15
Yarūshalam meṅ Mushāwratī Ijtimā
1 Us waqt kuchh ādmī Yahūdiyā se ā kar Shām ke Antākiyā meṅ bhāiyoṅ ko yih tālīm dene lage, “Lāzim hai ki āp kā Mūsā kī sharīat ke mutābiq ḳhatnā kiyā jāe, warnā āp najāt nahīṅ pā sakeṅge.” 2 Is se un ke aur Barnabās aur Paulus ke darmiyān nā-ittafāqī paidā ho gaī aur donoṅ un ke sāth ḳhūb bahs-mubāhasā karne lage. Āḳhirkār jamāt ne Paulus aur Barnabās ko muqarrar kiyā ki wuh chand ek aur maqāmī īmāndāroṅ ke sāth Yarūshalam jāeṅ aur wahāṅ ke rasūloṅ aur buzurgoṅ ko yih muāmalā pesh kareṅ.
3 Chunāṅche jamāt ne unheṅ rawānā kiyā aur wuh Fenīke aur Sāmariya meṅ se guzare. Rāste meṅ unhoṅ ne maqāmī īmāndāroṅ ko tafsīl se batāyā ki Ġhairyahūdī kis tarah Ḳhudāwand kī taraf rujū lā rahe haiṅ. Yih sun kar tamām bhāī nihāyat ḳhush hue. 4 Jab wuh Yarūshalam pahuṅch gae to jamāt ne apne rasūloṅ aur buzurgoṅ samet un kā istiqbāl kiyā. Phir Paulus aur Barnabās ne sab kuchh bayān kiyā jo un kī mārifat huā thā. 5 Yih sun kar kuchh īmāndār khaṛe hue jo Farīsī firqe meṅ se the. Unhoṅ ne kahā, “Lāzim hai ki Ġhairyahūdiyoṅ kā ḳhatnā kiyā jāe aur unheṅ hukm diyā jāe ki wuh Mūsā kī sharīat ke mutābiq zindagī guzāreṅ.”
6 Rasūl aur buzurg is muāmale par ġhaur karne ke lie jamā hue. 7 Bahut bahs-mubāhasā ke bād Patras khaṛā huā aur kahā, “Bhāiyo, āp jānte haiṅ ki Allāh ne bahut der huī āp meṅ se mujhe chun liyā ki Ġhairyahūdiyoṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāūṅ tāki wuh īmān lāeṅ. 8 Aur Allāh ne jo diloṅ ko jāntā hai is bāt kī tasdīq kī hai, kyoṅki us ne unheṅ wuhī Rūhul-quds baḳhshā hai jo us ne hameṅ bhī diyā thā. 9 Us ne ham meṅ aur un meṅ koī bhī farq na rakhā balki īmān se un ke diloṅ ko bhī pāk kar diyā. 10 Chunāṅche āp Allāh ko is meṅ kyoṅ āzmā rahe haiṅ ki āp Ġhairyahūdī shāgirdoṅ kī gardan par ek aisā juā rakhnā chāhte haiṅ jo na ham aur na hamāre bāpdādā uṭhā sakte the? 11 Dekheṅ, ham to īmān rakhte haiṅ ki ham sab ek hī tarīqe yānī Ḳhudāwand Īsā ke fazl hī se najāt pāte haiṅ.”
12 Tamām log chup rahe to Paulus aur Barnabās unheṅ un ilāhī nishānoṅ aur mojizoṅ ke bāre meṅ batāne lage jo Allāh ne un kī mārifat Ġhairyahūdiyoṅ ke darmiyān kie the. 13 Jab un kī bāt ḳhatm huī to Yāqūb ne kahā, “Bhāiyo, merī bāt suneṅ! 14 Shamāūn ne bayān kiyā hai ki Allāh ne kis tarah pahlā qadam uṭhā kar Ġhairyahūdiyoṅ par apnī fikrmandī kā izhār kiyā aur un meṅ se apne lie ek qaum chun lī. 15 Aur yih bāt nabiyoṅ kī peshgoiyoṅ ke bhī mutābiq hai. Chunāṅche likhā hai,
16 ‘Is ke bād maiṅ wāpas ā kar
Dāūd ke tabāhshudā ghar ko nae sire se tāmīr karūṅga,
maiṅ us ke khanḍarāt dubārā tāmīr karke bahāl karūṅga
17 tāki logoṅ kā bachā-khuchā hissā aur wuh tamām qaumeṅ
mujhe ḍhūnḍeṅ jin par mere nām kā ṭhappā lagā hai.
Yih Rab kā farmān hai, aur wuh yih karegā bhī’
18 balki yih use azal se mālūm hai.
19 Yihī pesh-e-nazar rakh kar merī rāy yih hai ki ham un Ġhairyahūdiyoṅ ko jo Allāh kī taraf rujū kar rahe haiṅ ġhairzarūrī taklīf na deṅ. 20 Is ke bajāe behtar yih hai ki ham unheṅ likh kar hidāyat deṅ ki wuh in chīzoṅ se parhez kareṅ: aise khānoṅ se jo butoṅ ko pesh kie jāne se nāpāk haiṅ, zinākārī se, aise jānwaroṅ kā gosht khāne se jinheṅ galā ghūṅṭ kar mār diyā gayā ho aur ḳhūn khāne se. 21 Kyoṅki Mūswī sharīat kī munādī karne wāle kaī nasloṅ se har shahr meṅ rah rahe haiṅ. Jis shahr meṅ bhī jāeṅ har Sabat ke din sharīat kī tilāwat kī jātī hai.”
