26
Mulāqāt kā Ḳhaimā
1 Muqaddas ḳhaime ke lie das parde banānā. Un ke lie bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl karnā. Pardoṅ meṅ kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banwānā. 2 Har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. 3 Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. Yoṅ do baṛe ṭukṛe ban jāeṅge. 4 Donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke lie nīle dhāge ke halqe banānā. Yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre par lagāe jāeṅ, 5 ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne hoṅ. 6 Phir sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqe ek dūsre ke sāth milānā. Yoṅ donoṅ ṭukṛe juṛ kar ḳhaime kā kām deṅge.
7 Bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banānā jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhā jāe. 8 Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. 9 Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī chhih bhī. In chhih pardoṅ ke chhaṭe parde ko ek dafā tah karnā. Yih sāmne wāle hisse se laṭke.
10 Bakrī ke bāl ke in donoṅ ṭukṛoṅ ko bhī milānā hai. Is ke lie har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagānā. 11 Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar un se donoṅ hisse milānā. 12 Jab bakriyoṅ ke bāloṅ kā yih ḳhaimā kapṛe ke ḳhaime ke ūpar lagāyā jāegā to ādhā pardā bāqī rahegā. Wuh ḳhaime kī pichhlī taraf laṭkā rahe. 13 Ḳhaime ke dāīṅ aur bāīṅ taraf bakrī ke bāloṅ kā ḳhaimā kapṛe ke ḳhaime kī nisbat ḍeṛh ḍeṛh fuṭ lambā hogā. Yoṅ wuh donoṅ taraf laṭke hue kapṛe ke ḳhaime ko mahfūz rakhegā.
14 Ek dūsre ke ūpar ke in donoṅ ḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie do ġhilāf banāne haiṅ. Bakrī ke bāloṅ ke ḳhaime par menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ joṛ kar rakhī jāeṅ aur un par taḳhas kī khāleṅ milā kar rakhī jāeṅ.
15 Kīkar kī lakaṛī ke taḳhte banānā jo khaṛe kie jāeṅ tāki ḳhaime kī dīwāroṅ kā kām deṅ. 16 Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ ho aur chauṛāī sawā do fuṭ. 17 Har taḳhte ke nīche do do chūleṅ hoṅ. Yih chūleṅ har taḳhte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛeṅgī tāki taḳhtā khaṛā rahe. 18 Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai 19 aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Un par taḳhte khaṛe kie jāeṅge. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge, aur har pāe meṅ ek chūl lagegī. 20 Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai 21 aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Wuh bhī taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie haiṅ. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge. 22 Ḳhaime kī pichhlī yānī maġhribī dīwār ke lie chhih taḳhte banānā. 23 Is dīwār ko shimālī aur junūbī dīwāroṅ ke sāth joṛne ke lie kone wāle do taḳhte banānā. 24 In do taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā ho tāki ek se shimālī dīwār maġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwār ke sāth. In ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie jāeṅ. 25 Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 hogī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do do pāe hoṅge.
26-27 Is ke alāwā kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banānā, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāe jāeṅ ki wuh unheṅ ek dūsre ke sāth milāeṅ. 28 Darmiyānī shahtīr dīwār kī ādhī ūṅchāī par dīwār ke ek sire se dūsre sire tak lagāyā jāe. 29 Shahtīroṅ ko taḳhtoṅ ke sāth lagāne ke lie sone ke kaṛe banā kar taḳhtoṅ meṅ lagānā. Tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ par sonā chaṛhānā.
30 Pūre muqaddas ḳhaime ko usī namūne ke mutābiq banānā jo maiṅ tujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.
Muqaddas Ḳhaime ke Parde
31 Ab ek aur pardā banānā. Is ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl karnā. Us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banwānā. 32 Ise sone kī hukoṅ se kīkar kī lakaṛī ke chār satūnoṅ se laṭkānā. In satūnoṅ par sonā chaṛhāyā jāe aur wuh chāṅdī ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. 33 Yih pardā Muqaddas Kamre ko Muqaddastarīn Kamre se alag karegā jis meṅ ahd kā sandūq paṛā rahegā. Parde ko laṭkāne ke bād us ke pīchhe Muqaddastarīn Kamre meṅ ahd kā sandūq rakhnā. 34 Phir ahd ke sandūq par kaffāre kā ḍhaknā rakhnā.
35 Jis mez par mere lie maḳhsūs kī gaī roṭiyāṅ paṛī rahtī haiṅ wuh parde ke bāhar Muqaddas Kamre meṅ shimāl kī taraf rakhī jāe. Us ke muqābil junūb kī taraf shamādān rakhā jāe.
36 Phir ḳhaime ke darwāze ke lie bhī pardā banāyā jāe. Is ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl kiyā jāe. Is par kaṛhāī kā kām kiyā jāe.
37 Is parde ko sone kī hukoṅ se kīkar kī lakaṛī ke pāṅch satūnoṅ se laṭkānā. In satūnoṅ par bhī sonā chaṛhāyā jāe, aur wuh pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.