7
Sailāb kā Aġhāz
1 Phir Rab ne Nūh se kahā, “Apne gharāne samet kashtī meṅ dāḳhil ho jā, kyoṅki is daur ke logoṅ meṅ se maiṅ ne sirf tujhe rāstbāz pāyā hai. 2 Har qism ke pāk jānwaroṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe jabki nāpāk jānwaroṅ meṅ se nar-o-mādā kā sirf ek ek joṛā sāth le jānā. 3 Isī tarah har qism ke par rakhne wāloṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe bhī sāth le jānā tāki un kī nasleṅ bachī raheṅ. 4 Ek hafte ke bād maiṅ chālīs din aur chālīs rāt mutawātir bārish barsāūṅgā. Is se maiṅ tamām jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā, agarche maiṅ hī ne unheṅ banāyā hai.”
5 Nūh ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne hukm diyā thā. 6 Wuh 600 sāl kā thā jab yih tūfānī sailāb zamīn par āyā.
7 Tūfānī sailāb se bachne ke lie Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ sawār huā. 8 Zamīn par phirne wāle pāk aur nāpāk jānwar, par rakhne wāle aur tamām reṅgne wāle jānwar bhī āe. 9 Nar-o-mādā kī sūrat meṅ do do ho kar wuh Nūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawār hue. Sab kuchh waisā hī huā jaisā Allāh ne Nūh ko hukm diyā thā. 10 Ek hafte ke bād tūfānī sailāb zamīn par ā gayā.
11 Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. 12 Chālīs din aur chālīs rāt tak mūslādhār bārish hotī rahī. 13 Jab bārish shurū huī to Nūh, us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat, us kī bīwī aur bahueṅ kashtī meṅ sawār ho chuke the. 14 Un ke sāth har qism ke janglī jānwar, maweshī, reṅgne aur par rakhne wāle jānwar the. 15 Har qism ke jāndār do do ho kar Nūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawār ho chuke the. 16 Nar-o-mādā āe the. Sab kuchh waisā hī huā thā jaisā Allāh ne Nūh ko hukm diyā thā. Phir Rab ne darwāze ko band kar diyā.
17 Chālīs din tak tūfānī sailāb jārī rahā. Pānī chaṛhā to us ne kashtī ko zamīn par se uṭhā liyā. 18 Pānī zor pakaṛ kar bahut baṛh gayā, aur kashtī us par tairne lagī. 19 Āḳhirkār pānī itnā zyādā ho gayā ki tamām ūṅche pahāṛ bhī us meṅ chhup gae. 20 Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī. 21 Zamīn par rahne wālī har maḳhlūq halāk huī. Parinde, maweshī, janglī jānwar, tamām jāndār jin se zamīn bharī huī thī aur insān, sab kuchh mar gayā. 22 Zamīn par har jāndār maḳhlūq halāk huī. 23 Yoṅ har maḳhlūq ko rū-e-zamīn par se miṭā diyā gayā. Insān, zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar aur parinde, sab kuchh ḳhatm kar diyā gayā. Sirf Nūh aur kashtī meṅ sawār us ke sāthī bach gae.
24 Sailāb ḍeṛh sau din tak zamīn par ġhālib rahā.