7
Sulemān kā Mahal
1 Jo mahal Sulemān ne banwāyā wuh 13 sāl ke bād mukammal huā.
2-3 Us kī ek imārat kā nām ‘Lubnān kā Jangal’ thā. Imārat kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ thī. Nichlī manzil ek baṛā hāl thā jis ke deodār kī lakaṛī ke 45 satūn the. Pandrah pandrah satūnoṅ ko tīn qatāroṅ meṅ khaṛā kiyā gayā thā. Satūnoṅ par shahtīr the jin par dūsrī manzil ke farsh ke lie deodār ke taḳhte lagāe gae the. Dūsrī manzil ke muḳhtalif kamre the, aur chhat bhī deodār kī lakaṛī se banāī gaī thī. 4 Hāl kī donoṅ lambī dīwāroṅ meṅ tīn tīn khiṛkiyāṅ thīṅ, aur ek dīwār kī khiṛkiyāṅ dūsrī dīwār kī khiṛkiyoṅ ke bilkul muqābil thīṅ. 5 In dīwāroṅ ke tīn tīn darwāze bhī ek dūsre ke muqābil the. Un kī chaukhaṭoṅ kī lakaṛī ke chār chār kone the.
6 Is ke alāwā Sulemān ne satūnoṅ kā hāl banwāyā jis kī lambāī 75 fuṭ aur chauṛāī 45 fuṭ thī. Hāl ke sāmne satūnoṅ kā barāmdā thā. 7 Us ne dīwān bhī tāmīr kiyā jo Dīwān-e-Adl kahlātā thā. Us meṅ us kā taḳht thā, aur wahāṅ wuh logoṅ kī adālat kartā thā. Dīwān kī chāroṅ dīwāroṅ par farsh se le kar chhat tak deodār ke taḳhte lage hue the.
8 Dīwān ke pīchhe sahan thā jis meṅ bādshāh kā rihāishī mahal thā. Mahal kā ḍizāyn dīwān jaisā thā. Us kī Misrī bīwī Firaun kī beṭī kā mahal bhī ḍizāyn meṅ dīwān se mutābiqat rakhtā thā.
9 Yih tamām imārateṅ buniyādoṅ se le kar chhat tak aur bāhar se le kar baṛe sahan tak ālā qism ke pattharoṅ se banī huī thīṅ, aise pattharoṅ se jo chāroṅ taraf ārī se nāp ke ain mutābiq kāṭe gae the. 10 Bunyādoṅ ke lie umdā qism ke baṛe baṛe patthar istemāl hue. Bāz kī lambāī 12 aur bāz kī 15 fuṭ thī. 11 In par ālā qism ke pattharoṅ kī dīwāreṅ khaṛī kī gaīṅ. Dīwāroṅ meṅ deodār ke shahtīr bhī lagāe gae. 12 Baṛe sahan kī chārdīwārī yoṅ banāī gaī ki pattharoṅ ke har tīn raddoṅ ke bād deodār ke shahtīroṅ kā ek raddā lagāyā gayā thā. Jo andarūnī sahan Rab ke ghar ke irdgird thā us kī chārdīwārī bhī isī tarah hī banāī gaī, aur isī tarah Rab ke ghar ke barāmde kī dīwāreṅ bhī.
Rab ke Ghar ke sāmne ke Do Ḳhās Satūn
13 Phir Sulemān Bādshāh ne Sūr ke ek ādmī ko bulāyā jis kā nām Hīrām thā. 14 Us kī māṅ Isrāīlī qabīle Naftālī kī bewā thī jabki us kā bāp Sūr kā rahne wālā aur pītal kā kārīgar thā. Hīrām baṛī hikmat, samajhdārī aur mahārat se pītal kī har chīz banā saktā thā. Is qism kā kām karne ke lie wuh Sulemān Bādshāh ke pās āyā.
