22
Dāūd kā Gīt
Jis din Rab ne Dāūd ko tamām dushmanoṅ aur Sāūl ke hāth se bachāyā us din bādshāh ne gīt gāyā,
“Rab merī chaṭān, merā qilā aur merā najātdahindā hai.
Merā Ḳhudā merī chaṭān hai jis meṅ maiṅ panāh letā hūṅ. Wuh merī ḍhāl, merī najāt kā pahāṛ, merā buland hisār aur merī panāhgāh hai. Tū merā najātdahindā hai jo mujhe zulm-o-tashaddud se bachātā hai.
Maiṅ Rab ko pukārtā hūṅ, us kī tamjīd ho! Tab wuh mujhe dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai.
 
Maut kī maujoṅ ne mujhe gher liyā, halākat ke sailāb ne mere dil par dahshat tārī kī.
Pātāl ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā, maut ne mere rāste meṅ apne phande ḍāl die.
Jab maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā to maiṅ ne Rab ko pukārā. Maiṅ ne madad ke lie apne Ḳhudā se fariyād kī to us ne apnī sukūnatgāh se merī āwāz sunī, merī chīḳheṅ us ke kān tak pahuṅch gaīṅ.
 
Tab zamīn laraz uṭhī aur thartharāne lagī, āsmān kī buniyādeṅ Rab ke ġhazab ke sāmne kāṅpne aur jhūlne lagīṅ.
Us kī nāk se dhuāṅ nikal āyā, us ke muṅh se bhasm karne wāle shole aur dahakte koele bhaṛak uṭhe.
10 Āsmān ko jhukā kar wuh nāzil huā. Jab utar āyā to us ke pāṅwoṅ ke nīche andherā hī andherā thā.
11 Wuh karūbī farishte par sawār huā aur uṛ kar hawā ke paroṅ par manḍlāne lagā.
12 Us ne andhere ko apnī chhupne kī jagah banāyā, bārish ke kāle aur ghane bādal ḳhaime kī tarah apne irdgird lagāe.
13 Us ke huzūr kī tez raushnī se sholāzan koele phūṭ nikle.
14 Rab āsmān se kaṛakne lagā, Allāh T'ālā kī āwāz gūṅj uṭhī.
15 Us ne apne tīr chalā die to dushman titar-bitar ho gae. Us kī bijlī idhar-udhar girtī gaī to un meṅ halchal mach gaī.
16 Rab ne ḍānṭā to samundar kī wādiyāṅ zāhir huīṅ, jab wuh ġhusse meṅ garjā to us ke dam ke jhoṅkoṅ se zamīn kī buniyādeṅ nazar āīṅ.
 
17 Bulandiyoṅ par se apnā hāth baṛhā kar us ne mujhe pakaṛ liyā, gahre pānī meṅ se khīṅch kar mujhe nikāl lāyā.
18 Us ne mujhe mere zabardast dushman se bachāyā, un se jo mujh se nafrat karte haiṅ, jin par maiṅ ġhālib na ā sakā.
19 Jis din maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā us din unhoṅ ne mujh par hamlā kiyā, lekin Rab merā sahārā banā rahā.
20 Us ne mujhe tang jagah se nikāl kar chhuṭkārā diyā, kyoṅki wuh mujh se ḳhush thā.
 
21 Rab mujhe merī rāstbāzī kā ajr detā hai. Mere hāth sāf haiṅ, is lie wuh mujhe barkat detā hai.
22 Kyoṅki maiṅ Rab kī rāhoṅ par chaltā rahā hūṅ, maiṅ badī karne se apne Ḳhudā se dūr nahīṅ huā.
23 Us ke tamām ahkām mere sāmne rahe haiṅ, maiṅ us ke farmānoṅ se nahīṅ haṭā.
24 Us ke sāmne hī maiṅ be'ilzām rahā, gunāh karne se bāz rahā hūṅ.
25 Is lie Rab ne mujhe merī rāstbāzī kā ajr diyā, kyoṅki us kī āṅkhoṅ ke sāmne hī maiṅ pāk-sāf sābit huā.
 
