28
Maġhrūr Shahr Sāmariya Murjhāne Wālā Phūl Hai
1 Sāmariya par afsos jo Isrāīlī sharābiyoṅ kā shāndār tāj hai. Us shahr par afsos jo Isrāīl kī shān-o-shaukat thā lekin ab murjhāne wālā phūl hai. Us ābādī par afsos jo nashe meṅ dhut logoṅ kī zarḳhez wādī ke ūpar taḳhtnashīn hai. 2 Dekho, Rab ek zabardast sūrmā bhejegā jo oloṅ ke tūfān, tabāhkun āṅdhī aur sailāb paidā karne wālī mūslādhār bārish kī tarah Sāmariya par ṭūṭ paṛegā aur zor se use zamīn par paṭaḳh degā. 3 Tab Isrāīlī sharābiyoṅ kā shāndār tāj Sāmariya pāṅwoṅ tale raundā jāegā. 4 Tab yih murjhāne wālā phūl jo zarḳhez wādī ke ūpar taḳhtnashīn hai aur us kī shān-o-shaukat ḳhatm ho jāegī. Us kā hāl fasal se pahle pakne wāle anjīr jaisā hogā. Kyoṅki jyoṅ hī koī use dekhe wuh use toṛ kar haṛap kar legā.
5 Us din Rabbul-afwāj ḳhud Isrāīl kā shāndār tāj hogā, wuh apnī qaum ke bache huoṅ kā jalālī sehrā hogā. 6 Wuh adālat karne wāle ko insāf kī rūh dilāegā aur shahr ke darwāze par dushman ko pīchhe dhakelne wāloṅ ke lie tāqat kā bāis hogā.
Yarūshalam ke Matwāle Nabī
7 Lekin yih log bhī mai ke asar se ḍagmagā rahe aur sharāb pī pī kar laṛkhaṛā rahe haiṅ. Imām aur nabī nashe meṅ jhūm rahe haiṅ. Mai pīne se un ke dimāġhoṅ meṅ ḳhalal ā gayā hai, sharāb pī pī kar wuh chakkar khā rahe haiṅ. Royā deḳhte waqt wuh jhūmte, faisle karte waqt jhūlte haiṅ. 8 Tamām mezeṅ un kī qai se gandī haiṅ, un kī ġhilāzat har taraf nazar ātī hai.
9 Wuh āpas meṅ kahte haiṅ, “Yih shaḳhs hamāre sāth is qism kī bāteṅ kyoṅ kartā hai? Hameṅ tālīm dete aur ilāhī paiġhām kā matlab sunāte waqt wuh hameṅ yoṅ samjhātā hai goyā ham chhoṭe bachche hoṅ jin kā dūdh abhī abhī chhuṛāyā gayā ho. 10 Kyoṅki yih kahtā hai, ‘Saw lāsaw saw lāsaw, qaw lāqaw qaw lāqaw, thoṛā-sā is taraf thoṛā-sā us taraf.’ ”
11 Chunāṅche ab Allāh haklāte hue hoṅṭoṅ aur ġhairzabānoṅ kī mārifat is qaum se bāt karegā. 12 Go us ne un se farmāyā thā, “Yih ārām kī jagah hai. Thakemāndoṅ ko ārām do, kyoṅki yihīṅ wuh sukūn pāeṅge.” Lekin wuh sunane ke lie taiyār nahīṅ the. 13 Is lie āindā Rab un se inhīṅ alfāz se hamkalām hogā, “Saw lāsaw saw lāsaw, qaw lāqaw kaw lāqaw, thoṛā-sā is taraf, thoṛā-sā us taraf.” Kyoṅki lāzim hai ki wuh chal kar ṭhokar khāeṅ, aur dhaṛām se apnī pusht par gir jāeṅ, ki wuh zaḳhmī ho jāeṅ aur phande meṅ phaṅs kar giriftār ho jāeṅ.