15 Pahle us ne pītal ke do satūn ḍhāl die. Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ aur gherā 18 fuṭ thā. 16 Phir us ne har satūn ke lie pītal kā bālāī hissā ḍhāl diyā jis kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ thī. 17 Har bālāī hisse ko ek dūsre ke sāth ḳhūbsūratī se milāī gaī sāt zanjīroṅ se ārāstā kiyā gayā. 18-20 In zanjīroṅ ke ūpar Hīrām ne har bālāī hisse ko pītal ke 200 anāroṅ se sajāyā jo do qatāroṅ meṅ lagāe gae. Phir bālāī hisse satūnoṅ par lagāe gae. Bālāī hissoṅ kī sosan ke phūl kī-sī shakl thī, aur yih phūl 6 fuṭ ūṅche the. 21 Hīrām ne donoṅ satūn Rab ke ghar ke barāmde ke sāmne khaṛe kie. Dahne hāth ke satūn kā nām us ne ‘Yakīn’ aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘Boaz’ rakhā. 22 Bālāī hisse sosan-numā the. Chunāṅche kām mukammal huā.
Pītal kā Hauz
23 Is ke bād Hīrām ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhāl diyā jis kā nām ‘Samundar’ rakhā gayā. Us kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā. 24 Hauz ke kināre ke nīche tūṅboṅ kī do qatāreṅ thīṅ. Fī fuṭ taqrīban 6 tūṅbe the. Tūṅbe aur hauz mil kar ḍhāle gae the. 25 Hauz ko bailoṅ ke 12 mujassamoṅ par rakhā gayā. Tīn bailoṅ kā ruḳh shimāl kī taraf, tīn kā ruḳh maġhrib kī taraf, tīn kā ruḳh junūb kī taraf aur tīn kā ruḳh mashriq kī taraf thā. Un ke pichhle hisse hauz kī taraf the, aur hauz un ke kandhoṅ par paṛā thā. 26 Hauz kā kinārā pyāle balki sosan ke phūl kī tarah bāhar kī taraf muṛā huā thā. Us kī dīwār taqrīban tīn inch moṭī thī, aur hauz meṅ pānī ke taqrīban 44,000 liṭar samā jāte the.
Pānī ke Bāsan Uṭhāne kī Hathgāṛiyāṅ
27 Phir Hīrām ne pānī ke bāsan uṭhāne ke lie pītal kī hathgāṛiyāṅ banāīṅ. Har gāṛī kī lambāī 6 fuṭ, chauṛāī 6 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 4 fuṭ thī. 28 Har gāṛī kā ūpar kā hissā sariyoṅ se mazbūt kiyā gayā frem thā. 29 Frem ke bairūnī pahlū sherbabaroṅ, bailoṅ aur karūbī farishtoṅ se saje hue the. Sheroṅ aur bailoṅ ke ūpar aur nīche pītal ke sehre lage hue the. 30 Har gāṛī ke chār pahie aur do dhure the. Yih bhī pītal ke the. Chāroṅ konoṅ par pītal ke aise ṭukṛe lage the jin par bāsan rakhe jāte the. Yih ṭukṛe bhī sehroṅ se saje hue the. 31 Frem ke andar jis jagah bāsan ko rakhā jātā thā wuh gol thī. Us kī ūṅchāī ḍeṛh fuṭ thī, aur us kā muṅh sawā do fuṭ chauṛā thā. Us ke bairūnī pahlū par chīzeṅ kandā kī gaī thīṅ. Gāṛī kā frem gol nahīṅ balki chauras thā. 32 Gāṛī ke frem ke nīche mazkūrā chār pahie the jo dhuroṅ se juṛe the. Dhure frem ke sāth hī ḍhal gae the. Har pahiyā sawā do fuṭ chauṛā thā. 33 Pahie rathoṅ ke pahiyoṅ kī mānind the. Un ke dhure, kināre, tār aur nābheṅ sab ke sab pītal se ḍhāle gae the. 34 Gāṛiyoṅ ke chār konoṅ par daste lage the jo frem ke sāth mil kar ḍhāle gae the. 35-36 Har gāṛī ke ūpar kā kinārā nau inch ūṅchā thā. Konoṅ par lage daste aur frem ke pahlū har jagah karūbī farishtoṅ, sherbabaroṅ aur khajūr ke daraḳhtoṅ se saje hue the. Chāroṅ taraf sehre bhī kandā kie gae. 37 Hīrām ne dasoṅ gāṛiyoṅ ko ek hī sāṅche meṅ ḍhālā, is lie sab ek jaisī thīṅ.
