Ġhazalul-ġhazalāt
1
Tū Merā Bādshāh Hai
1 Sulemān kī ġhazalul-ġhazalāt.
2 Wuh mujhe apne muṅh se bose de, kyoṅki terī muhabbat mai se kahīṅ zyādā rāhatbaḳhsh hai.
3 Terī itr kī ḳhushbū kitnī manmohan hai, terā nām chhiṛkā gayā mahakdār tel hī hai. Is lie kuṅwāriyāṅ tujhe pyār kartī haiṅ.
4 Ā, mujhe khīṅch kar apne sāth le jā! Ā, ham dauṛ kar chale jāeṅ! Bādshāh mujhe apne kamroṅ meṅ le jāe, aur ham bāġh bāġh ho kar terī ḳhushī manāeṅ. Ham mai kī nisbat tere pyār kī zyādā tārīf kareṅ. Munāsib hai ki log tujh se muhabbat kareṅ.
Mujhe Haqīr na Jāno
5 Ai Yarūshalam kī beṭiyo, maiṅ siyāhfām lekin manmohan hūṅ, maiṅ Qīdār ke ḳhaimoṅ jaisī, Sulemān ke ḳhaimoṅ ke pardoṅ jaisī ḳhūbsūrat hūṅ.
6 Is lie mujhe haqīr na jāno ki maiṅ siyāhfām hūṅ, ki merī jild dhūp se jhulas gaī hai. Mere sage bhāī mujh se nārāz the, is lie unhoṅ ne mujhe angūr ke bāġhoṅ kī dekh-bhāl karne kī zimmedārī dī, angūr ke apne zātī bāġh kī dekh-bhāl maiṅ kar na sakī.
Tū Kahāṅ Hai?
7 Ai tū jo merī jān kā pyārā hai, mujhe batā ki bheṛ-bakriyāṅ kahāṅ charā rahā hai? Tū unheṅ dopahar ke waqt kahāṅ ārām karne biṭhātā hai? Maiṅ kyoṅ niqābposh kī tarah tere sāthiyoṅ ke rewaṛoṅ ke pās ṭhahrī rahūṅ?
8 Kyā tū nahīṅ jāntī, tū jo auratoṅ meṅ sab se ḳhūbsūrat hai? Phir ghar se nikal kar khoj lagā ki merī bheṛ-bakriyāṅ kis taraf chalī gaī haiṅ, apne memnoṅ ko gallābānoṅ ke ḳhaimoṅ ke pās charā.
Tū Kitnī Ḳhūbsūrat Hai
9 Merī mahbūbā, maiṅ tujhe kis chīz se tashbīh dūṅ? Tū Firaun kā shāndār rath khīṅchne wālī ghoṛī hai!
10 Tere gāl bāliyoṅ se kitne ārāstā, terī gardan motī ke gulūband se kitnī dilfareb lagtī hai.
11 Ham tere lie sone kā aisā hār banwā leṅge jis meṅ chāṅdī ke motī lage hoṅge.
12 Jitnī der bādshāh ziyāfat meṅ sharīk thā mere bālchhaṛ kī ḳhushbū chāroṅ taraf phailtī rahī.
13 Merā mahbūb goyā mur kī ḍibiyā hai, jo merī chhātiyoṅ ke darmiyān paṛī rahtī hai.
14 Merā mahbūb mere lie mehndī ke phūloṅ kā guchchhā hai, jo Ain-jadī ke angūr ke bāġhoṅ se lāyā gayā hai.
15 Merī mahbūbā, tū kitnī ḳhūbsūrat hai, kitnī hasīn! Terī āṅkheṅ kabūtar hī haiṅ.
16 Mere mahbūb, tū kitnā ḳhūbsūrat hai, kitnā dilrubā! Sāyādār hariyālī hamārā bistar
17 aur deodār ke daraḳht hamāre ghar ke shahtīr haiṅ. Jūnīpar ke daraḳht taḳhtoṅ kā kām dete haiṅ.