk-e-Isrāīl meṅ lohār nahīṅ thā, kyoṅki Filistī nahīṅ chāhte the ki Isrāīlī talwāreṅ yā neze banāeṅ.
20 Apne haloṅ, kudāloṅ, kulhāṛiyoṅ yā darāntiyoṅ ko tez karwāne ke lie tamām Isrāīliyoṅ ko Filistiyoṅ ke pās jānā paṛtā thā.
21 Filistī haloṅ, kudāloṅ, kāṅṭoṅ aur kulhāṛiyoṅ ko tez karne ke lie aur āṅkusoṅ kī nok ṭhīk karne ke lie chāṅdī ke sikke kī do tihāī lete the.
22 Natīje meṅ us din Sāūl aur Yūnatan ke siwā kisī bhī Isrāīlī ke pās talwār yā nezā nahīṅ thā.
Yūnatan Filistiyoṅ par Hamlā Kartā Hai
23 Filistiyoṅ ne Mikmās ke darre par qabzā karke wahāṅ chaukī qāym kī thī.