17
Chaṭṭān se Pānī
1 Phir Isrāīl kī pūrī jamāt Sīn ke registān se niklī. Rab jis tarah hukm detā rahā wuh ek jagah se dūsrī jagah safr karte rahe. Rafīdīm meṅ unhoṅ ne ḳhaime lagāe. Wahāṅ pīne ke lie pānī na milā. 2 Is lie wuh Mūsā ke sāth yih kah kar jhagaṛne lage, “Hameṅ pīne ke lie pānī do.” Mūsā ne jawāb diyā, “Tum mujh se kyoṅ jhagaṛ rahe ho? Rab ko kyoṅ āzmā rahe ho?” 3 Lekin log bahut pyāse the. Wuh Mūsā ke ḳhilāf buṛbuṛāne se bāz na āe balki kahā, “Āp hameṅ Misr se kyoṅ lāe haiṅ? Kyā is lie ki ham apne bachchoṅ aur rewaṛoṅ samet pyāse mar jāeṅ?”
4 Tab Mūsā ne Rab ke huzūr fariyād kī, “Maiṅ in logoṅ ke sāth kyā karūṅ? Hālāt zarā bhī aur bigaṛ jāeṅ to wuh mujhe sangsār kar deṅge.” 5 Rab ne Mūsā se kahā, “Kuchh buzurg sāth le kar logoṅ ke āge āge chal. Wuh lāṭhī bhī sāth le jā jis se tū ne Dariyā-e-Nīl ko mārā thā. 6 Maiṅ Horib yānī Sīnā Pahāṛ kī ek chaṭṭān par tere sāmne khaṛā hūṅgā. Lāṭhī se chaṭṭān ko mārnā to us se pānī niklegā aur log pī sakeṅge.”
Mūsā ne Isrāīl ke buzurgoṅ ke sāmne aisā hī kiyā. 7 Us ne us jagah kā nām Massā aur Marībā yānī ‘Āzmānā aur Jhagaṛnā’ rakhā, kyoṅki wahāṅ Isrāīlī buṛbuṛāe aur yih pūchh kar Rab ko āzmāyā ki kyā Rab hamāre darmiyān hai ki nahīṅ?
Amālīqiyoṅ kī Shikast
8 Rafīdīm wuh jagah bhī thī jahāṅ Amālīqī Isrāīliyoṅ se laṛne āe. 9 Mūsā ne Yashua se kahā, “Laṛne ke qābil ādmiyoṅ ko chun lo aur nikal kar Amālīqiyoṅ kā muqābalā karo. Kal maiṅ Allāh kī lāṭhī pakaṛe hue pahāṛ kī choṭī par khaṛā ho jāūṅgā.”
10 Yashua Mūsā kī hidāyat ke mutābiq Amālīqiyoṅ se laṛne gayā jabki Mūsā, Hārūn aur Hūr pahāṛ kī choṭī par chaṛh gae. 11 Aur yoṅ huā ki jab Mūsā ke hāth uṭhāe hue the to Isrāīlī jītte rahe, aur jab wuh nīche the to Amālīqī jītte rahe. 12 Kuchh der ke bād Mūsā ke bāzū thak gae. Is lie Hārūn aur Hūr ek chaṭṭān le āe tāki wuh us par baiṭh jāe. Phir unhoṅ ne us ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛe ho kar us ke bāzuoṅ ko ūpar uṭhāe rakhā. Sūraj ke ġhurūb hone tak unhoṅ ne yoṅ Mūsā kī madad kī. 13 Is tarah Yashua ne Amālīqiyoṅ se laṛte laṛte unheṅ shikast dī.
14 Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Yih wāqiyā yādgārī ke lie kitāb meṅ likh le. Lāzim hai ki yih sab kuchh Yashua kī yād meṅ rahe, kyoṅki maiṅ duniyā se Amālīqiyoṅ kā nām-o-nishān miṭā dūṅgā.” 15 Us waqt Mūsā ne qurbāngāh banā kar us kā nām ‘Rab Merā Jhanḍā Hai’ rakhā. 16 Us ne kahā, “Rab ke taḳht ke ḳhilāf hāth uṭhāyā gayā hai, is lie Rab kī Amālīqiyoṅ se hameshā tak jang rahegī.”