Allāh kā Wāzih Paiġhām
14 Chunāṅche ab Rab kā kalām sun lo, ai mazāq uṛāne wālo, jo Yarūshalam meṅ basne wālī is qaum par hukūmat karte ho. 15 Tum sheḳhī mār kar kahte ho, “Ham ne maut se ahd bāndhā aur Pātāl se muāhadā kiyā hai. Is lie jab sazā kā sailāb ham par se guzare to hameṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchāegā. Kyoṅki ham ne jhūṭ meṅ panāh lī aur dhoke meṅ chhup gae haiṅ.” 16 Is ke jawāb meṅ Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Dekho, maiṅ Siyyūn meṅ ek patthar rakh detā hūṅ, kone kā ek āzmūdā aur qīmtī patthar jo mazbūt buniyād par lagā hai. Jo īmān lāegā wuh kabhī nahīṅ hilegā. 17 Insāf merā fītā aur rāstī merī sāhūl kī ḍorī hogī. In se maiṅ sab kuchh parkhūṅgā.
Ole us jhūṭ kā safāyā kareṅge jis meṅ tum ne panāh lī hai, aur sailāb tumhārī chhupne kī jagah uṛā kar apne sāth bahā le jāegā. 18 Tab tumhārā maut ke sāth ahd mansūḳh ho jāegā, aur tumhārā Pātāl ke sāth muāhadā qāym nahīṅ rahegā. Sazā kā sailāb tum par se guzar kar tumheṅ pāmāl karegā. 19 Wuh subah basubah aur din rāt guzaregā, aur jab bhī guzaregā to tumheṅ apne sāth bahā le jāegā. Us waqt log dahshatzadā ho kar kalām kā matlab samjheṅge.” 20 Chārpāī itnī chhoṭī hogī ki tum pāṅw phailā kar so nahīṅ sakoge. Bistar kī chauṛāī itnī kam hogī ki tum use lapeṭ kar ārām nahīṅ kar sakoge.
21 Kyoṅki Rab uṭh kar yoṅ tum par jhapaṭ paṛegā jis tarah Parāzīm Pahāṛ ke pās Filistiyoṅ par jhapaṭ paṛā. Jis tarah Wādī-e-Jibaūn meṅ Amoriyoṅ par ṭūṭ paṛā usī tarah wuh tum par ṭūṭ paṛegā. Aur jo kām wuh karegā wuh ajīb hogā, jo qadam wuh uṭhāegā wuh māmūl se haṭ kar hogā. 22 Chunāṅche apnī tānāzanī se bāz āo, warnā tumhārī zanjīreṅ mazīd zor se kas dī jāeṅgī. Kyoṅki mujhe Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj se paiġhām milā hai ki tamām duniyā kī tabāhī muta'ayyin hai.
Māhir Kisān kī Tamsīl
23 Ġhaur se merī bāt suno! Dhyān se us par kān dharo jo maiṅ kah rahā hūṅ! 24 Jab kisān khet ko bīj bone ke lie taiyār kartā hai to kyā wuh pūrā din hal chalātā rahtā hai? Kyā wuh apnā pūrā waqt zamīn khodne aur ḍhele toṛne meṅ sarf kartā hai? 25 Hargiz nahīṅ! Jab pūre khet kī satah hamwār aur taiyār hai to wuh apnī apnī jagah par siyāh zīrā aur safed zīrā, gandum, bājrā aur jo kā bīj botā hai. Āḳhir meṅ wuh kināre par chāre kā bīj botā hai. 26 Kisān ko ḳhūb mālūm hai ki kyā kyā karnā hotā hai, kyoṅki us ke Ḳhudā ne use tālīm de kar sahīh tarīqā sikhāyā. 27 Chunāṅche siyāh zīrā aur safed zīrā ko anāj kī tarah gāhā nahīṅ jātā. Dāne nikālne ke lie un par waznī chīz nahīṅ chalāī jātī balki unheṅ ḍanḍe se mārā jātā hai. 28 Aur kyā anāj ko gāh gāh kar pīsā jātā hai? Hargiz nahīṅ! Kisān use had se zyādā nahīṅ gāhtā. Go us ke ghoṛe koī waznī chīz khīṅchte hue bāliyoṅ par se guzarte haiṅ tāki dāne nikleṅ tāham kisān dhyān detā hai ki dāne pis na jāeṅ. 29 Use yih ilm bhī Rabbul-afwāj se milā hai jo zabardast mashwaroṅ aur kāmil hikmat kā mambā hai.