Ġhairyahūdī Īmāndāroṅ ke Nām Ḳhat
22 Phir rasūloṅ aur buzurgoṅ ne pūrī jamāt samet faislā kiyā ki ham apne meṅ se kuchh ādmī chun kar Paulus aur Barnabās ke hamrāh Shām ke shahr Antākiyā bhej deṅ. Do ko chunā gayā jo bhāiyoṅ meṅ rāhnumā the, Yahūdāh Barsabbā aur Sīlās. 23 Un ke hāth unhoṅ ne yih ḳhat bhejā,
“Yarūshalam ke rasūloṅ aur buzurgoṅ kī taraf se jo āp ke bhāī haiṅ.
Azīz Ġhairyahūdī bhāiyo jo Antākiyā, Shām aur Kilikiyā meṅ rahte haiṅ, assalāmu alaikum!
24 Sunā hai ki ham meṅ se kuchh logoṅ ne āp ke pās ā kar āp ko pareshān karke bechain kar diyā hai, hālāṅki ham ne unheṅ nahīṅ bhejā thā. 25 Is lie ham sab is par muttafiq hue ki kuchh ādmiyoṅ ko chun kar apne pyāre bhāiyoṅ Barnabās aur Paulus ke hamrāh āp ke pās bhejeṅ. 26 Barnabās aur Paulus aise log haiṅ jinhoṅ ne hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī ḳhātir apnī jān ḳhatre meṅ ḍāl dī hai. 27 Un ke sāthī Yahūdāh aur Sīlās haiṅ jin ko ham ne is lie bhejā ki wuh zabānī bhī un bātoṅ kī tasdīq kareṅ jo ham ne likhī haiṅ.
28 Ham aur Rūhul-quds is par muttafiq hue haiṅ ki āp par siwāe in zarūrī bātoṅ ke koī bojh na ḍāleṅ: 29 Butoṅ ko pesh kiyā gayā khānā mat khānā, ḳhūn mat khānā, aise jānwaroṅ kā gosht mat khānā jo galā ghūṅṭ kar mār die gae hoṅ. Is ke alāwā zinākārī na kareṅ. In chīzoṅ se bāz raheṅge to achchhā kareṅge. Ḳhudā hāfiz.”
30 Paulus, Barnabās aur un ke sāthī ruḳhsat ho kar Antākiyā chale gae. Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne jamāt ikaṭṭhī karke use ḳhat de diyā. 31 Use paṛh kar īmāndār us ke hauslā-afzā paiġhām par ḳhush hue. 32 Yahūdāh aur Sīlās ne bhī jo ḳhud nabī the bhāiyoṅ kī hauslā-afzāī aur mazbūtī ke lie kāfī bāteṅ kīṅ. 33 Wuh kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahre, phir maqāmī bhāiyoṅ ne unheṅ salāmatī se alwidā kahā tāki wuh bhejne wāloṅ ke pās wāpas jā sakeṅ. 34 [Lekin Sīlās ko wahāṅ ṭhaharnā achchhā lagā.]
35 Paulus aur Barnabās ḳhud kuchh aur der Antākiyā meṅ rahe. Wahāṅ wuh bahut-se aur logoṅ ke sāth Ḳhudāwand ke kalām kī tālīm dete aur us kī munādī karte rahe.
Paulus aur Barnabās Judā Ho Jāte Haiṅ
36 Kuchh dinoṅ ke bād Paulus ne Barnabās se kahā, “Āo, ham muṛ kar un tamām shahroṅ meṅ jāeṅ jahāṅ ham ne Ḳhudāwand ke kalām kī munādī kī hai aur wahāṅ ke bhāiyoṅ se mulāqāt karke un kā hāl mālūm kareṅ.” 37 Barnabās muttafiq ho kar Yūhannā Marqus ko sāth le jānā chāhtā thā, 38 lekin Paulus ne isrār kiyā ki wuh sāth na jāe, kyoṅki Yūhannā Marqus pahle daure ke daurān hī Pamfīliyā meṅ unheṅ chhoṛ kar un ke sāth ḳhidmat karne se bāz āyā thā. 39 Is se un meṅ itnā saḳht iḳhtilāf paidā huā ki wuh ek dūsre se judā ho gae. Barnabās Yūhannā Marqus ko sāth le kar jahāz meṅ baiṭh gayā aur Qubrus chalā gayā, 40 jabki Paulus ne Sīlās ko ḳhidmat ke lie chun liyā. Maqāmī bhāiyoṅ ne unheṅ Ḳhudāwand ke fazl ke sapurd kiyā aur wuh rawānā hue. 41 Yoṅ Paulus jamātoṅ ko mazbūt karte karte Shām aur Kilikiyā meṅ se guzarā.