44
Rab kī Qaum ke lie Naī Zindagī
Lekin ab sun, ai Yāqūb mere ḳhādim! Merī bāt par tawajjuh de, ai Isrāīl jise maiṅ ne chun liyā hai. Rab jis ne tujhe banāyā aur māṅ ke peṭ se hī tashkīl de kar terī madad kartā āyā hai wuh farmātā hai, ‘Ai Yāqūb mere ḳhādim, mat ḍar! Ai Yasūrūn jise maiṅ ne chun liyā hai, ḳhauf na khā. Kyoṅki maiṅ pyāsī zamīn par pānī ḍālūṅgā aur ḳhushkī par nadiyāṅ bahne dūṅgā. Maiṅ apnā Rūh terī aulād par nāzil karūṅga, apnī barkat tere bachchoṅ ko baḳhshūṅgā. Tab wuh pānī ke darmiyān kī hariyālī kī tarah phūṭ nikleṅge, nahroṅ par safedā ke daraḳhtoṅ kī tarah phaleṅ-phūleṅge.’
Ek kahegā, ‘Maiṅ Rab kā hūṅ,’ dūsrā Yāqūb kā nām le kar pukāregā aur tīsrā apne hāth par ‘Rab kā bandā’ likh kar Isrāīl kā ezāzī nām rakhegā.”
Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Bādshāh aur Chhuṛāne Wālā hai farmātā hai, “Maiṅ Awwal aur Āḳhir hūṅ. Mere siwā koī aur Ḳhudā nahīṅ hai. Kaun merī mānind hai? Wuh āwāz de kar batāe aur apne dalāyl pesh kare. Wuh tartīb se sab kuchh sunāe jo us qadīm waqt se huā hai jab maiṅ ne apnī qaum ko qāym kiyā. Wuh āne wālī bātoṅ kā elān karke batāe ki āindā kyā kuchh pesh āegā.
Ghabrā kar dahshatzadā na ho. Kyā maiṅ ne bahut der pahle tujhe ittalā nahīṅ dī thī ki yih kuchh pesh āegā? Tum ḳhud mere gawāh ho. Kyā mere siwā koī aur Ḳhudā hai? Hargiz nahīṅ! Aur koī Chaṭṭān nahīṅ hai, maiṅ kisī aur ko nahīṅ jāntā.”
Ḳhudsāḳhtā Dewatā
But banāne wāle sab hech hī haiṅ, aur jo chīzeṅ unheṅ pyārī lagtī haiṅ wuh befāydā haiṅ. Un ke gawāh na dekh aur na jān sakte haiṅ, lihāzā āḳhirkār sharmindā ho jāeṅge.
10 Yih kis tarah ke log haiṅ jo apne lie dewatā banāte aur befāydā but ḍhāl lete haiṅ? 11 Un ke tamām sāthī sharmindā ho jāeṅge. Āḳhir but banāne wāle insān hī to haiṅ. Āo, wuh sab jamā ho kar Ḳhudā ke huzūr khaṛe ho jāeṅ. Kyoṅki wuh dahshat khā kar saḳht sharmindā ho jāeṅge.
12 Lohār auzār le kar use jalte hue koeloṅ meṅ istemāl kartā hai. Phir wuh apne hathauṛe se ṭhoṅk ṭhoṅk kar but ko tashkīl detā hai. Pūre zor se kām karte karte wuh tāqat ke jawāb dene tak bhūkā ho jātā, pānī na pīne kī wajah se niḍhāl ho jātā hai. 13 Jab but ko lakaṛī se banānā hai to kārīgar fīte se nāp kar pensil se lakaṛī par ḳhākā khīṅchtā hai. Parkār bhī kām ā jātā hai. Phir kārīgar lakaṛī ko chhurī se tarāsh tarāsh kar ādmī kī shakl banātā hai. Yoṅ shāndār ādmī kā mujassamā kisī ke ghar meṅ lagne ke lie taiyār ho jātā hai.
14 Kārīgar but banāne ke lie deodār kā daraḳht kāṭ letā hai. Kabhī kabhī wuh balūt yā kisī aur qism kā daraḳht chun kar use jangal ke dīgar daraḳhtoṅ ke bīch meṅ ugne detā hai. Yā wuh sanobar *Shāyad Ibrānī lafz se murād sanobar nahīṅ balki laurel ho, ek chhoṭā sadābahār kāfūrī daraḳht. kā daraḳht lagātā hai, aur bārish use phalne-phūlne detī hai. 15 Dhyān do ki insān lakaṛī ko īṅdhan ke lie bhī istemāl kartā, kuchh le kar āg tāptā, kuchh jalā kar roṭī pakātā hai. Bāqī hisse se wuh but banā kar use sijdā kartā, dewatā kā mujassamā taiyār karke us ke sāmne jhuk jātā hai. 16 Wuh lakaṛī kā ādhā hissā jalā kar us par apnā gosht bhūntā, phir jī bhar kar khānā khātā hai. Sāth sāth wuh āg seṅk kar kahtā hai, “Wāh, āg kī garmī kitnī achchhī lag rahī hai, ab garmī mahsūs ho rahī hai.” 17 Lekin bāqī lakaṛī se wuh apne lie dewatā kā but banātā hai jis ke sāmne wuh jhuk kar pūjā kartā hai. Us se wuh iltamās kartā hai, “Mujhe bachā, kyoṅki tū merā dewatā hai.”