26 Ai Allāh, jo wafādār hai us ke sāth terā sulūk wafādārī kā hai, jo be'ilzām hai us ke sāth terā sulūk be'ilzām hai.
27 Jo pāk hai us ke sāth terā sulūk pāk hai. Lekin jo kajrau hai us ke sāth terā sulūk bhī kajrawī kā hai.
28 Tū pasthāloṅ ko najāt detā hai, aur terī āṅkheṅ maġhrūroṅ par lagī rahtī haiṅ tāki unheṅ past kareṅ.
 
29 Ai Rab, tū hī merā charāġh hai, Rab hī mere andhere ko raushan kartā hai.
30 Kyoṅki tere sāth maiṅ faujī daste par hamlā kar saktā, apne Ḳhudā ke sāth dīwār ko phalāṅg saktā hūṅ.
 
31 Allāh kī rāh kāmil hai, Rab kā farmān ḳhālis hai. Jo bhī us meṅ panāh le us kī wuh ḍhāl hai.
32 Kyoṅki Rab ke siwā kaun Ḳhudā hai? Hamāre Ḳhudā ke siwā kaun chaṭān hai?
33 Allāh mujhe quwwat se kamarbastā kartā, wuh merī rāh ko kāmil kar detā hai.
34 Wuh mere pāṅwoṅ ko hiran kī-sī phurtī atā kartā, mujhe mazbūtī se merī bulandiyoṅ par khaṛā kartā hai.
35 Wuh mere hāthoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai. Ab mere bāzū pītal kī kamān ko bhī tān lete haiṅ.
 
36 Ai Rab, tū ne mujhe apnī najāt kī ḍhāl baḳhsh dī hai, terī narmī ne mujhe baṛā banā diyā hai.
37 Tū mere qadmoṅ ke lie rāstā banā detā hai, is lie mere ṭaḳhne nahīṅ ḍagmagāte.
38 Maiṅ ne apne dushmanoṅ kā tāqqub karke unheṅ kuchal diyā, maiṅ bāz na āyā jab tak wuh ḳhatm na ho gae.
39 Maiṅ ne unheṅ tabāh karke yoṅ pāsh pāsh kar diyā ki dubārā uṭh na sake balki gir kar mere pāṅwoṅ tale paṛe rahe.
40 Kyoṅki tū ne mujhe jang karne ke lie quwwat se kamarbastā kar diyā, tū ne mere muḳhālifoṅ ko mere sāmne jhukā diyā.
41 Tū ne mere dushmanoṅ ko mere sāmne se bhagā diyā, aur maiṅ ne nafrat karne wāloṅ ko tabāh kar diyā.
42 Wuh madad ke lie chīḳhte-chillāte rahe, lekin bachāne wālā koī nahīṅ thā. Wuh Rab ko pukārte rahe, lekin us ne jawāb na diyā.
43 Maiṅ ne unheṅ chūr chūr karke gard kī tarah hawā meṅ uṛā diyā. Maiṅ ne unheṅ galī meṅ miṭṭī kī tarah pāṅwoṅ tale raund kar rezā rezā kar diyā.
 
44 Tū ne mujhe merī qaum ke jhagaṛoṅ se bachā kar aqwām par merī hukūmat qāym rakhī hai. Jis qaum se maiṅ nāwāqif thā wuh merī ḳhidmat kartī hai.
45 Pardesī dabak kar merī ḳhushāmad karte haiṅ. Jyoṅ hī maiṅ bāt kartā hūṅ to wuh merī sunte haiṅ.
46 Wuh himmat hār kar kāṅpte hue apne qiloṅ se nikal āte haiṅ.
 
47 Rab zindā hai! Merī chaṭān kī tamjīd ho! Mere Ḳhudā kī tāzīm ho jo merī najāt kī chaṭān hai.
48 Wuhī Ḳhudā hai jo merā intaqām letā, aqwām ko mere tābe kar detā
49 aur mujhe mere dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai. Yaqīnan tū mujhe mere muḳhālifoṅ par sarfarāz kartā, mujhe zālimoṅ se bachāe rakhtā hai.
 
50 Ai Rab, is lie maiṅ aqwām meṅ terī hamd-o-sanā karūṅga, tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
51 Kyoṅki Rab apne bādshāh ko baṛī najāt detā hai, wuh apne masah kie hue bādshāh Dāūd aur us kī aulād par hameshā tak mehrbān rahegā.”