9
Yarūshalam Tabāh Ho Jāegā
1 Phir maiṅ ne Allāh kī buland āwāz sunī, “Yarūshalam kī adālat qarīb ā gaī hai! Āo, har ek apnā tabāhkun hathiyār pakaṛ kar khaṛā ho jāe!” 2 Tab chhih ādmī Rab ke ghar ke shimālī darwāze ke rāste se chale āe. Har ek apnā tabāhkun hathiyār thāme chal rahā thā. Un ke sāth ek aur ādmī thā jis kā libās katān kā thā. Us ke paṭke se kātib kā sāmān laṭkā huā thā. Yih ādmī qarīb ā kar pītal kī qurbāngāh ke pās khaṛe ho gae.
3 Isrāīl ke Ḳhudā kā jalāl ab tak karūbī farishtoṅ ke ūpar ṭhahrā huā thā. Ab wuh wahāṅ se uṛ kar Rab ke ghar kī dahlīz ke pās ruk gayā. Phir Rab katān se mulabbas us mard se hamkalām huā jis ke paṭke se kātib kā sāmān laṭkā huā thā. 4 Us ne farmāyā, “Jā, Yarūshalam Shahr meṅ se guzar kar har ek ke māthe par nishān lagā de jo bāshindoṅ kī tamām makrūh harkatoṅ ko dekh kar āh-o-zārī kartā hai.” 5 Mere sunte sunte Rab ne dīgar ādmiyoṅ se kahā, “Pahle ādmī ke pīchhe pīchhe chal kar logoṅ ko mār ḍālo! Na kisī par tars khāo, na rahm karo 6 balki buzurgoṅ ko kuṅwāre-kuṅwāriyoṅ aur bāl-bachchoṅ samet maut ke ghāṭ utāro. Sirf unheṅ chhoṛnā jin ke māthe par nishān hai. Mere maqdis se shurū karo!”
Chunāṅche ādmiyoṅ ne un buzurgoṅ se shurū kiyā jo Rab ke ghar ke sāmne khaṛe the. 7 Phir Rab un se dubārā hamkalām huā, “Rab ke ghar ke sahnoṅ ko maqtūloṅ se bhar kar us kī behurmatī karo, phir wahāṅ se nikal jāo!” Wuh nikal gae aur shahr meṅ se guzar kar logoṅ ko mār ḍālne lage. 8 Rab ke ghar ke sahan meṅ sirf mujhe hī zindā chhoṛā gayā thā.
Maiṅ aundhe muṅh gir kar chīḳh uṭhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, kyā tū Yarūshalam par apnā ġhazab nāzil karke Isrāīl ke tamām bache huoṅ ko maut ke ghāṭ utāregā?” 9 Rab ne jawāb diyā, “Isrāīl aur Yahūdāh ke logoṅ kā qusūr nihāyat hī sangīn hai. Mulk meṅ qatl-o-ġhārat ām hai, aur shahr nāinsāfī se bhar gayā hai. Kyoṅki log kahte haiṅ, ‘Rab ne mulk ko tark kiyā hai, ham use nazar hī nahīṅ āte.’ 10 Is lie na maiṅ un par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga balki un kī harkatoṅ kī munāsib sazā un ke saroṅ par lāūṅgā.”
11 Phir katān se mulabbas wuh ādmī lauṭ āyā jis ke paṭke se kātib kā sāmān laṭkā huā thā. Us ne ittalā dī, “Jo kuchh tū ne farmāyā wuh maiṅ ne pūrā kiyā hai.”