10
Butparastī ke Natāyj
1 Isrāīl angūr kī phaltī-phūltī bel thā jo kāfī phal lātī rahī. Lekin jitnā us kā phal baṛhtā gayā utnā hī wuh butoṅ ke lie qurbāngāheṅ banātā gayā. Jitnā us kā mulk taraqqī kartā gayā utnā hī wuh dewatāoṅ ke maḳhsūs satūnoṅ ko sajātā gayā. 2 Log dodile haiṅ, aur ab unheṅ un ke qusūr kā ajr bhugatnā paṛegā. Rab un kī qurbāngāhoṅ ko girā degā, un ke satūnoṅ ko mismār karegā. 3 Jald hī wuh kaheṅge, “Ham is lie bādshāh se mahrūm haiṅ ki ham ne Rab kā ḳhauf na mānā. Lekin agar bādshāh hotā bhī to wuh hamāre lie kyā kar saktā?” 4 Wuh baṛī bāteṅ karte, jhūṭī qasmeṅ khāte aur ḳhālī ahd bāndhte haiṅ. Un kā insāf un zahrīle ḳhudrau paudoṅ kī mānind hai jo bīj ke lie taiyārshudā zamīn se phūṭ nikalte haiṅ.
5 Sāmariya ke bāshinde pareshān haiṅ ki Bait-āwan *Bait-āwan yānī ‘Gunāh kā Ghar’ se murād Baitel hai. meṅ bachhṛe ke but ke sāth kyā kiyā jāegā. Us ke parastār us par mātam kareṅge, us ke pujārī us kī shān-o-shaukat yād karke wāwailā kareṅge, kyoṅki wuh un se chhin kar pardes meṅ le jāyā jāegā. 6 Hāṅ, bachhṛe ko Mulk-e-Asūr meṅ le jā kar shahanshāh ko ḳharāj ke taur par pesh kiyā jāegā. Isrāīl kī ruswāī ho jāegī, wuh apne mansūbe ke bāis sharmindā ho jāegā.
7 Sāmariya nest-o-nābūd, us kā bādshāh pānī par tairtī huī ṭahnī kī tarah bebas hogā. 8 Bait-āwan †Bait-āwan yānī ‘Gunāh kā Ghar’ se murād Baitel hai. kī wuh ūṅchī jagheṅ tabāh ho jāeṅgī jahāṅ Isrāīl gunāh kartā rahā hai. Un kī qurbāngāhoṅ par kāṅṭedār jhāṛiyāṅ aur ūṅṭkaṭāre chhā jāeṅge. Tab log pahāṛoṅ se kaheṅge, “Hameṅ chhupā lo!” Aur pahāṛiyoṅ ko “Ham par gir paṛo!”
9 Rab farmātā hai, “Ai Isrāīl, Jibiyā ke wāqiye se le kar āj tak tū gunāh kartā āyā hai, log wahīṅ ke wahīṅ rah gae haiṅ. Kyā munāsib nahīṅ ki Jibiyā meṅ jang un par ṭūṭ paṛe jo itne sharīr haiṅ? 10 Ab maiṅ apnī marzī se un kī tādīb karūṅga. Aqwām un ke ḳhilāf jamā ho jāeṅgī jab unheṅ un ke dugne qusūr ke lie zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā jāegā.
11 Isrāīl jawān gāy thā jise gandum gāhne kī tarbiyat dī gaī thī aur jo shauq se yih kām kartī thī. Tab maiṅ ne us ke ḳhūbsūrat gale par juā rakh kar use jot liyā. Yahūdāh ko hal khīṅchnā aur Yāqūb ‡Yāqūb se murād Isrāīl hai. ko zamīn par suhāgā phernā thā. 12 Maiṅ ne farmāyā, ‘Insāf kā bīj bo kar shafqat kī fasal kāṭo. Jis zamīn par hal kabhī nahīṅ chalāyā gayā us par ṭhīk tarah hal chalāo! Jab tak Rab ko talāsh karne kā mauqā hai use talāsh karo, aur jab tak wuh ā kar tum par insāf kī bārish na barsāe use ḍhūnḍo.’
13 Lekin jawāb meṅ tum ne hal chalā kar bedīnī kā bīj boyā, tum ne burāī kī fasal kāṭ kar fareb kā phal khāyā hai. Chūṅki tū ne apnī rāh aur apne sūrmāoṅ kī baṛī tādād par bharosā rakhā hai 14 is lie terī qaum meṅ jang kā shor machegā, tere tamām qile ḳhāk meṅ milāe jāeṅge. Shalman ke Bait-arbel par hamle ke-se hālāt hoṅge jis ne us shahr ko zamīnbos karke māoṅ ko bachchoṅ samet zamīn par paṭaḳh diyā. 15 Ai Baitel ke bāshindo, tumhāre sāth bhī aisā hī kiyā jāegā, kyoṅki tumhārī badkārī had se zyādā hai. Pau phaṭte hī Isrāīl kā bādshāh nest ho jāegā.”