Habaqqūq
1
Nabī kī Shikāyat: Har Taraf Nāinsāfī
1 Zail meṅ wuh kalām qalamband hai jo Habaqqūq Nabī ko royā dekh kar milā.
2 Ai Rab, maiṅ mazīd kab tak madad ke lie pukārūṅ? Ab tak tū ne merī nahīṅ sunī. Maiṅ mazīd kab tak chīḳheṅ mār mār kar kahūṅ ki fasād ho rahā hai? Ab tak tū ne hameṅ chhuṭkārā nahīṅ diyā. 3 Tū kyoṅ hone detā hai ki mujhe itnī nāinsāfī deḳhnī paṛe? Logoṅ ko itnā nuqsān pahuṅchāyā jā rahā hai, lekin tū ḳhāmoshī se sab kuchh deḳhtā rahtā hai. Jahāṅ bhī maiṅ nazar ḍālūṅ, wahāṅ zulm-o-tashaddud hī nazar ātā hai, muqaddamābāzī aur jhagaṛe sar uṭhāte haiṅ. 4 Natīje meṅ sharīat beasar ho gaī hai, aur bā-insāf faisle kabhī jārī nahīṅ hote. Bedīnoṅ ne rāstbāzoṅ ko gher liyā hai, is lie adālat meṅ behūdā faisle kie jāte haiṅ.
Allāh kā Jawāb
5 “Dīgar aqwām par nigāh ḍālo, hāṅ un par dhyān do to hakkā-bakkā rah jāoge. Kyoṅki maiṅ tumhāre jīte-jī ek aisā kām karūṅga jis kī jab ḳhabar sunoge to tumheṅ yaqīn nahīṅ āegā. 6 Maiṅ Bābliyoṅ ko khaṛā karūṅga. Yih zālim aur talḳhrū qaum pūrī duniyā ko ubūr karke dūsre mamālik par qabzā karegī. 7 Log us se saḳht dahshat khāeṅge, har taraf usī ke qawānīn aur azmat mānanī paṛegī. 8 Un ke ghoṛe chītoṅ se tez haiṅ, aur shām ke waqt shikār karne wāle bheṛī'e bhī un jaise phurtīle nahīṅ hote. Wuh sarpā dauṛ kar dūr dūr se āte haiṅ. Jis tarah uqāb lāsh par jhapaṭṭā mārtā hai usī tarah wuh apne shikār par hamlā karte haiṅ. 9 Sab isī maqsad se āte haiṅ ki zulm-o-tashaddud kareṅ. Jahāṅ bhī jāeṅ wahāṅ āge baṛhte jāte haiṅ. Ret jaise beshumār qaidī un ke hāth meṅ jamā hote haiṅ. 10 Wuh dīgar bādshāhoṅ kā mazāq uṛāte haiṅ, aur dūsroṅ ke buzurg un ke tamasḳhur kā nishānā ban jāte haiṅ. Har qile ko dekh kar wuh haṅs uṭhte haiṅ. Jald hī wuh un kī dīwāroṅ ke sāth miṭṭī ke ḍher lagā kar un par qabzā karte haiṅ. 11 Phir wuh tez hawā kī tarah wahāṅ se guzar kar āge baṛh jāte haiṅ. Lekin wuh qusūrwār ṭhahreṅge, kyoṅki un kī apnī tāqat un kā Ḳhudā hai.”
Ai Rab, Tū Kyoṅ Ḳhāmosh Rahtā Hai?
12 Ai Rab, kyā tū qadīm zamāne se hī merā Ḳhudā, merā Quddūs nahīṅ hai? Ham nahīṅ mareṅge. Ai Rab, tū ne unheṅ sazā dene ke lie muqarrar kiyā hai. Ai Chaṭṭān, terī marzī hai ki wuh hamārī tarbiyat kareṅ. 13 Terī āṅkheṅ bilkul pāk haiṅ, is lie tū burā kām bardāsht nahīṅ kar saktā, tū ḳhāmoshī se zulm-o-tashaddud par nazar nahīṅ ḍāl saktā. To phir tū in bewafāoṅ kī harkatoṅ ko kis tarah bardāsht kartā hai? Jab bedīn use haṛap kar letā jo us se kahīṅ zyādā rāstbāz hai to tū ḳhāmosh kyoṅ rahtā hai? 14 Tū ne hone diyā hai ki insān se machhliyoṅ kā-sā sulūk kiyā jāe, ki use un samundarī jānwaroṅ kī tarah pakaṛā jāe, jin kā koī mālik nahīṅ. 15 Dushman un sab ko kāṅṭe ke zariye pānī se nikāl letā hai, apnā jāl ḍāl kar unheṅ pakaṛ letā hai. Jab un kā baṛā ḍher jamā ho jātā hai to wuh ḳhush ho kar shādiyānā bajātā hai. 16 Tab wuh apne jāl ke sāmne baḳhūr jalā kar use jānwar qurbān kartā hai. Kyoṅki usī ke wasīle se wuh aish-o-ishrat kī zindagī guzār saktā hai. 17 Kyā wuh musalsal apnā jāl ḍāltā aur qaumoṅ ko berahmī se maut ke ghāṭ utārtā rahe?