3
Dāūd Bādshāh kī Aulād
Habrūn meṅ Dāūd Bādshāh ke darj-e-zail beṭe paidā hue:
Pahlauṭhā Amnon thā jis kī māṅ Aḳhīnūsam Yazraelī thī. Dūsrā Dānyāl thā jis kī māṅ Abījel Karmilī thī. Tīsrā Abīsalūm thā. Us kī māṅ Mākā thī jo Jasūr ke bādshāh Talmī kī beṭī thī. Chauthā Adūniyāh thā jis kī māṅ Hajjīt thī. Pāṅchwāṅ Safatiyāh thā jis kī māṅ Abītāl thī. Chhaṭā Itriyām thā jis kī māṅ Ijlā thī. Dāūd ke yih chhih beṭe un sāṛhe sāt sāloṅ ke daurān paidā hue jab Habrūn us kā dārul-hukūmat thā.
Is ke bād wuh Yarūshalam meṅ muntaqil huā aur wahāṅ mazīd 33 sāl hukūmat kartā rahā. Us daurān us kī bīwī Bat-sabā bint Ammiyel ke chār beṭe Simā, Sobāb, Nātan aur Sulemān paidā hue. Mazīd beṭe bhī paidā hue, Ibhār, Ilīsua, Ilīfalat, Naujā, Nafaj, Yafīa, Ilīsamā, Ilyadā aur Ilīfalat. Kul nau beṭe the. Tamr un kī bahan thī. In ke alāwā Dāūd kī dāshtāoṅ ke beṭe bhī the.
10 Sulemān ke hāṅ Rahubiyām paidā huā, Rahubiyām ke Abiyāh, Abiyāh ke Āsā, Āsā ke Yahūsafat, 11 Yahūsafat ke Yahūrām, Yahūrām ke Aḳhaziyāh, Aḳhaziyāh ke Yuās, 12 Yuās ke Amasiyāh, Amasiyāh ke Azariyāh yānī Uzziyāh, Uzziyāh ke Yūtām, 13 Yūtām ke Āḳhaz, Āḳhaz ke Hizqiyāh, Hizqiyāh ke Manassī, 14 Manassī ke Amūn aur Amūn ke Yūsiyāh.
15 Yūsiyāh ke chār beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Yūhanān, Yahūyaqīm, Sidqiyāh aur Sallūm the.
16 Yahūyaqīm Yahūyākīn *Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai. kā aur Yahūyākīn Sidqiyāh kā bāp thā. 17 Yahūyākīn Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai. ko Bābal meṅ jilāwatan kar diyā gayā. Us ke sāt beṭe Siyāltiyel, 18 Malkirām, Fidāyāh, Shenāzzar, Yaqamiyāh, Hūsamā aur Nadabiyāh the. 19 Fidāyāh ke do beṭe Zarubbābal aur Simaī the.
Zarubbābal ke do beṭe Masullām aur Hananiyāh the. Ek beṭī banām Salūmīt bhī paidā huī. 20 Bāqī pāṅch beṭoṅ ke nām Hasūbā, Ohal, Barakiyāh, Hasdiyāh aur Yūsab-hasad the.
21 Hananiyāh ke do beṭe Falatiyāh aur Yasāyāh the. Yasāyāh Rifāyāh kā bāp thā, Rifāyāh Arnān kā, Arnān Abadiyāh kā aur Abadiyāh Sakaniyāh kā.
22 Sakaniyāh ke beṭe kā nām Samāyāh thā. Samāyāh ke chhih beṭe Hattūsh, Ijāl, Barīh, Na'ariyāh aur Sāfat the. 23 Na'ariyāh ke tīn beṭe Iliyuainī, Hizqiyāh aur Azrīqām paidā hue.
24 Iliyuainī ke sāt beṭe Hūdāwiyāh, Iliyāsib, Filāyāh, Aqqūb, Yūhanān, Dilāyāh aur Anānī the.

*3:16 Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai.

3:17 Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai.