9
Allāh kā Nūh ke sāth Ahd
1 Phir Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe 2 zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar, parinde aur machhliyāṅ sab tum se ḍareṅge. Unheṅ tumhāre iḳhtiyār meṅ kar diyā gayā hai. 3 Jis tarah maiṅ ne tumhāre khāne ke lie paudoṅ kī paidāwār muqarrar kī hai usī tarah ab se tumheṅ har qism ke jānwar khāne kī ijāzat bhī hai. 4 Lekin ḳhabardār! Aisā gosht na khānā jis meṅ ḳhūn hai, kyoṅki ḳhūn meṅ us kī jān hai.
5 Kisī kī jān lenā manā hai. Jo aisā karegā use apnī jān denī paṛegī, ḳhāh wuh insān ho yā haiwān. Maiṅ ḳhud is kā mutālabā karūṅga. 6 Jo bhī kisī kā ḳhūn bahāe us kā ḳhūn bhī bahāyā jāegā. Kyoṅki Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā hai.
7 Ab phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā meṅ phail jāo.”
8 Tab Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ se kahā, 9 “Ab maiṅ tumhāre aur tumhārī aulād ke sāth ahd qāym kartā hūṅ. 10 Yih ahd un tamām jānwaroṅ ke sāth bhī hogā jo kashtī meṅ se nikle haiṅ yānī parindoṅ, maweshiyoṅ aur zamīn par ke tamām jānwaroṅ ke sāth. 11 Maiṅ tumhāre sāth ahd bāndh kar wādā kartā hūṅ ki ab se aisā kabhī nahīṅ hogā ki zamīn kī tamām zindagī sailāb se ḳhatm kar dī jāegī. Ab se aisā sailāb kabhī nahīṅ āegā jo pūrī zamīn ko tabāh kar de. 12 Is abadī ahd kā nishān jo maiṅ tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth qāym kar rahā hūṅ yih hai ki 13 maiṅ apnī kamān bādaloṅ meṅ rakhtā hūṅ. Wuh mere duniyā ke sāth ahd kā nishān hogā. 14 Jab kabhī mere kahne par āsmān par bādal chhā jāeṅge aur qaus-e-quzah un meṅ se nazar āegī 15 to maiṅ yih ahd yād karūṅga jo tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth kiyā gayā hai. Ab kabhī bhī aisā sailāb nahīṅ āegā jo tamām zindagī ko halāk kar de. 16 Qaus-e-quzah nazar āegī to maiṅ use dekh kar us dāymī ahd ko yād karūṅga jo mere aur duniyā kī tamām jāndār maḳhlūqāt ke darmiyān hai. 17 Yih us ahd kā nishān hai jo maiṅ ne duniyā ke tamām jāndāroṅ ke sāth kiyā hai.”
Nūh ke Beṭe
18 Nūh ke jo beṭe us ke sāth kashtī se nikle Sim, Hām aur Yāfat the. Hām Kanān kā bāp thā. 19 Duniyā-bhar ke tamām log in tīnoṅ kī aulād haiṅ.
20 Nūh kisān thā. Shurū meṅ us ne angūr kā bāġh lagāyā. 21 Angūr se mai banā kar us ne itnī pī lī ki wuh nashe meṅ dhut apne ḍere meṅ nangā paṛā rahā. 22 Kanān ke bāp Hām ne use yoṅ paṛā huā dekhā to bāhar jā kar apne donoṅ bhāiyoṅ ko us ke bāre meṅ batāyā. 23 Yih sun kar Sim aur Yāfat ne apne kandhoṅ par kapṛā rakhā. Phir wuh ulṭe chalte hue ḍere meṅ dāḳhil hue aur kapṛā apne bāp par ḍāl diyā. Un ke muṅh dūsrī taraf muṛe rahe tāki bāp kī barahnagī nazar na āe.
24 Jab Nūh hosh meṅ āyā to us ko patā chalā ki sab se chhoṭe beṭe ne kyā kiyā hai. 25 Us ne kahā, “Kanān par lānat! Wuh apne bhāiyoṅ kā zalīltarīn ġhulām hogā.
26 Mubārak ho Rab jo Sim kā Ḳhudā hai. Kanān Sim kā ġhulām ho. 27 Allāh kare ki Yāfat kī hudūd baṛh jāeṅ. Yāfat Sim ke ḍeroṅ meṅ rahe aur Kanān us kā ġhulām ho.”
28 Sailāb ke bād Nūh mazīd 350 sāl zindā rahā. 29 Wuh 950 sāl kī umr meṅ faut huā.