38 Hīrām ne har gāṛī ke lie pītal kā bāsan ḍhāl diyā. Har bāsan 6 fuṭ chauṛā thā, aur us meṅ 880 liṭar pānī samā jātā thā. 39 Us ne pāṅch gāṛiyāṅ Rab ke ghar ke dāeṅ hāth aur pāṅch us ke bāeṅ hāth khaṛī kīṅ. Hauz banām Samundar ko us ne Rab ke ghar ke junūb-mashriq meṅ rakh diyā.
Us Sāmān kī Fahrist Jo Hīrām ne Banāyā
40 Hīrām ne bāsan, belche aur chhiṛkāw ke kaṭore bhī banāe. Yoṅ us ne Rab ke ghar meṅ wuh sārā kām mukammal kiyā jis ke lie Sulemān Bādshāh ne use bulāyā thā. Us ne zail kī chīzeṅ banāīṅ:
41 do satūn,
satūnoṅ par lage pyālānumā bālāī hisse,
bālāī hissoṅ par lagī zanjīroṅ kā ḍizāyn,
42 zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī bālāī hissā 200 adad),
43 10 hathgāṛiyāṅ,
in par ke pānī ke 10 bāsan,
44 hauz banām Samundar,
ise uṭhāne wāle bail ke 12 mujassame,
45 bālṭiyāṅ, belche aur chhiṛkāw ke kaṭore.
Yih tamām sāmān jo Hīrām ne Sulemān ke hukm par Rab ke ghar ke lie banāyā pītal se ḍhāl kar pālish kiyā gayā thā. 46 Bādshāh ne use Wādī-e-Yardan meṅ Sukkāt aur Zartān ke darmiyān ḍhalwāyā. Wahāṅ ek faunḍarī thī jahāṅ Hīrām ne gāre ke sāṅche banā kar har chīz ḍhāl dī. 47 Is sāmān ke lie Sulemān Bādshāh ne itnā zyādā pītal istemāl kiyā ki us kā kul wazn mālūm na ho sakā.
Rab ke Ghar ke Andar Sone kā Sāmān
48 Rab ke ghar ke andar ke lie Sulemān ne darj-e-zail sāmān banwāyā:
sone kī qurbāngāh,
sone kī wuh mez jis par Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ paṛī rahtī thīṅ,
49 ḳhālis sone ke 10 shamādān jo Muqaddastarīn Kamre ke sāmne rakhe gae. Pāṅch darwāze ke dahne hāth aur pāṅch us ke bāeṅ hāth,
sone ke wuh phūl jin se shamādān ārāstā the,
sone ke charāġh aur battī ko bujhāne ke auzār,
50 ḳhālis sone ke bāsan, charāġh ko katarne ke auzār, chhiṛkāw ke kaṭore aur pyāle,
jalte hue koele ke lie ḳhālis sone ke bartan,
Muqaddastarīn Kamre aur baṛe hāl ke darwāzoṅ ke qabze.
51 Rab ke ghar kī takmīl par Sulemān Bādshāh ne wuh sonā-chāṅdī aur bāqī tamām qīmtī chīzeṅ Rab ke ghar ke ḳhazānoṅ meṅ rakhwā dīṅ jo us ke bāp Dāūd ne Rab ke lie maḳhsūs kī thīṅ.