Āmūs
1
Isrāīl ke Paṛosiyoṅ kī Adālat
1 Zail meṅ Āmūs ke paiġhāmāt qalamband haiṅ. Āmūs Taqua Shahr kā gallābān thā. Zalzale se do sāl pahle us ne Isrāīl ke bāre meṅ royā meṅ yih kuchh dekhā. Us waqt Uzziyāh Yahūdāh kā aur Yarubiyām bin Yuās Isrāīl kā bādshāh thā.
2 Āmūs bolā, “Rab Koh-e-Siyyūn par se dahāṛtā hai, us kī garajtī āwāz Yarūshalam se sunāī detī hai. Tab gallābānoṅ kī charāgāheṅ sūkh jātī haiṅ aur Karmil kī choṭī par jangal murjhā jātā hai.”
3 Rab farmātā hai, “Damishq ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne Jiliyād ko gāhne ke āhnī auzār se ḳhūb kūṭ kar gāh liyā hai. 4 Chunāṅche maiṅ Hazāel ke gharāne par āg nāzil karūṅga, aur Bin-hadad ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. 5 Maiṅ Damishq ke kunḍe ko toṛ kar Biq'at-āwan aur Bait-adan ke hukmrānoṅ ko maut ke ghāṭ utārūṅga. Arām kī qaum jilāwatan ho kar Qīr meṅ jā basegī.” Yih Rab kā farmān hai.
6 Rab farmātā hai, “Ġhazzā ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne pūrī ābādiyoṅ ko jilāwatan karke Adom ke hawāle kar diyā hai. 7 Chunāṅche maiṅ Ġhazzā kī fasīl par āg nāzil karūṅga, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. 8 Ashdūd aur Askqalūn ke hukmrānoṅ ko maiṅ mār ḍālūṅgā, Aqrūn par bhī hamlā karūṅga. Tab bache-khuche Filistī bhī halāk ho jāeṅge.” Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
9 Rab farmātā hai, “Sūr ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne barādarānā ahd kā lihāz na kiyā balki pūrī ābādiyoṅ ko jilāwatan karke Adom ke hawāle kar diyā. 10 Chunāṅche maiṅ Sūr kī fasīl par āg nāzil karūṅga, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.”
11 Rab farmātā hai, “Adom ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne apne Isrāīlī bhāiyoṅ ko talwār se mār mār kar un kā tāqqub kiyā aur saḳhtī se un par rahm karne se inkār kiyā. Un kā qahr bhaṛaktā rahā, un kā taish kabhī ṭhanḍā na huā. 12 Chunāṅche maiṅ Temān par āg nāzil karūṅga, aur Busrā ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.”
13 Rab farmātā hai, “Ammon ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki apnī sarhaddoṅ ko baṛhāne ke lie unhoṅ ne Jiliyād kī hāmilā auratoṅ ke peṭ chīr ḍāle. 14 Chunāṅche maiṅ Rabbā kī fasīl ko āg lagā dūṅgā, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. Jang ke us din har taraf faujiyoṅ ke nāre buland ho jāeṅge, tūfān ke us din un par saḳht āṅdhī ṭūṭ paṛegī. 15 Un kā bādshāh *yā Malik Dewatā apne afsaroṅ samet qaidī ban kar jilāwatan ho jāegā.” Yih Rab kā farmān hai.