13
Abrām aur Lūt Alag Ho Jāte Haiṅ
1 Abrām apnī bīwī, Lūt aur tamām jāydād ko sāth le kar Misr se niklā aur Kanān ke junūbī ilāqe Dasht-e-Najab meṅ wāpas āyā.
2 Abrām nihāyat daulatmand ho gayā thā. Us ke pās bahut-se maweshī aur sonā-chāṅdī thī. 3 Wahāṅ se jagah bajagah chalte hue wuh āḳhirkār Baitel se ho kar us maqām tak pahuṅch gayā jahāṅ us ne shurū meṅ apnā ḍerā lagāyā thā aur jo Baitel aur Aī ke darmiyān thā. 4 Wahāṅ jahāṅ us ne qurbāngāh banāī thī us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī.
5 Lūt ke pās bhī bahut-sī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ḳhaime the. 6 Natījā yih niklā ki āḳhirkār wuh mil kar na rah sake, kyoṅki itnī jagah nahīṅ thī ki donoṅ ke rewaṛ ek hī jagah par char sakeṅ. 7 Abrām aur Lūt ke charwāhe āpas meṅ jhagaṛne lage. (Us zamāne meṅ Kanānī aur Farizzī bhī mulk meṅ ābād the.) 8 Tab Abrām ne Lūt se bāt kī, “Aisā nahīṅ honā chāhie ki tere aur mere darmiyān jhagaṛā ho yā tere charwāhoṅ aur mere charwāhoṅ ke darmiyān. Ham to bhāī haiṅ. 9 Kyā zarūrat hai ki ham mil kar raheṅ jabki tū āsānī se is mulk kī kisī aur jagah rah saktā hai. Behtar hai ki tū mujh se alag ho kar kahīṅ aur rahe. Agar tū bāeṅ hāth jāe to maiṅ dāeṅ hāth jāūṅgā, aur agar tū dāeṅ hāth jāe to maiṅ bāeṅ hāth jāūṅgā.”
10 Lūt ne apnī nazar uṭhā kar dekhā ki Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe meṅ Zuġhar tak pānī kī kasrat hai. Wuh Rab ke bāġh yā Mulk-e-Misr kī mānind thā, kyoṅki us waqt Rab ne Sadūm aur Amūrā ko tabāh nahīṅ kiyā thā. 11 Chunāṅche Lūt ne Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe ko chun liyā aur mashriq kī taraf jā basā. Yoṅ donoṅ rishtedār ek dūsre se judā ho gae. 12 Abrām Mulk-e-Kanān meṅ rahā jabki Lūt Yardan ke ilāqe ke shahroṅ ke darmiyān ābād ho gayā. Wahāṅ us ne apne ḳhaime Sadūm ke qarīb lagā die. 13 Lekin Sadūm ke bāshinde nihāyat sharīr the, aur un ke Rab ke ḳhilāf gunāh nihāyat makrūh the.
Rab kā Abrām ke sāth Dubārā Wādā
14 Lūt Abrām se judā huā to Rab ne Abrām se kahā, “Apnī nazar uṭhā kar chāroṅ taraf yānī shimāl, junūb, mashriq aur maġhrib kī taraf dekh. 15 Jo bhī zamīn tujhe nazar āe use maiṅ tujhe aur terī aulād ko hameshā ke lie detā hūṅ. 16 Maiṅ terī aulād ko ḳhāk kī tarah beshumār hone dūṅgā. Jis tarah ḳhāk ke zarre gine nahīṅ jā sakte usī tarah terī aulād bhī ginī nahīṅ jā sakegī. 17 Chunāṅche uṭh kar is mulk kī har jagah chal-phir, kyoṅki maiṅ ise tujhe detā hūṅ.”
18 Abrām rawānā huā. Chalte chalte us ne apne ḍere Habrūn ke qarīb Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās lagāe. Wahāṅ us ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī.