8
Meṅḍak
1 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā denā ki Rab farmātā hai, ‘Merī qaum ko merī ibādat karne ke lie jāne de, 2 warnā maiṅ pūre Misr ko meṅḍakoṅ se sazā dūṅgā. 3 Dariyā-e-Nīl meṅḍakoṅ se itnā bhar jāegā ki wuh dariyā se nikal kar tere mahal, tere sone ke kamre aur tere bistar meṅ jā ghuseṅge. Wuh tere ohdedāroṅ aur terī riāyā ke gharoṅ meṅ āeṅge balki tere tanūroṅ aur āṭā gūṅdhne ke bartanoṅ meṅ bhī phudakte phireṅge. 4 Meṅḍak tujh par, terī qaum par aur tere ohdedāroṅ par chaṛh jāeṅge.’ ”
5 Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn ko batā denā ki wuh apnī lāṭhī ko hāth meṅ le kar use dariyāoṅ, nahroṅ aur johaṛoṅ ke ūpar uṭhāe tāki meṅḍak bāhar nikal kar Misr ke mulk meṅ phail jāeṅ.” 6 Hārūn ne Mulk-e-Misr ke pānī ke ūpar apnī lāṭhī uṭhāī to meṅḍakoṅ ke ġhol pānī se nikal kar pūre mulk par chhā gae. 7 Lekin jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā hī kiyā. Wuh bhī dariyā se meṅḍak nikāl lāe.
8 Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Rab se duā karo ki wuh mujh se aur merī qaum se meṅḍakoṅ ko dūr kare. Phir maiṅ tumhārī qaum ko jāne dūṅgā tāki wuh Rab ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ.”
9 Mūsā ne jawāb diyā, “Wuh waqt muqarrar kareṅ jab maiṅ āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ke lie duā karūṅ. Phir jo meṅḍak āp ke pās aur āp ke gharoṅ meṅ haiṅ usī waqt ḳhatm ho jāeṅge. Meṅḍak sirf dariyā meṅ pāe jāeṅge.”
10 Firaun ne kahā, “Ṭhīk hai, kal unheṅ ḳhatm karo.” Mūsā ne kahā, “Jaisā āp kahte haiṅ waisā hī hogā. Is tarah āp ko mālūm hogā ki hamāre Ḳhudā kī mānind koī nahīṅ hai. 11 Meṅḍak āp, āp ke gharoṅ, āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ko chhoṛ kar sirf dariyā meṅ rah jāeṅge.”
12 Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās se chale gae. Aur Mūsā ne Rab se minnat kī ki wuh meṅḍakoṅ ke wuh ġhol dūr kare jo us ne Firaun ke ḳhilāf bheje the. 13 Rab ne us kī duā sunī. Gharoṅ, sahnoṅ aur khetoṅ meṅ meṅḍak mar gae. 14 Logoṅ ne unheṅ jamā karke un ke ḍher lagā die. Un kī badbū pūre mulk meṅ phail gaī.
15 Lekin jab Firaun ne dekhā ki maslā hal ho gayā hai to wuh phir akaṛ gayā aur un kī na sunī. Yoṅ Rab kī bāt durust niklī.
Jueṅ
16 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn se kahnā ki wuh apnī lāṭhī se zamīn kī gard ko māre. Jab wuh aisā karegā to pūre Misr kī gard juoṅ meṅ badal jāegī.”
17 Unhoṅ ne aisā hī kiyā. Hārūn ne apnī lāṭhī se zamīn kī gard ko mārā to pūre mulk kī gard juoṅ meṅ badal gaī. Un ke ġhol jānwaroṅ aur ādmiyoṅ par chhā gae. 18 Jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā karne kī koshish kī, lekin wuh gard se jueṅ na banā sake. Jueṅ ādmiyoṅ aur jānwaroṅ par chhā gaīṅ. 19 Jādūgaroṅ ne Firaun se kahā, “Allāh kī qudrat ne yih kiyā hai.” Lekin Firaun ne un kī na sunī. Yoṅ Rab kī bāt durust niklī.
Kāṭne Wālī Makkhiyāṅ
20 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Jab Firaun subah-sawere dariyā par jāe to tū us ke rāste meṅ khaṛā ho jānā. Use kahnā ki Rab farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ. 21 Warnā maiṅ tere aur tere ohdedāroṅ ke pās, terī qaum ke pās aur tere gharoṅ meṅ kāṭne wālī makkhiyāṅ bhej dūṅgā. Misriyoṅ ke ghar makkhiyoṅ se bhar jāeṅge balki jis zamīn par wuh khaṛe haiṅ wuh bhī makkhiyoṅ se ḍhāṅkī jāegī. 22 Lekin us waqt maiṅ apnī qaum ke sāth jo Jushan meṅ rahtī hai farq sulūk karūṅga. Wahāṅ ek bhī kāṭne wālī makkhī nahīṅ hogī. Is tarah tujhe patā lagegā ki is mulk meṅ maiṅ hī Rab hūṅ. 23 Maiṅ apnī qaum aur terī qaum meṅ imtiyāz karūṅga. Kal hī merī qudrat kā izhār hogā.’ ”
24 Rab ne aisā hī kiyā. Kāṭne wālī makkhiyoṅ ke ġhol Firaun ke mahal, us ke ohdedāroṅ ke gharoṅ aur pūre Misr meṅ phail gae. Mulk kā satyānās ho gayā.
25 Phir Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Chalo, isī mulk meṅ apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo.” 26 Lekin Mūsā ne kahā, “Yih munāsib nahīṅ hai. Jo qurbāniyāṅ ham Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅge wuh Misriyoṅ kī nazar meṅ ghinaunī haiṅ. Agar ham yahāṅ aisā kareṅ to kyā wuh hameṅ sangsār nahīṅ kareṅge? 27 Is lie lāzim hai ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ hī Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ jis tarah us ne hameṅ hukm bhī diyā hai.”
28 Firaun ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā tāki tum registān meṅ Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo. Lekin tumheṅ zyādā dūr nahīṅ jānā hai. Aur mere lie bhī duā karnā.”
29 Mūsā ne kahā, “Ṭhīk, maiṅ jāte hī Rab se duā karūṅga. Kal hī makkhiyāṅ Firaun, us ke ohdedāroṅ aur us kī qaum se dūr ho jāeṅgī. Lekin hameṅ dubārā fareb na denā balki hameṅ jāne denā tāki ham Rab ko qurbāniyāṅ pesh kar sakeṅ.”
30 Phir Mūsā Firaun ke pās se chalā gayā aur Rab se duā kī. 31 Rab ne Mūsā kī duā sunī. Kāṭne wālī makkhiyāṅ Firaun, us ke ohdedāroṅ aur us kī qaum se dūr ho gaīṅ. Ek bhī makkhī na rahī. 32 Lekin Firaun phir akaṛ gayā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.