19
Koh-e-Sīnā
1 Isrāīliyoṅ ko Misr se safr karte hue do mahīne ho gae the. Tīsre mahīne ke pahle hī din wuh Sīnā ke registān meṅ pahuṅche. 2 Us din wuh Rafīdīm ko chhoṛ kar Dasht-e-Sīnā meṅ ā pahuṅche. Wahāṅ unhoṅ ne registān meṅ pahāṛ ke qarīb ḍere ḍāle.
3 Tab Mūsā pahāṛ par chaṛh kar Allāh ke pās gayā. Allāh ne pahāṛ par se Mūsā ko pukār kar kahā, “Yāqūb ke gharāne banī Isrāīl ko batā, 4 ‘Tum ne dekhā hai ki maiṅ ne Misriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā, aur ki maiṅ tum ko uqāb ke paroṅ par uṭhā kar yahāṅ apne pās lāyā hūṅ. 5 Chunāṅche agar tum merī suno aur mere ahd ke mutābiq chalo to phir tamām qaumoṅ meṅ se merī ḳhās milkiyat hoge. Go pūrī duniyā merī hī hai, 6 lekin tum mere lie maḳhsūs imāmoṅ kī bādshāhī aur muqaddas qaum hoge.’ Ab jā kar yih sārī bāteṅ Isrāīliyoṅ ko batā.”
7 Mūsā ne pahāṛ se utar kar aur qaum ke buzurgoṅ ko bulā kar unheṅ wuh tamām bāteṅ batāīṅ jo kahne ke lie Rab ne use hukm diyā thā. 8 Jawāb meṅ pūrī qaum ne mil kar kahā, “Ham Rab kī har bāt pūrī kareṅge jo us ne farmāī hai.” Mūsā ne pahāṛ par lauṭ kar Rab ko qaum kā jawāb batāyā. 9 Jab wuh pahuṅchā to Rab ne Mūsā se kahā, “Maiṅ ghane bādal meṅ tere pās āūṅgā tāki log mujhe tujh se hamkalām hote hue suneṅ. Phir wuh hameshā tujh par bharosā rakheṅge.” Tab Mūsā ne Rab ko wuh tamām bāteṅ batāīṅ jo logoṅ ne kī thīṅ.
10 Rab ne Mūsā se kahā, “Ab logoṅ ke pās lauṭ kar āj aur kal unheṅ mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kar. Wuh apne libās dho kar 11 tīsre din ke lie taiyār ho jāeṅ, kyoṅki us din Rab logoṅ ke deḳhte deḳhte Koh-e-Sīnā par utregā. 12 Logoṅ kī hifāzat ke lie chāroṅ taraf pahāṛ kī haddeṅ muqarrar kar. Unheṅ ḳhabardār kar ki hudūd ko pār na karo. Na pahāṛ par chaṛho, na us ke dāman ko chhuo. Jo bhī use chhue wuh zarūr mārā jāe. 13 Aur use hāth se chhū kar nahīṅ mārnā hai balki pattharoṅ yā tīroṅ se. Ḳhāh insān ho yā haiwān, wuh zindā nahīṅ rah saktā. Jab tak narsingā der tak phūṅkā na jāe us waqt tak logoṅ ko pahāṛ par chaṛhne kī ijāzat nahīṅ hai.”
14 Mūsā ne pahāṛ se utar kar logoṅ ko Allāh ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Unhoṅ ne apne libās bhī dhoe. 15 Us ne un se kahā, “Tīsre din ke lie taiyār ho jāo. Mard auratoṅ se hambistar na hoṅ.”
16 Tīsre din subah pahāṛ par ghanā bādal chhā gayā. Bijlī chamakne lagī, bādal garajne lagā aur narsinge kī nihāyat zordār āwāz sunāī dī. Ḳhaimāgāh meṅ log laraz uṭhe. 17 Tab Mūsā logoṅ ko Allāh se milne ke lie ḳhaimāgāh se bāhar pahāṛ kī taraf le gayā, aur wuh pahāṛ ke dāman meṅ khaṛe hue. 18 Sīnā Pahāṛ dhueṅ se ḍhakā huā thā, kyoṅki Rab āg meṅ us par utar āyā. Pahāṛ se dhuāṅ is tarah uṭh rahā thā jaise kisī bhaṭṭe se uṭhtā hai. Pūrā pahāṛ shiddat se larazne lagā. 19 Narsinge kī āwāz tez se teztar hotī gaī. Mūsā bolne lagā aur Allāh use ūṅchī āwāz meṅ jawāb detā rahā.
20 Rab Sīnā Pahāṛ kī choṭī par utrā aur Mūsā ko ūpar āne ke lie kahā. Mūsā ūpar chaṛhā. 21 Rab ne Mūsā se kahā, “Fauran nīche utar kar logoṅ ko ḳhabardār kar ki wuh mujhe deḳhne ke lie pahāṛ kī hudūd meṅ zabardastī dāḳhil na hoṅ. Agar wuh aisā kareṅ to bahut-se halāk ho jāeṅge. 22 Imām bhī jo Rab ke huzūr āte haiṅ apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ, warnā merā ġhazab un par ṭūṭ paṛegā.”
23 Lekin Mūsā ne Rab se kahā, “Log pahāṛ par nahīṅ ā sakte, kyoṅki tū ne ḳhud hī hameṅ ḳhabardār kiyā ki ham pahāṛ kī haddeṅ muqarrar karke use maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ.”
24 Rab ne jawāb diyā, “To bhī utar jā aur Hārūn ko sāth le kar wāpas ā. Lekin imāmoṅ aur logoṅ ko mat āne de. Agar wuh zabardastī mere pās āeṅ to merā ġhazab un par ṭūṭ paṛegā.”
25 Mūsā ne logoṅ ke pās utar kar unheṅ yih bāteṅ batā dīṅ.