8
1 Aur Sāūl ko bhī Stifanus kā qatl manzūr thā.
Sāūl Jamāt ko Satātā Hai
Us din Yarūshalam meṅ maujūd jamāt saḳht īzārasānī kī zad meṅ ā gaī. Is lie siwāe rasūloṅ ke tamām īmāndār Yahūdiyā aur Sāmariya ke ilāqoṅ meṅ titar-bitar ho gae. 2 Kuchh ḳhudātars ādmiyoṅ ne Stifanus ko dafn karke ro ro kar us kā mātam kiyā.
3 Lekin Sāūl Īsā kī jamāt ko tabāh karne par tulā huā thā. Us ne ghar ghar jā kar īmāndār mard-o-ḳhawātīn ko nikāl diyā aur unheṅ ghasīṭ kar qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā.
Ḳhushḳhabrī Sāmariya meṅ Phail Jātī Hai
4 Jo īmāndār bikhar gae the wuh jagah jagah jā kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte phire. 5 Is tarah Filippus Sāmariya ke kisī shahr ko gayā aur wahāṅ ke logoṅ ko Masīh ke bāre meṅ batāyā. 6 Jo kuchh bhī Filippus ne kahā aur jo bhī ilāhī nishān us ne dikhāe, us par sunane wāle hujūm ne yakdil ho kar tawajjuh dī. 7 Bahut-se logoṅ meṅ se badrūheṅ zordār chīḳheṅ mār mār kar nikal gaīṅ, aur bahut-se maflūjoṅ aur langaṛoṅ ko shafā mil gaī. 8 Yoṅ us shahr meṅ baṛī shādmānī phail gaī.
9 Wahāṅ kāfī arse se ek ādmī rahtā thā jis kā nām Shamāūn thā. Wuh jādūgar thā aur us ke hairatangez kām se Sāmariya ke log bahut muta'assir the. Us kā apnā dāwā thā ki maiṅ koī ḳhās shaḳhs hūṅ. 10 Is lie sab log chhoṭe se le kar baṛe tak us par ḳhās tawajjuh dete the. Un kā kahnā thā, ‘Yih ādmī wuh ilāhī quwwat hai jo Azīm kahlātī hai.’ 11 Wuh is lie us ke pīchhe lag gae the ki us ne unheṅ baṛī der se apne hairatangez kāmoṅ se muta'assir kar rakhā thā. 12 Lekin ab log Filippus kī Allāh kī bādshāhī aur Īsā ke nām ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī par īmān le āe, aur mard-o-ḳhawātīn ne baptismā liyā. 13 Ḳhud Shamāūn ne bhī īmān lā kar baptismā liyā aur Filippus ke sāth rahā. Jab us ne wuh baṛe ilāhī nishān aur mojize dekhe jo Filippus ke hāth se zāhir hue to wuh hakkā-bakkā rah gayā.
14 Jab Yarūshalam meṅ rasūloṅ ne sunā ki Sāmariya ne Allāh kā kalām qabūl kar liyā hai to unhoṅ ne Patras aur Yūhannā ko un ke pās bhej diyā. 15 Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne un ke lie duā kī ki unheṅ Rūhul-quds mil jāe, 16 kyoṅki abhī Rūhul-quds un par nāzil nahīṅ huā thā balki unheṅ sirf Ḳhudāwand Īsā ke nām meṅ baptismā diyā gayā thā. 17 Ab jab Patras aur Yūhannā ne apne hāth un par rakhe to unheṅ Rūhul-quds mil gayā.
18 Shamāūn ne dekhā ki jab rasūl logoṅ par hāth rakhte haiṅ to un ko Rūhul-quds miltā hai. Is lie us ne unheṅ paise pesh karke 19 kahā, “Mujhe bhī yih iḳhtiyār de deṅ ki jis par maiṅ hāth rakhūṅ use Rūhul-quds mil jāe.”