18 Yih log kuchh nahīṅ jānte, kuchh nahīṅ samajhte. Un kī āṅkhoṅ aur diloṅ par pardā paṛā hai, is lie na wuh dekh sakte, na samajh sakte haiṅ. 19 Wuh is par ġhaur nahīṅ karte, unheṅ fahm aur samajh tak nahīṅ ki socheṅ, “Maiṅ ne lakaṛī kā ādhā hissā āg meṅ jhoṅk kar us ke koeloṅ par roṭī pakāī aur gosht bhūn liyā. Yih chīzeṅ khāne ke bād maiṅ bāqī lakaṛī se qābil-e-ghin but kyoṅ banāūṅ, lakaṛī ke ṭukṛe ke sāmne kyoṅ jhuk jāūṅ?” 20 Jo yoṅ rākh meṅ mulawwas ho jāe us ne dhokā khāyā, us ke dil ne use fareb diyā hai. Wuh apnī jān chhuṛā kar nahīṅ mān saktā ki jo but maiṅ dahne hāth meṅ thāme hue hūṅ wuh jhūṭ hai.
Rab Apnī Qaum ko Āzād Kartā Hai
21 “Ai Yāqūb kī aulād, ai Isrāīl, yād rakh ki tū merā ḳhādim hai. Maiṅ ne tujhe tashkīl diyā, tū merā hī ḳhādim hai. Ai Isrāīl, maiṅ tujhe kabhī nahīṅ bhūlūṅgā. 22 Maiṅ ne tere jarāym aur gunāhoṅ ko miṭā ḍālā hai, wuh dhūp meṅ dhund yā tez hawā se bikhre bādaloṅ kī tarah ojhal ho gae haiṅ. Ab mere pās wāpas ā, kyoṅki maiṅ ne ewazānā de kar tujhe chhuṛāyā hai.”
23 Ai āsmān, ḳhushī ke nāre lagā, kyoṅki Rab ne sab kuchh kiyā hai. Ai zamīn kī gahrāiyo, shādiyānā bajāo! Ai pahāṛo aur janglo, apne tamām daraḳhtoṅ samet ḳhushī ke gīt gāo, kyoṅki Rab ne ewazānā de kar Yāqūb ko chhuṛāyā hai, Isrāīl meṅ us ne apnā jalāl zāhir kiyā hai.
24 Rab terā Chhuṛāne Wālā jis ne tujhe māṅ ke peṭ se hī tashkīl diyā farmātā hai, “Maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ hī sab kuchh wujūd meṅ lāyā, maiṅ ne akele hī āsmān ko zamīn ke ūpar tān liyā aur zamīn ko bichhāyā. 25 Maiṅ hī qismat kā hāl batāne wāloṅ ke ajīb-o-ġharīb nishān nākām hone detā, fāl kholne wāloṅ ko ahmaq sābit kartā aur dānāoṅ ko pīchhe haṭā kar un ke ilm kī hamāqat zāhir kartā hūṅ. 26 Maiṅ hī apne ḳhādim kā kalām pūrā hone detā aur apne paiġhambaroṅ kā mansūbā takmīl tak pahuṅchātā hūṅ, maiṅ hī Yarūshalam ke bāre meṅ farmātā hūṅ, ‘Wuh dubārā ābād ho jāegā,’ aur Yahūdāh ke shahroṅ ke bāre meṅ, ‘Wuh nae sire se tāmīr ho jāeṅge, maiṅ un ke khanḍarāt dubārā khaṛe karūṅga.’ 27 Maiṅ hī gahre samundar ko hukm detā hūṅ, ‘Sūkh jā, maiṅ terī gahrāiyoṅ ko ḳhushk kartā hūṅ.’ 28 Aur maiṅ hī ne Ḳhoras ke bāre meṅ farmāyā, ‘Yih merā gallābān hai! Yihī merī marzī pūrī karke kahegā ki Yarūshalam dubārā tāmīr kiyā jāe, Rab ke ghar kī buniyād nae sire se rakhī jāe’!”

*44:14 Shāyad Ibrānī lafz se murād sanobar nahīṅ balki laurel ho, ek chhoṭā sadābahār kāfūrī daraḳht.