12
Samuel kī Alwidāī Taqrīr
1 Tab Samuel tamām Isrāīl se muḳhātib huā, “Maiṅ ne āp kī har bāt mān kar āp par bādshāh muqarrar kiyā hai. 2 Ab yihī āp ke āge āge chal kar āp kī rāhnumāī karegā. Maiṅ ḳhud būṛhā hūṅ, aur mere bāl safed ho gae haiṅ jabki mere beṭe āp ke darmiyān hī rahte haiṅ. Maiṅ jawānī se le kar āj tak āp kī rāhnumāī kartā āyā hūṅ. 3 Ab maiṅ hāzir hūṅ. Agar mujh se koī ġhaltī huī hai to Rab aur us ke masah kie hue bādshāh ke sāmne is kī gawāhī deṅ. Kyā maiṅ ne kisī kā bail yā gadhā lūṭ liyā? Kyā maiṅ ne kisī se ġhalat fāydā uṭhāyā yā kisī par zulm kiyā? Kyā maiṅ ne kabhī kisī se rishwat le kar ġhalat faislā kiyā hai? Agar aisā huā to mujhe batāeṅ! Phir maiṅ sab kuchh wāpas kar dūṅgā.”
4 Ijtimā ne jawāb diyā, “Na āp ne ham se ġhalat fāydā uṭhāyā, na ham par zulm kiyā hai. Āp ne kabhī bhī rishwat nahīṅ lī.” 5 Samuel bolā, “Āj Rab aur us kā masah kiyā huā bādshāh gawāh haiṅ ki āp ko mujh par ilzām lagāne kā koī sabab na milā.” Awām ne kahā, “Jī, aisā hī hai.” 6 Samuel ne bāt jārī rakhī, “Rab ḳhud Mūsā aur Hārūn ko Isrāīl ke rāhnumā banā kar āp ke bāpdādā ko Misr se nikāl lāyā. 7 Ab yahāṅ Rab ke taḳht-e-adālat ke sāmne khaṛe ho jāeṅ to maiṅ āp ko un tamām bhalāiyoṅ kī yād dilāūṅgā jo Rab ne āp aur āp ke bāpdādā se kī haiṅ.
8 Āp kā bāp Yāqūb Misr āyā. Jab Misrī us kī aulād ko dabāne lage to unhoṅ ne chīḳhte-chillāte Rab se madad māṅgī. Tab us ne Mūsā aur Hārūn ko bhej diyā tāki wuh pūrī qaum ko Misr se nikāl kar yahāṅ is mulk meṅ lāeṅ. 9 Lekin jald hī wuh Rab apne Ḳhudā ko bhūl gae. Is lie us ne unheṅ dushman ke hawāle kar diyā. Kabhī Hasūr Shahr ke bādshāh kā kamānḍar Sīsarā un se laṛā, kabhī Filistī aur kabhī Moāb kā bādshāh. 10 Har dafā āp ke bāpdādā ne chīḳhte-chillāte Rab se madad māṅgī aur iqrār kiyā, ‘Ham ne gunāh kiyā hai, kyoṅki ham ne Rab ko tark karke Bāl aur Astārāt ke butoṅ kī pūjā kī hai. Lekin ab hameṅ dushmanoṅ se bachā! Phir ham sirf terī hī ḳhidmat kareṅge.’ 11 Aur har bār Rab ne kisī na kisī ko bhej diyā, kabhī Jidāūn, kabhī Baraq, kabhī Iftāh aur kabhī Samuel ko. Un ādmiyoṅ kī mārifat Allāh ne āp ko irdgird ke tamām dushmanoṅ se bachāyā, aur mulk meṅ amn-o-amān qāym ho gayā.
12 Lekin jab Ammonī bādshāh Nāhas āp se laṛne āyā to āp mere pās ā kar taqāzā karne lage ki hamārā apnā bādshāh ho jo ham par hukūmat kare, hālāṅki āp jānte the ki Rab hamārā Ḳhudā hamārā Bādshāh hai. 13 Ab wuh bādshāh dekheṅ jise āp māṅg rahe the! Rab ne āp kī ḳhāhish pūrī karke use āp par muqarrar kiyā hai. 14 Chunāṅche Rab kā ḳhauf māneṅ, us kī ḳhidmat kareṅ aur us kī suneṅ. Sarkash ho kar us ke ahkām kī ḳhilāfwarzī mat karnā. Agar āp aur āp kā bādshāh Rab se wafādār raheṅge to wuh āp ke sāth hogā. 15 Lekin agar āp us ke tābe na raheṅ aur sarkash ho kar us ke ahkām kī ḳhilāfwarzī kareṅ to wuh āp kī muḳhālafat karegā, jis tarah us ne āp ke bāpdādā kī bhī muḳhālafat kī.
16 Ab khaṛe ho kar dekheṅ ki Rab kyā karne wālā hai. Wuh āp kī āṅkhoṅ ke sāmne hī baṛā mojizā karegā. 17 Is waqt gandum kī kaṭāī kā mausam hai. Go in dinoṅ meṅ bārish nahīṅ hotī, lekin maiṅ duā karūṅga to Rab garajte bādal aur bārish bhejegā. Tab āp jān leṅge ki āp ne bādshāh kā taqāzā karte hue Rab ke nazdīk kitnī burī bāt kī hai.”
18 Samuel ne pukār kar Rab se duā kī, aur us din Rab ne garajte bādal aur bārish bhej dī. Yih dekh kar ijtimā saḳht ghabrā kar Samuel aur Rab se ḍarne lagā. 19 Sab ne Samuel se iltamās kī, “Rab apne Ḳhudā se duā karke hamārī sifārish kareṅ tāki ham mar na jāeṅ. Kyoṅki bādshāh kā taqāzā karne se ham ne apne gunāhoṅ meṅ izāfā kiyā hai.”
20 Samuel ne logoṅ ko tasallī de kar kahā, “Mat ḍareṅ. Beshak āp se ġhaltī huī hai, lekin āindā ḳhayāl rakheṅ ki āp Rab se dūr na ho jāeṅ balki pūre dil se us kī ḳhidmat kareṅ. 21 Bemānī butoṅ ke pīchhe mat paṛnā. Na wuh fāyde kā bāis haiṅ, na āp ko bachā sakte haiṅ. Un kī koī haisiyat nahīṅ hai. 22 Rab apne azīm nām kī ḳhātir apnī qaum ko nahīṅ chhoṛegā, kyoṅki us ne āp ko apnī qaum banāne kā faislā kiyā hai. 23 Jahāṅ tak merā tālluq hai, maiṅ is meṅ Rab kā gunāh nahīṅ karūṅga ki āp kī sifārish karne se bāz āūṅ. Aur āindā bhī maiṅ āp ko achchhe aur sahīh rāste kī tālīm detā rahūṅgā. 24 Lekin dhyān se Rab kā ḳhauf māneṅ aur pūre dil aur wafādārī se us kī ḳhidmat kareṅ. Yād rahe ki us ne āp ke lie kitne azīm kām kie haiṅ. 25 Lekin agar āp ġhalat kām karne par tule raheṅ to āp apne bādshāh samet duniyā meṅ se miṭ jāeṅge.”