2 Tīmuthiyus
1
1 Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai jo Allāh kī marzī se Masīh Īsā kā rasūl hai tāki us wādā kī huī zindagī kā paiġhām sunāe jo hameṅ Masīh Īsā meṅ hāsil hotī hai.
2 Maiṅ apne pyāre beṭe Tīmuthiyus ko likh rahā hūṅ.
Ḳhudā Bāp aur hamārā Ḳhudāwand Masīh Īsā āp ko fazl, rahm aur salāmatī atā kareṅ.
Shukrguzārī aur Hauslā-afzāī
3 Maiṅ āp ke lie Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ jis kī ḳhidmat maiṅ apne bāpdādā kī tarah sāf zamīr se kartā hūṅ. Din rāt maiṅ lagātār āp ko apnī duāoṅ meṅ yād rakhtā hūṅ.
4 Mujhe āp ke āṅsū yād āte haiṅ, aur maiṅ āp se milne kā ārzūmand hūṅ tāki ḳhushī se bhar jāūṅ.
5 Mujhe ḳhāskar āp kā muḳhlis īmān yād hai jo pahle āp kī nānī Lūis aur māṅ Yūnīke rakhtī thīṅ. Aur mujhe yaqīn hai ki āp bhī yihī īmān rakhte haiṅ.
6 Yihī wajah hai ki maiṅ āp ko ek bāt yād dilātā hūṅ. Allāh ne āp ko us waqt ek nemat se nawāzā jab maiṅ ne āp par hāth rakhe. Āp ko us nemat kī āg ko nae sire se bhaṛkāne kī zarūrat hai.
7 Kyoṅki jis Rūh se Allāh ne hameṅ nawāzā hai wuh hameṅ buzdil nahīṅ banātā balki hameṅ quwwat, muhabbat aur nazm-o-zabt dilātā hai.
8 Is lie hamāre Ḳhudāwand ke bāre meṅ gawāhī dene se na sharmāeṅ, na mujh se jo Masīh kī ḳhātir qaidī hūṅ. Is ke bajāe mere sāth Allāh kī quwwat se madad le kar us kī ḳhushḳhabrī kī ḳhātir dukh uṭhāeṅ.
9 Kyoṅki us ne hameṅ najāt de kar muqaddas zindagī guzārne ke lie bulāyā. Aur yih chīzeṅ hameṅ apnī mehnat se nahīṅ milīṅ balki Allāh ke irāde aur fazl se. Yih fazl zamānoṅ kī ibtidā se pahle hameṅ Masīh meṅ diyā gayā
10 lekin ab hamāre Najātdahindā Masīh Īsā kī āmad se zāhir huā. Masīh hī ne maut ko nest kar diyā. Usī ne apnī ḳhushḳhabrī ke zariye lāfānī zindagī raushnī meṅ lā kar ham par zāhir kar dī hai.
11 Allāh ne mujhe yihī ḳhushḳhabrī sunāne ke lie munād, rasūl aur ustād muqarrar kiyā hai.
12 Isī wajah se maiṅ dukh uṭhā rahā hūṅ. To bhī maiṅ sharmātā nahīṅ, kyoṅki maiṅ use jāntā hūṅ jis par meṅ īmān lāyā hūṅ, aur mujhe pūrā yaqīn hai ki jo kuchh maiṅ ne us ke hawāle kar diyā hai use wuh apnī āmad ke din tak mahfūz rakhne ke qābil hai.
13 Un sehhatbaḳhsh bātoṅ ke mutābiq chalte raheṅ jo āp ne mujh se sun lī haiṅ, aur yoṅ īmān aur muhabbat ke sāth Masīh Īsā meṅ zindagī guzāreṅ.
14 Jo beshqīmat chīz āp ke hawāle kar dī gaī hai use Rūhul-quds kī madad se jo ham meṅ sukūnat kartā hai mahfūz rakheṅ.
15 Āp ko mālūm hai ki sūbā Āsiyā meṅ tamām logoṅ ne mujhe tark kar diyā hai. In meṅ Fūgilus aur Hirmuġhines bhī shāmil haiṅ.
16 Ḳhudāwand Unesifurus ke gharāne par rahm kare, kyoṅki us ne kaī dafā mujhe tar-o-tāzā kiyā. Hāṅ, wuh is se kabhī na sharmāyā ki maiṅ qaidī hūṅ.
17 Balki jab wuh Rom Shahr pahuṅchā to baṛī koshishoṅ se merā khoj lagā kar mujhe milā.
18 Ḳhudāwand kare ki wuh qiyāmat ke din Ḳhudāwand se rahm pāe. Āp ḳhud behtar jānte haiṅ ki us ne Ifisus meṅ kitnī ḳhidmat kī.