4
Qābīl aur Hābīl
1 Ādam Hawwā se hambistar huā to un kā pahlā beṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.” 2 Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā.
Pahlā Qatl
3 Kuchh der ke bād Qābīl ne Rab ko apnī fasloṅ meṅ se kuchh pesh kiyā. 4 Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā, 5 magar Qābīl kā nazarānā manzūr na huā. Yih dekh kar Qābīl baṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kā muṅh bigaṛ gayā. 6 Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai? 7 Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.”
8 Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham bāhar khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā.
9 Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?” 10 Rab ne kahā, “Tū ne kyā kiyā hai? Tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅ se pukār kar mujh se fariyād kar rahā hai. 11 Is lie tujh par lānat hai aur zamīn ne tujhe radd kiyā hai, kyoṅki zamīn ko muṅh khol kar tere hāth se qatl kie hue bhāī kā ḳhūn pīnā paṛā. 12 Ab se jab tū khetībāṛī karegā to zamīn apnī paidāwār dene se inkār karegī. Tū mafrūr ho kar mārā mārā phiregā.” 13 Qābīl ne kahā, “Merī sazā nihāyat saḳht hai. Maiṅ ise bardāsht nahīṅ kar pāūṅgā. 14 Āj tū mujhe zamīn kī satah se bhagā rahā hai aur mujhe tere huzūr se bhī chhup jānā hai. Maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārā mārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhī patā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuh mujhe qatl kar ḍālegā.” 15 Lekin Rab ne us se kahā, “Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de. 16 Is ke bād Qābīl Rab ke huzūr se chalā gayā aur Adan ke mashriq kī taraf Nod ke ilāqe meṅ jā basā.
Qābīl kā Ḳhāndān
17 Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā. 18 Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā. 19 Lamak kī do bīwiyāṅ thīṅ, Adā aur Zillā. 20 Adā kā beṭā Yābal thā. Us kī nasl ke log ḳhaimoṅ meṅ rahte aur maweshī pālte the. 21 Yābal kā bhāī Yūbal thā. Us kī nasl ke log sarod *Lafzī tarjumā: chang. Chūṅki yih sāz barr-e-saġhīr meṅ kam hī istemāl hotā hai, is lie mutarjamīn ne is kī jagah lafz ‘sarod’ istemāl kiyā hai. aur bāṅsrī bajāte the. 22 Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā. 23 Ek din Lamak ne apnī bīwiyoṅ se kahā, “Adā aur Zillā, merī bāt suno! Lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaur karo! 24 Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.”
Set aur Anūs
25 Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl kī jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.” 26 Set ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Anūs rakhā.
Un dinoṅ meṅ log Rab kā nām le kar ibādat karne lage.
*4:21 Lafzī tarjumā: chang. Chūṅki yih sāz barr-e-saġhīr meṅ kam hī istemāl hotā hai, is lie mutarjamīn ne is kī jagah lafz ‘sarod’ istemāl kiyā hai.