20 Lekin Patras ne jawāb diyā, “Āp ke paise āp ke sāth ġhārat ho jāeṅ, kyoṅki āp ne sochā ki Allāh kī nemat paisoṅ se ḳharīdī jā saktī hai. 21 Is ḳhidmat meṅ āp kā koī hissā nahīṅ hai, kyoṅki āp kā dil Allāh ke sāmne ḳhālis nahīṅ hai. 22 Apnī is sharārat se taubā karke Ḳhudāwand se duā kareṅ. Shāyad wuh āp ko is irāde kī muāfī de jo āp ne dil meṅ rakhā hai. 23 Kyoṅki maiṅ deḳhtā hūṅ ki āp kaṛwe pit se bhare aur nārāstī ke bandhan meṅ jakaṛe hue haiṅ.”
24 Shamāūn ne kahā, “Phir Ḳhudāwand se mere lie duā kareṅ ki āp kī mazkūrā musībatoṅ meṅ se mujh par koī na āe.”
25 Ḳhudāwand ke kalām kī gawāhī dene aur us kī munādī karne ke bād Patras aur Yūhannā wāpas Yarūshalam ke lie rawānā hue. Rāste meṅ unhoṅ ne Sāmariya ke bahut-se dehātoṅ meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī.
Filippus aur Ethopiyā kā Afsar
26 Ek din Rab ke farishte ne Filippus se kahā, “Uṭh kar junūb kī taraf us rāh par jā jo registān meṅ se guzar kar Yarūshalam se Ġhazzā ko jātī hai.” 27 Filippus uṭh kar rawānā huā. Chalte chalte us kī mulāqāt Ethopiyā kī malikā Kandāke ke ek ḳhwājāsarā se huī. Malikā ke pūre ḳhazāne par muqarrar yih darbārī ibādat karne ke lie Yarūshalam gayā thā 28 aur ab apne mulk meṅ wāpas jā rahā thā. Us waqt wuh rath meṅ sawār Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā thā. 29 Rūhul-quds ne Filippus se kahā, “Us ke pās jā kar rath ke sāth ho le.” 30 Filippus dauṛ kar rath ke pās pahuṅchā to sunā ki wuh Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā hai. Us ne pūchhā, “Kyā āp ko us sab kī samajh ātī hai jo āp paṛh rahe haiṅ?”
31 Darbārī ne jawāb diyā, “Maiṅ kyoṅkar samjhūṅ jab tak koī merī rāhnumāī na kare?” Aur us ne Filippus ko rath meṅ sawār hone kī dāwat dī. 32 Kalām-e-muqaddas kā jo hawālā wuh paṛh rahā thā yih thā,
‘Use bheṛ kī tarah zabah karne ke lie le gae.
Jis tarah lelā bāl katarne wāle ke sāmne ḳhāmosh rahtā hai,
usī tarah us ne apnā muṅh na kholā.
33 Us kī tazlīl kī gaī aur use insāf na milā.
Kaun us kī nasl bayān kar saktā hai?
Kyoṅki us kī jān duniyā se chhīn lī gaī.’
34 Darbārī ne Filippus se pūchhā, “Mehrbānī karke mujhe batā dījie ki nabī yahāṅ kis kā zikr kar rahā hai, apnā yā kisī aur kā?” 35 Jawāb meṅ Filippus ne kalām-e-muqaddas ke isī hawāle se shurū karke use Īsā ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāī. 36 Saṛak par safr karte karte wuh ek jagah se guzare jahāṅ pānī thā. Ḳhwājāsarā ne kahā, “Dekheṅ, yahāṅ pānī hai. Ab mujhe baptismā lene se kaun-sī chīz rok saktī hai?” 37 [Filippus ne kahā, “Agar āp pūre dil se īmān lāeṅ to le sakte haiṅ.” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki Īsā Masīh Allāh kā Farzand hai.”]
38 Us ne rath ko rokne kā hukm diyā. Donoṅ pānī meṅ utar gae aur Filippus ne use baptismā diyā. 39 Jab wuh pānī se nikal āe to Ḳhudāwand kā Rūh Filippus ko uṭhā le gayā. Is ke bād ḳhwājāsarā ne use phir kabhī na dekhā, lekin us ne ḳhushī manāte hue apnā safr jārī rakhā. 40 Itne meṅ Filippus ko Ashdūd Shahr meṅ pāyā gayā. Wuh wahāṅ aur Qaisariyā tak ke tamām shahroṅ meṅ se guzar kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunātā gayā.