2
Sehhatbaḳhsh Tālīm
Lekin āp wuh kuchh sunāeṅ jo sehhatbaḳhsh tālīm se mutābiqat rakhtā hai. Buzurg mardoṅ ko batā denā ki wuh hoshmand, sharīf aur samajhdār hoṅ. Un kā īmān, muhabbat aur sābitqadmī sehhatmand hoṅ.
Isī tarah buzurg ḳhawātīn ko hidāyat denā ki wuh muqaddasīn kī-sī zindagī guzāreṅ. Na wuh tohmat lagāeṅ na sharāb kī ġhulām hoṅ. Is ke bajāe wuh achchhī tālīm dene ke lāyq hoṅ tāki wuh jawān auratoṅ ko samajhdār zindagī guzārne kī tarbiyat de sakeṅ, ki wuh apne shauharoṅ aur bachchoṅ se muhabbat rakheṅ, ki wuh samajhdār * aur muqaddas hoṅ, ki wuh ghar ke farāyz adā karne meṅ lagī raheṅ, ki wuh nek hoṅ, ki wuh apne shauharoṅ ke tābe raheṅ. Agar wuh aisī zindagī guzāreṅ to wuh dūsroṅ ko Allāh ke kalām par kufr bakne kā mauqā farāham nahīṅ kareṅgī.
Isī tarah jawān ādmiyoṅ kī hauslā-afzāī kareṅ ki wuh har lihāz se samajhdār zindagī guzāreṅ. Āp ḳhud nek kām karne meṅ un ke lie namūnā baneṅ. Tālīm dete waqt āp kī ḳhulūsdilī, sharāfat aur alfāz kī be'ilzām sehhat sāf nazar āe. Phir āp ke muḳhālif sharmindā ho jāeṅge, kyoṅki wuh hamāre bāre meṅ koī burī bāt nahīṅ kah sakeṅge.
Ġhulāmoṅ ko kah denā ki wuh har lihāz se apne mālikoṅ ke tābe raheṅ. Wuh unheṅ pasand āeṅ, bahs-mubāhasā kie baġhair un kī bāt māneṅ 10 aur un kī chīzeṅ chorī na kareṅ balki sābit kareṅ ki un par har tarah kā etamād kiyā jā saktā hai. Kyoṅki is tarīqe se wuh hamāre Najātdahindā Allāh ke bāre meṅ tālīm ko har tarah se dilkash banā deṅge.
11 Kyoṅki Allāh kā najātbaḳhsh fazl tamām insānoṅ par zāhir huā hai. 12 Aur yih fazl hameṅ tarbiyat de kar is qābil banā detā hai ki ham bedīnī aur duniyāwī ḳhāhishāt kā inkār karke is duniyā meṅ samajhdār, rāstbāz aur ḳhudātars zindagī guzār sakeṅ. 13 Sāth sāth yih tarbiyat us mubārak din kā intazār karne meṅ hamārī madad kartī hai jis kī ummīd ham rakhte haiṅ aur jab hamāre azīm Ḳhudā aur Najātdahindā Īsā Masīh kā jalāl zāhir ho jāegā. 14 Kyoṅki Masīh ne hamāre lie apnī jān de dī tāki fidyā de kar hameṅ har tarah kī bedīnī se chhuṛā kar apne lie ek pāk aur maḳhsūs qaum banāe jo nek kām karne meṅ sargarm ho.
15 Inhīṅ bātoṅ kī tālīm de kar pūre iḳhtiyār ke sāth logoṅ ko samjhāeṅ aur un kī islāh kareṅ. Koī bhī āp ko haqīr na jāne.
* 2:5 Yūnānī lafz meṅ zabt-e-nafs kā unsur bhī pāyā jātā hai.